QUOTE(khan_amer @ Mar 6 2006, 10:08 AM) [snapback]2125954[/snapback]
herat bilkul bhi nahi howi iss para per!!! maiN iss forum 5/6 saal say hooN aur issi Islam section maiN hota hooN, per app log, bariyaaN badltay rehtay haiN iss liya her anay walay yehi sawal pochta hay!!!
????
QUOTE
First iam Muslim by birth ( Al-hamdullilah ), mera Maylaan, Ahl-e-Sunnat wa'l jammat kay sath hay! per Allah ka shuker hay us snay mujhay deen ko samjhnay ki koshish kernay ki tofeeq ata farmayee, ( ab tu app ko clear ho gaya hay ya mazeed details required haiN)
Mashallah se har bacha paida muslim hi hota hai, agar Nabi-e-Rahmat (sa.ww) ka farmaan zehn mein ho ke "har bacha fitrat-e-islam par paida hota hai, lakin uss ke maa baap ussey yahoodi, majoosi ya esai bana detey hain". aur i am sure you would agree ke mera pochney ka maqsad hadees ka Second part hai.
Ahle-sunnat mein to bahut si iqsaam payi jati hain aap koun si kisam ho, main-stream sunni ya..?
QUOTE
Yazeed Bin Moavia (RZA), MuslmaanooN ka Khalifa tha, jis ki bait per tanaza tu howa tha per Ameer-e-Moavia nay apni zindagee maiN hi iss tanazay ko hal ker liya tha! Sirf app ki itla'a kay liya arz kerta chalooN kay tanaza yeh nahi tha kay Yazeed iss qabil hay kay nahi tanazay ( ghaliban baqool Abdullah bin Umer (RZAA)) apnay baiTay ko Khalifa namzad ker kay sirf eak hi khandan maiN Khilafat rakhnay ka tha, ( iam skipping details)
with sorry, main-stream sunni yazzed ka na hi muslim mantey hain nahi khalifa, haan yazeedi nasl aur uss ke follower ka manna kuch aur hai, jo ahl-e-Islam ke liye koi ehmiyat nahi rakhta
QUOTE
[color=#3366FF]Shiyaat aur iss ki branches kay illawa koy bhi zamin ya Ilhami mazhab batayaiN jis maiN uss mazhab kay baniyooN ko galiyooN say nawaza jata hay!!! zyada nahi sirf eak example chahiyee!!!
baaniyoon se muraad some hypocrite sahaba hain to I am sorry they are not baani of Islam. Islam Heavenly religion hai Jis ka baani khud Allah hai, Aur 1 lakh 24 hazaar anbiya ke through logo tak pohncha hai. Islam ke baaniyon mein koi ghiar-e-masoom shamil nahi hai..aur ghair-e-masoom tankeed se bari b nahi..uss ki har ghalti par roka bhi jaye ga aur toka bhi jaye ga.
QUOTE
bhai Atleast Allah per tu buhtaan na bando
, Allah ta'al Buhat say aisay kam kerta hay ju app nahi ker saktay!!! ham ( Muslmanoo) ko Allah tala nay kuch ahkamaat diya haiN ( yani kernay kay kaam diya haiN) aur un maiN apni naqaili ka ahkaan aaj tak meri nazr say nahi guzra, bulkay Sura hujraat maiN aam insaan ko bhi gali galooch/buray namooN say pukarnay say mana kiya hay: Kiya app walay quran maiN woh ayat mojood hay? tu kiya app ka mazhab kay mo'ajideen per koy nayee ayaat nazil howeeN theeN jin maiN tabra kernay kay ahkamaat khas tor per diya gay thay!!! Jumlay to aap ne barey kassey hain, lakin isi khiyal ke saath darhguzar kar rahey hain ke HC intazamiya koi action to le gi nahi, ACTION sirf o sirf SHIA members ke liye hai

.. farq sirf itna hai ke aap ne baat ko MITHI CHURRI ANDAZ mein paish ki, jis ko in other word hypocritical manners kehtey hain, aur shia's HAQ baat open words mein biyaan kar detey hain jis ki wajah se unn ko BLOCK kar diya jata hai, uss ki misaal hum ne ghuzashta dino dekhi hai:)
Khair aap ne baat ki Allah par buhtaan bandaney ki..Lanat uss par jis ne aisa kiya:) aap ne baat ki ke aam admi ko bhi gaali ghloch nahi deni chahye..theek hai, Agar bey-kasoor kisi ko bura bhala kahey phir to theek warna... Allah ne to zalimeen par kafireen par saaf alfaz mein lanat ki hai. (baqoul aap ke gaali dee nouzbillah), so merey bhai Quran ka sirf ek hissa nahi letey, balkey pura ka pura quran ko parnha, samjhna aur manna hai.

QUOTE
Asal baat yeh kay jis nay bhi Shia mazhab ijaad kiya hay woh, iss mazhab ko bunyaadi Islam say door buhat door rakhna chahta tha! iss kay liya behtreen tariqa yeh tha kay source of Information ko pollute ker diya jaye, takay koy tazabub ka shikaar ho jayaiN, aur phir uss tazbub maiN unhaiN nut nayee rahaiN dekhla'i jayaiN, chooN kay deen-e-shiyat koy asmaani deen nahi hay iss maiN buhat say ibhaam paye jatay haiN ( unlike Islam)
Jee Islam to allah ki taraf se behja gaya deen hai, jisko Rasool Allah (saww) ne ponchaya, aur baar baar apney sahaba (rz) ko takeed ki ke dekho Ali (a.s) ki raah par chalna, aur Ali (a.s) ko barha inform kiy ake, Ya Ali (a.s) aap aur aap ke shia hi kambyaab hain.. So shia mazhab to Rasool Allah (sa.ww) ki ijaad hai, Jo hai asal islam.aab aap ka kehna achi tarah samjh aa sakta hai:)
QUOTE
masalan Shia kehtay haiN kay Hazrat Imam Hussain (RZA) nay qurbani day ker deen ko bacha liya ( yahaaN per maiN yeh bilkul bhi nahi keh raha kay eisa'ee kehtay haiN kay Hazrat Maseeh nay qurbani day ker insanooN ko bacha liya), agr un ki iss baat ko sach maan liya jaye tu yeh din yani 10 muharram ka din tu eid ka din hona chahiyee, App (RZA) say aqeeadt rakhnay walooN ko tu iss din fakher kerna chahiyee kay un ki wajah say deen qayam hay, per yahaaN tu iss tarah matam hota hay kay lagta yehi hay kay inhaiN iss baat per dukh hay kay deen ko kyoN bachaya gaya

!!!
Jee haan ghair-e-Shia (Jo Rasool (sa.ww) aur Ali (a.s) ka follower nahi, kyun ke shia kehtey hi un ke followers ko hain) ko yeh baat kabhi samjh nahi aa sakti. yazeedi nasal apney baap ki shikast ko chupaney ke liye tarah tarah ke harbey istimaal kartey aye hain, uni mein sey yehi bhi ek tareeka hai. Eid ke lafzi maani hain wapsi, Beshak Islam Hussain (a.s) ne bachaya, so uss lihaz se 10th muharram ke din Islam WAPIS aa gya, jo ek haqeeqatan fakhr ki baat hai, Lakin mohsin-e-islam, aur shuhda-e-islam ki qurbaniyon ko bhoool jana ek respected qoum ko guwaran nahi deta..Aaj Pakistan mein to sari jangon ke shaheedon ko har saal yaad rakha jata hai, un ke tribute paish kiya jata hai, aur saath Barey baray bashan diye jatey hain ke Zinda Qoumein apney shaheedo ko bulaya nahui karti..Lakin Ajeeb baat hai, Islaam ke mohsin ko khiraaj-e-tehseen paish karney ki bajaye, un par tanqeed ki jati hai jo Apney mohsin se wafadaari kar ke Paak Khon aur pak nasal ka elaan kartey hain....
Weasey ek baat Matam hm kartey hain Dard aap ko hota hai..ajeeb baat hai.
Shabbir (a.s) ke ghorey taley jo loug marrey hain
Mehshar tak woh log Shabir (a.s) ke ghorey ki SHABEEH se darrey hain..
Aur inshalla dartey rahein gey:)
wassalam
Ya Ali Madad (a.s)