Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Aaj Kyun Khamoshi Hai Yahan ?
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
Daylight
Kahan hain aaj wo loag jo marathon ke khilaaf to posts kertay nahin thak rahay thay k ye ghair islami cheez hai lekin aaj uss se bhi bari ghair islami cheez par khamosh hain?? Kahan hain wo jo 6 hours ke liye chand raaston ke band honay par shor macha rahay thay aur aaj khamosh hain jab shehar ke shehar maidaan e jang ka samaan paida ker rahay hain?? Kahan hain wo jamat e islami jo marathon mein to logon ko zabardasti race mein shirkat kerwanay par shor macha rahi thi aur aaj khud zabardasti logon aur students ko gharon se baahir nikal ker hungaamay kerwaye.......


Ye Islam ki kaisi khidmat hai?? Mein chunke Faisalabad mein rehta hon lehaza wahan ki soorat e haal batana chahta hon mukhtasir taur par, Jhang road mukammal block kiye rakhi aur jin logon ne block ki aur tyres jala rahay thay wo sab mazhabi jamaton ke loag thay jo unkay huliye se zaahir tha yani islami jamaaton ke banners,stickers,lambi lambi daarhiyaan........Goverment College and University Faisalabad aaj open thi , yahi jamaati lambi daarhiyun waalay wahan ghuss aaye unkay haathon mein danday aur hockeys thi aur unhon ne hamari uss university ke sub sheeshay toar diye, motorcyles ko aag lagaye, students ko zad o koab kya, computer labs toar di.......Aur saath mein naaray thay shaan e mustafa ke...........

Maulana Sarfaraz Naeemi ka bayaan meine tv pe suna hai ,janab sahib ka farmaan tha ke agar logon ne tashaddud kya to ye hakumat ka kaam tha k unko roaktay hum kya karain..........Subhan Allah.........

Qazi Hussein Ahmad ka bayaan aaya hai Aaj Tv par k muzahireen pur aman thay aur police ke lathi charge par mushtail huway.........iss se bara jhoot koi ho nahin sakta, ye sab ko maloom hai ke kitnay pur aman muzahiray thay.........aur phir saara ilzam "kuch sharpasand anasir" pe daal diya aur ye anasir wo hain jo kabhi saamne nahin aaye aur na hi kabhi saamne aain gay..........

Ye hain islam ke naam leva jinhon ne aaj Rasool(PBUH) ki hurmat ke naam par 70 Motorcycles, 14 Cars aur 4 Ambulances jala daali aur aag bhujanay ke liye aanay waali aik fire-brigade ki car bhi jala daali........jinhon ne banks aur restaurants jala daalay.......

Ye hai wajah jo inn mazhabi jamaton se logon ke dilon mein nafrat uth-ti hai, aur ye sirf aaj hi nahin hua aisa hota aaya hai pehlay bhi........Aaj pooray din Lahore aur Faisalabad maidaan e jang banay rahay.......aam transport bhi band rahi aur jo aik do wagons road par aayi unko jala diya gaya.........

Denmark ke cartoonist ne jo kya so kya laikin kya inn ehtajaaj kernay waalon ka jurm bhi qaabil e maafi hai ?? Sab se pehlay to inko sar e aam latka dena chaahiye.

Ye wo mazhabi jamaatein hain jo islamabad mein aik mazhabi madrassay mein khawateen par police lathi charge par aag bhagola thay, laikin aaj kya??? Aaj unhi mazhabi jamaaton ke ghundon ne larkiyun ke colleges par bhi hamlay kiye hain aur unhein bhi tashaddud ka nishana banaya hai...........meri sister ke college par bhi inn dhaari waalon ne Namoos e Risalat(PBUH) ka saboot detay huway hamla kya aur na sirf taalibaat ko tashaddud ka nishana banaya balkeh sheeshay bhi toaray..................

Ye hain wo loag jo apni siyasat chamkaanay ke liye islam ka naam letay hain........iss liye ke unki dukaanein hi iss liye chalti hain ke mulk mein jalsay,million march ,strikes aur jalson ka kaam jaari rahay ta ke ye awam mein reh sakain...........Aur phir inko aitraaz hota hai k loag daarhi waalon ke khilaaf kyun hain........yaad rahay ke loag daarhi ke khilaaf nahin balkeh aisay hi daarhi waalon ke khilaaf hain jinhon ne iss daarhi ka taqadduss pamaal kya hai..........lekin ye khud mujrim hotay huway bhi judge ke faraiz hi anjaam dena chahtay hain........

This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.