New islami qamri saal k aghaaz k moqay per pakistan bher maiN soobayee intezamia nay bahoot say ulemaa e karaam, zaakereen aur allama hazraat per nuqsay aman k khadshah k peshay nazer aik zilay say doosray zilay / soobay maiN daakhlay ki pabandee ayad kartay howay kaai qism ki aarzee pabandiyaaN ayad kardi haiN.
hum bhi HC per next 15 days k liyeh dafa 144 naafiz karnay ka elaan kar rahay haiN. lehazaa next 15 days tak islam samait kissi bhi section maiN shia-sunni issues per koi discussion / bahas o takraar (khaah mofeed yaa tahzeeb k dairay maiN hi kiyouN nah ho) per mokammal pabandee ayad ki jati hai.
members posts as usual karsaktay haiN ... taham khayal rahay k aap ki post kissi bhi firqay (specially shia / sunni) k khelaaf direct ya indirect angusht nomayee ka sabab nah banay. agar kissi bhi post maiN (khaah woh ketni hi achchee kiyouN nah ho) agar aik aadh fiqra bhi aisa waisa nazar aaya to bila ittelaa ossay section say remove kardia jayega. aur zaroorat paRnay per poster / reply karnay walay members ko warn bhi kia jasakta hai.
lehaz aap post kartay howay yeh khayaal rakhaiN k kaheeN aap ki mehnat zaya nah hojaye. no bahas o mobahesa plz.
omeed hai k sab log hum say tawwun karengay. aue new saalay hijree k aghaaz per aisee koi harkat nahee karengay jo jug hansayee ka baaes ho.
khair andesh.
AA