haan hum log jo BASANT manatay hain kitnay MUNAFIQ hain
agar kuffaar nay hamaary RASOOL-E-PAK (SALLULA-HO-ALAIH-E-WASALLAM) ki shaan main gustakhi ki napaak harkat ki to
hum bhi to wohi kaam kartay hain
RASOOL-E-PAK(SAW) ki shaan main gustakhi karnay walay ki yaad main
jashn manatay hain khushi manatay hain (INNA-LILLAHI-WA-INNA-ILAIHI-RAJI'OON) aik taraf HUZUR-E-PAAK(SAW) ki shaan main gustakhi karnay par kuffar kay khilaaf ahtejaaj kartay hain to doosri taraf aik gustakh-e-RASOOL(SAW) ki yaad main khushian manatay hain hum log munafiq nahi to phir kiya hain.
agar hamain itna hi gham hai itna hi dukh hai itnay ziyada hamaray jazbaat
majrooh huay hain to kiya hum yeh nahi kar saktay kay kafiron ki iss napaak jasarat kay dukh main iss saal basant na manain
kiya hamara imaan sirf relion,muzahiron aur dharnon tak baqi hai
tuf... hai hum par jis baat par ahtijaaj kar rahay hain wohi kaam khud bhi kartay hain
kissi buzurg ka qual suna tha
"tum jis baat ki naseehat kartay ho jab tak us par khud amal nahi karo gay
tumhari baat main asar paida nahi ho sakta"
yeh azmaii hoi baat hai to jub hum khud wohi kaam kartay hain to kuffaar say kiya tawaqqo rakhtay hain kay woh hamaray buzurgon ki izzat karay ga
jo quam ALLAH ki nafarmaan hoti hai ALLAH us par zalim,jabir aur fasiq hukumraan mussallut kar daitay hain
kiya aisa hi hamaray mulk main nahi kay aik na-jaiz aur haraam kaam hukoomat ki sar-parasti main hota hai air dankay ki chot par hota hai
koi faidah nahi hai in relion ka in muzahiron ka jab tak hum khud ko nahi badlain gay kuffar par hamaray in muzahiron ka koi asar nahi honay wala
jub hum khud HUZUR(SAW) ki shaan main gustakhi karnay walay ki yaad main khushian manatay hain to kuffaar kay aisa karnay par itna ghussa kuun
zara sochiyay hum kahan jaa rahay hain kuffaar ki undhi taqleed main apni had say hi guzar gaiy hain phir kiss monh say ALLAH say madad mangtay hain jub hamain US kay MEHBOOB(SAW) say muhabbat hi nahi .....
hamaray dil imaan aur sharm-o-haya say bikul khali ho gaiy hain
bilkul khali ho gaiy hain
AYY ALLAH HUM SUB KO MA'AF FARMA AUR SIRAAT-E-MUSTAQEEM DIKHA AUR US PAR CHALNAY KI TUAFEEQ ATA FARMA.(ameen)