KHAL NAYAK
Feb 26 2006, 11:46 PM
As salamu Alikum Jaysa kay sab ko malom hay Norway nay Toohen ameez cartoon chapa tha or Telenor Norway ki company hay jis ki wajah say sab nay yeah service use karna chor di thi or telenor kay office bhi kuch arsa band rahay magar abb Jang main akk news aye hay kay Norway ki Gov nay Mafi mangi hay or ayenda asa na karnay ka wada kia hay or Muslim parties nay mafi qabool bhi kar le hay.
mera jahan tak khayal hay yeah sab Telenor ko wapas chalany kay liye asi News di ja rahi hian kiia app mian say kisi ko is kay baray main koi Alm hay
Daylight
Mar 3 2006, 04:15 AM
Koi aaj ki....jab akhbar ne khabar shaya ki thi ussi wakt hi akhbar ne bhi aur norway ki hakumat ne bhi maafi maang li thi.......telenor ko bachanay ke liye?? :d :d i think u must be joking brother, telenor pakistan ke bal-bootay par nahin chalta aur sirf aik company ko bachanay ke liye koi mulk saari duniya se maafi nahin maang sakta.......
dil ka haal to Allah hi jaanta hai laikin hamein baghair kisi saboot ke kisi ke intentions par ungli nahin uthani chaahiye.......
FarOOqi
Mar 3 2006, 08:44 PM
Assalam-o-alaikum,
iss kee koi maafi nahee hay, saza dainey sey hee kaam poora hoga... ager koi maafi qubool ker raha hay tu yay oos ka infiradi fail hay.... khud Nabi(saw) ney jab Fatah-e-Makka kay din maafi kay darya baha diya thay tu 15 ya 17 afraad aesay thay jin kee maafi kee iltejaaon kay bawajood khud Nabi(saw) ney QATAL ka hukum diya tha, jin mae sey aik tu Kabay kay ghalaf ko chimta khaRa tha... mager usay bhee QATAL hee kiya gaya tha...
aur inn sab ka jurm aik hee tha, aur wo tha Gustakhi-e-Rasool(saw)....
wassalaam,
farooqi.
Daylight
Mar 5 2006, 03:45 AM
QUOTE
iss kee koi maafi nahee hay, saza dainey sey hee kaam poora hoga... ager koi maafi qubool ker raha hay tu yay oos ka infiradi fail hay
Ye infaradi nahin ijtamayi fail hai, kul 46 islami jamaton ne maafi qabool ki, aur MMA aur ARD etc ka bhi maafi ka hi mutalba hai......ARY par interview ke dauraan jab Maulana Fazlur Rehman ne Norway ke khilaf sakht alfaaz use kiye to maizbaan ne unko bhi bataya ke hakumat aur akhbar maafi maang chukay hain, tab fazlur rehman ka bhi kehna tha k agar wakayi mein maafi maang li gayi hai to iss se bouhat hadh tak azala ho jaata hai.....46 islami jamaton aur pakistan ki islami jamaton ka fail infaradi kaise hai??QUOTE
iss kee koi maafi nahee hay
Islamic laws ussi jaga naafiz hotay hain jahan wo majood hon.....even islami mumalik mein bhi ye laws wahan h i applicable hon gay jahan ye majood hon gay........Maslan aik shakhs pakistan mein chori kerta hai aur usko adalat pakistani qanoon ke tehet 6 maheenay ki saza suna deti hai to tab aapne kabhi mutalba nahin kya ke falan chor ka haath kaato ?? Haan agar mutalba hota hai to ye hota hai ke hath kaatne ka qanoon banao, ye nahin ke qanoon majood nahin aur aap chalay hain hath kaatne ka mutalba le kar......
Ye to thi islamic mumalik mein qanoon ki soorat e haal, ghair islami mumalik mein to aap ko wo islami qawaneen naafiz kerne ka bhi haq nahi jo aapke apne mulk mein majood hon.
Maslan kya aap ye mutalba ker saktay hain k america mein agar koi chori karay to uskay haath kaatne chahaiye ya agar koi sharab piye to usko kooray maaro......islami qawaneen islami mumalik ke liye hotay hain....
Touheen e Risalat ka qanoon pakistan mein to majood hai laikin ye qanoon denmark mein majood nahin na hi norway mein........Tab aapka ye mutalba kitna haqeeqat pasandana hai uska andaza sab ko hai.......Jo loag maafi nahin maang rahay, jo koi ghalati nahin maan rahay unse aap phaansi dene ka mutalba karain to ye kitna un-realistic ho ga aap dekh saktay hain....
Unki baat to chhorein Salman Rushdi ka kya kiya?? 15 saal se wo aish ki zindagi guzaar raha hai pehlay england mein aur ab usa mein..........uss par kuch arsa bol kar hum khamosh kyun hain?? kyun aaj wo shakhs hamari nazron se oojal hai??Wesay kabhi mein sochta hon to hairat hoti hai ke hum loag kitne doghlay hain.......Hum denmark ka boycott kerne ki baat kertay hain kyunke hum mein se koi pehlay se hi denmark ki koi cheez use nahin kerta........wahan ki bouhat hi kam dairy products pakistan aati hain aur wo bhi pakistan ki aksarriyat use nahin kerti, wesay bhi milkpak ya haleeb hai to denmark waali product ko chhor dene se hamein kya nuqsan :p
Phir telenor ki baat kertay hain ke iski sim phaink do ye norway ki company ki hai, wo bhi sirf iss liye ke mobilink aur ufone jo hain,laikin jab bataya jaata hai ke pakistan ki har sim norway se hi assemble ho kar aati hai to tab iss par khamoshi ikhtayaar ker li jaati hai........tab hum "namoos e Risalat(PBUH) " ke jazbay ko kuch der chhupa letay hain..........
Hum norway aur denmark ki products ke boycott ki baat kertay hain kyunke hamara uskay baghair asani se guzara hai laikin Salman Rushdi ko panah dene waalay aur hazaron nahin lakhon musalmaano ke qaatil aur Israel ko bananay waalay USA aur UK ki products ka boycott kerne se jaan jaati hai.........Kyunke aap jo cheezain use kertay hain more than 90% wahan ki hi hain......yahan tak ke jo windows aap use kertay hain jo internet explorer aap use kertay hain jo pentium ya IBM computers aap use kertay hain wo sab unhi se import kiye gaye hain...............
Tab mujhe andaza hota hai ke Namoos e Risalat(PBUH) ka naam le kar denmark aur norway ka boycott kerne ka kehne waalay kitne doghlay hain.........Jo cheez istemaal ki nahin usko Namoos e Risalat(PBUH) ka naam le kar chhor ker "Naik" ban jaao aur jo cheez istemaal ki hai uss ko khamoshi se use kertay jao......
FarOOqi
Mar 6 2006, 11:26 PM
QUOTE(Daylight @ Mar 5 2006, 03:44 AM) [snapback]2125679[/snapback]
Ye infaradi nahin ijtamayi fail hai, kul 46 islami jamaton ne maafi qabool ki, aur MMA aur ARD etc ka bhi maafi ka hi mutalba hai......ARY par interview ke dauraan jab Maulana Fazlur Rehman ne Norway ke khilaf sakht alfaaz use kiye to maizbaan ne unko bhi bataya ke hakumat aur akhbar maafi maang chukay hain, tab fazlur rehman ka bhi kehna tha k agar wakayi mein maafi maang li gayi hai to iss se bouhat hadh tak azala ho jaata hai.....46 islami jamaton aur pakistan ki islami jamaton ka fail infaradi kaise hai??Islamic laws ussi jaga naafiz hotay hain jahan wo majood hon.....even islami mumalik mein bhi ye laws wahan h i applicable hon gay jahan ye majood hon gay........Maslan aik shakhs pakistan mein chori kerta hai aur usko adalat pakistani qanoon ke tehet 6 maheenay ki saza suna deti hai to tab aapne kabhi mutalba nahin kya ke falan chor ka haath kaato ?? Haan agar mutalba hota hai to ye hota hai ke hath kaatne ka qanoon banao, ye nahin ke qanoon majood nahin aur aap chalay hain hath kaatne ka mutalba le kar......
Ye to thi islamic mumalik mein qanoon ki soorat e haal, ghair islami mumalik mein to aap ko wo islami qawaneen naafiz kerne ka bhi haq nahi jo aapke apne mulk mein majood hon.
Maslan kya aap ye mutalba ker saktay hain k america mein agar koi chori karay to uskay haath kaatne chahaiye ya agar koi sharab piye to usko kooray maaro......islami qawaneen islami mumalik ke liye hotay hain....
Touheen e Risalat ka qanoon pakistan mein to majood hai laikin ye qanoon denmark mein majood nahin na hi norway mein........Tab aapka ye mutalba kitna haqeeqat pasandana hai uska andaza sab ko hai.......Jo loag maafi nahin maang rahay, jo koi ghalati nahin maan rahay unse aap phaansi dene ka mutalba karain to ye kitna un-realistic ho ga aap dekh saktay hain....
Unki baat to chhorein Salman Rushdi ka kya kiya?? 15 saal se wo aish ki zindagi guzaar raha hai pehlay england mein aur ab usa mein..........uss par kuch arsa bol kar hum khamosh kyun hain?? kyun aaj wo shakhs hamari nazron se oojal hai??Wesay kabhi mein sochta hon to hairat hoti hai ke hum loag kitne doghlay hain.......Hum denmark ka boycott kerne ki baat kertay hain kyunke hum mein se koi pehlay se hi denmark ki koi cheez use nahin kerta........wahan ki bouhat hi kam dairy products pakistan aati hain aur wo bhi pakistan ki aksarriyat use nahin kerti, wesay bhi milkpak ya haleeb hai to denmark waali product ko chhor dene se hamein kya nuqsan :p
Phir telenor ki baat kertay hain ke iski sim phaink do ye norway ki company ki hai, wo bhi sirf iss liye ke mobilink aur ufone jo hain,laikin jab bataya jaata hai ke pakistan ki har sim norway se hi assemble ho kar aati hai to tab iss par khamoshi ikhtayaar ker li jaati hai........tab hum "namoos e Risalat(PBUH) " ke jazbay ko kuch der chhupa letay hain..........
Hum norway aur denmark ki products ke boycott ki baat kertay hain kyunke hamara uskay baghair asani se guzara hai laikin Salman Rushdi ko panah dene waalay aur hazaron nahin lakhon musalmaano ke qaatil aur Israel ko bananay waalay USA aur UK ki products ka boycott kerne se jaan jaati hai.........Kyunke aap jo cheezain use kertay hain more than 90% wahan ki hi hain......yahan tak ke jo windows aap use kertay hain jo internet explorer aap use kertay hain jo pentium ya IBM computers aap use kertay hain wo sab unhi se import kiye gaye hain...............
Tab mujhe andaza hota hai ke Namoos e Risalat(PBUH) ka naam le kar denmark aur norway ka boycott kerne ka kehne waalay kitne doghlay hain.........Jo cheez istemaal ki nahin usko Namoos e Risalat(PBUH) ka naam le kar chhor ker "Naik" ban jaao aur jo cheez istemaal ki hai uss ko khamoshi se use kertay jao......

Assalam-o-alaikum,
aap kee iss post maen jo part "blue font" sey hay wo tu copy/paste hay aap kee Islam section waali post ka tu iss baray maen wahan baat ho chukee hay iss liyay yahan repeat nahee karoon ga...
mairee post maen yay kaheen naheee likkha hay kay kuffar sey mutalba kiya jaey kay oos badbakht gustakh ko phaansi dee jaey.... aap ney aesa kyon samajh liya ??
maen ney ziker kiya hay saza ka.... ubb yay kisee kay bhee hathon usay milay... hukoomat ya ghair hukoomat aur qanoon kay honay ya na honay sey kya hota hay....
Ghazi Alam Deen Shaheed ney koi "qanoon" dekha tha na "mutalba" kiya tha... kaam kiya tha... jisay aaj karnay kay liyay bohat sey log koshishaen ker rahay haen... Allah sey dua hay kay unhaen kamyaab karay...wassalaam,
farooqi.
Daylight
Mar 9 2006, 03:06 AM
Aapne sahi kaha farooqi brother, usko to koi bhi qatal ker de laikin kam az kam un hakumaton se maafi ka mutalba to sahi hai......kam az kam jo hakumatein maafi maangein gi wo ainda to aisa na honay dein gi probably.
Lehaza meri nazar mein norway hakumat ka ye iqdaam achha hai ke usne forun maafi maang li............Baki jis shakhs ne ye sab kya uski to wakayi maafi nahin hai........laikin unki hakumatein agar maafi maang lein to kisi hadh tak talafi zaroor ho jaati hai.wo suna hai na ke bhaagtay chor ki langoti hi sahi
FarOOqi
Mar 9 2006, 09:44 PM
QUOTE(Daylight @ Mar 9 2006, 03:06 AM) [snapback]2126623[/snapback]
Aapne sahi kaha farooqi brother, usko to koi bhi qatal ker de laikin kam az kam un hakumaton se maafi ka mutalba to sahi hai......kam az kam jo hakumatein maafi maangein gi wo ainda to aisa na honay dein gi probably.
Lehaza meri nazar mein norway hakumat ka ye iqdaam achha hai ke usne forun maafi maang li............Baki jis shakhs ne ye sab kya uski to wakayi maafi nahin hai........laikin unki hakumatein agar maafi maang lein to kisi hadh tak talafi zaroor ho jaati hai.wo suna hai na ke bhaagtay chor ki langoti hi sahi

Assalam-o-alaikum,
yes, yay baat sahee hay..wassalaam,
farooqi.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.