Muharun ki amad amad hay, Hamaray Shia behan bhai'yooN per sogwari tari howi chahtee hay, go Mataam islam ka hisa tu nahi hay per Shia hazrat kay mazhab ka eak eham juz hay, iss mahinay maiN yeh log Shahdate-e-HussaiN kay gham main naDhal nazr aatay haiN, matam ki yeh fiza muharam per hi muheet nahi hay balkay 11/12 aima'e karam ki fotgi, aur degar "ahle-e-bait" per honay walay mazalim per bhi in ka gham daikhnay say taluq rakhta hay...
yehi haal in kay khushiyooN ka bhi hay unlike other muslims in kay yahaaN eid 2 say zyada hi haiN ( sahi tadad ka tu mujhay pata nahi hay) kabhi yeh log EID-E-GHADEER ki mubarik badaiN banT.tay haiN tu kabhi mubahilay maiN kamyabi ki mubarik badaiN aur kabhi kisi aur waqaye key....
ab tak in maiN ra'ij rasm.o.riwaj per jitna bhi ghor kiya yeh baat samajh maiN nahi ayee kay yeh mazhab ju matam ko ja'yez samjhta hay kabhi Ta'if kay Musafir (SAAW) kay gham maiN ghulta nazr nahi aya, meray khayal say tu inhaiN woh din bhi yaad nahi hoga(mera khayal ghalat bhi ho sakta hay per nazr aisay hi aata hay)jab dawat haq kay jawab maiN ahl-e-taif nay App (SAAW) ko pather mar mar kay laho.luhaan ker diya tha!!! na'hi yeh kabhi Sha'ab abi talib kay basiyooN key yaad maiN ghamzada nazr aye haiN... agr maiN yeh kahooN kay karbala kay basiyooN ko tu kuch dinooN kay liya pani ki bandish thee, per ghaTi maiN tu yeh silsilay mahinooN per muheet tha!!! iss per in key ah.wazari kabhi bhi nahi suni!...
herat iss baat per hay kay yeh aisay kyoN haiN.. QADSIYA aur YARMOOK kay faisla.kun ma'arkay in key tareekh maiN koy muqaam nahi rakhtay per Jamal aur Safain kay baghair in ki tareekh mukamal nahi hoti!!!
Ibtayda'i Islami dor ( MAKI DOR) kay shuhada in ko yaad nahi per Muslim bin Aqeel ki shahdat yeh bhulaye nahi bholtay!!!
herat hay sad.herat