circus ka malik aik din resturent main khana kha raha thaa..uss ke nazar achanak apnay samnay walay table par pari..wahan aik aadmi dishon pe dishain mangwa raha thaa aur khata ja raha thaa...circus ka malik boht heraan hua..apnay khanay se farigh ho kar wo seedha uss k pass gaya aur kaha;janab ma aik circus ka malik hoon agar aap mery circus main logon k samnay itna khana kha jaya karo to ma aap ko khateer muawiza denay par tayyar hoon....
thori c guft o shaneed k baad wo shakhs razi ho gaya aur circus k malik k sath chal diya...wahan pehlay show main jab uss ne logon k samnay khana shuru kiya to sab heran reh gae...sab ne boht daad dee..circus k malik ne uss ko doosray show k lie b razi kar liya..aur doosray show main b uss ne issi tarha boht ziada khaya aur logon ne bhar poor daad dee...
show k ikhtatam par wo shakhs bezaar saa nazar aa raha thaa...circus k malik ne uss ko aik lafafa pakratay hue kaha;agar aap teesray show k lie ruk jaaen to ma aap ko iss se double muawiza denay k lie tayyar hoon...
uss shakhs ne lafafa pakar kar bura saa moo banatay hue kaha..;;nahi jee..ab mujhe janay do...ma ne ghar ja kar routti shoutti b khani ha