Yunhi saj dhaj k rehney sey kahan touqeer banti hai
Dua jazbey na orhey to kahan taseer banti hai
Jigar k zakham hi to daastan mein rang bhartey hain
Wagarna lafz likhney sey kahan tehreer banti hai
Jahan tareekiyan aseeb ki soorat musalat hon
Wahan shamain jalaney sey kahan tanveer banti hai
Shikasta manzaron ki kirchiyan aankhon mein chubti hain
Ke deewanon k khawabon ki kahan tabeer banti hai
Yeh socha thaa barasti aankh uss ko rok ley shyaad
Magar ashkon ki kariyon sey kahan zanjeer banti hai
Hazaar baar ki koshish magar mumkin nahi ----
Bhala khud hi bananey sey kahan taqdeer banti hai