Help - Search - Members - Calendar
Full Version: "imam" Zain Ul Aabideen
HulChul.NET > Religions > Islam
Daylight
Shia hazraat ki majalis mein jo Karbala ke qissay sunaye jaatay hain unko aik lamhay ke liye such maan letay hain, Ye bhi such maan letay hain ke Karbala mein Hussaini Lashkar ko tarpa tarpa ke maara gaaya aur muzalim ki inteha ker di gayi, ye bhi maan letay hain ke Yazeed inteha darjay ka sharabi, zaani, faasiq tha balkeh pakka kafir tha,ye bhi such maan letay hain ke jin Sahaba(RA) aur Tabaeen hazraat ne yazeed ki himayat ker ke uski bait ki wo sab maazAllah rah se bhatkay huay aur laanat ke mustahiq thay ke unhon ne aik kaafir ki bait ker ke uskay iqtedaar ko mazboot kya aur eeman ki kamzori ka muzahira kya,ye bhi maan letay hain ke aisay shakhs ko khalifa muqarrar kerne waala mazAllah aik bura shakhs tha.............

Laikin Agar ye sab loag buray aur laanat ke mustahiq hain to inn sab se ziada wo shakhs laanat ka mustahiq ho ga jisne Karbala ke ye saaray muzaalim apni aankhon se dekhay, jisne karbala ke maidaan mein apnay baap ko taraptay huway jaan detay dekha, jisne nanhnay bachon ko zibah hotay dekha, jisne apnay baap ka sir kat-tay aur uski bay-hurmati hotay dekha............laikin phir bhi yazeed ki bait ker li.

Hazrat Hussain(RA) ke betay "Imam" Zain ul Aabideen karbala mein majood thay aur unhon ne ye sab kuch apni aankhon se dekha.......Agar karbala ke muzalim ke qissay sachay hain to jis shakhs ne apnay khandaan ko boond boond paani se taraptay huway dekha, jisne Ehle Bait ki aabro par haath uth-tay dekha agar wo shakhs bhi Wakaya e Karbala ke baad Yazeed ki bait ker leta hai aur uss bait pe mustaqeem rehta hai to phir to hamaray shia bhaiyun ke nazdeek sab se ziada laanat ka wohi shakhs mustahiq ho ga...........

Jin logon ne karbala ke inn muzalim se pehlay hi yazeed ki bait ker li thi wo agar laanat ke mustahiq hain to yakeenan Karbala ke ye muzalim apni aankhon se dekhne ke baad yazeed ki bait kerne waala ziada laanat ka mustahiq hi nahin balkeh shaaid murtad bhi qarar paaye k aakhir wo aik murtad aur kaafir yazeed ki bait par raazi hua wo bhi uski bar-barriyat dekhne ke bawajood...........Aur agar ye bait dil se na thi to wo shakhs munafiq hua aur agar darr ke bait ki to wo intehayi darpoak hi nahin eeman ki intehayi kamzori ka mazhar hua.

Shia bhaiyun se pur-zoar guzarish hai ke inn par bhi tabarra ker ke sawab e dairain haasil karain, Aur baqaoul shia bhaiyun ke kisi bhi shakhs ko laanti keh dena chaahiye kyunke ye word Quran mein bhi use hua hai......Lehaza yazeed ke iss himayati par bhi laanat bhaijiye aur jee jaan se bhaijiye smile.gif smile.gif



http://www.pichub.com/uploads/3ea639e5c1.jpg
http://www.pichub.com/uploads/6fd41411c4.jpg
http://www.pichub.com/uploads/8a8fb92ef6.jpg
http://www.pichub.com/uploads/2ff4bd4937.jpg
http://www.pichub.com/uploads/a2ddb38fd8.jpg



IPB Image
IPB Image
IPB Image
IPB Image
IPB Image
Dash|ng^^Pr|nc3^^
well well well..


defender of yazeeed LANTI...

u have accepted and this is enough EVEN FOR ONE TIME ... tht yazeed was wrong.... for imaginatioon or whteva... thx 1-think.gif

mai nay aap k post parhi.. aur excepts links k sab parhay

tht was surprise.............

a BIG SURPRISE.............. imam zain ul abideen (AS) was treated very well oooooooooohhhhh

hum yazeed ko galian daytay hain.......


wesay agar ksii ki mom and sisters ko bazar mai bare head phiraya jay.. to kitni sharafat hoti hai naa

is say ziada mahmaan nawazi kia ho gi..k hathon mai hathkarian pahnayee jayn........

aik masooom si bachi baap say milnay ki khuwaish karay to .. khana paish kia jay.. aur us mai khanay ki jgha IMAM HUSSAIN (as) ka head ho




LANAT ON YAZEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEEDDDDDDDDDDDDD


KHUDA IS KO JAHANUM MAI DALAY...
Dash|ng^^Pr|nc3^^
QUOTE
Imam Sajjad was brought to Ibn Ziyad's court and made to stand before that. tyrant. "Who are you?" He asked the Imam. The Imam replied: "I am Ali ibn Husayn". He said: "Did Allah not kill Ali ibn Husayn?" The Imam replied: "I had a brother whose name was also Ali and the people killed him ". (The Imam meant to tell Ibn Ziyād not to attribute sin to Allah and not to say something irrelevant, because it was the people and not Allah who killed Ali ibn Husayn in Karbala). Ibn Ziyād said: "It is not so. Allah killed him". In reply to this the Imam recited a verse of the Qur'an: Allah takes the souls when the time of their death comes, (Surah al-Zumar, 39:42) but He is not their killer.



When Ibn Ziyād saw that the young ailing prisoner had given back replies time and again to what he said he got annoyed and said: "Do you still have courage to resist what I say?" Then he said to his men: "Take him away and chop off his head".



Book: A Probe Into The History of Ashura by Dr. Ibrahim Ayati

waoo... kia treatment hai naa MR. DAYLIGHT


Haq-Ali
Daylight ..imam per tu pata nahi but..Marvan ,yazeed etc per tu lanat hai..rahee baat jin books ka tum nay hawala diya hai..tu..wo tamam jothee hain .....ab tumahree book main Hazrat umer,Hazrat aboo bakar etc per jo likah hai wo tum suntay nahi ho..khar tum kay suno gay tumhara un say tu door ka bhi wasta nahi hai..jab Hazoor(saww)say nahi hai tu wo tu baad ki baat hai...jaoo soo jaoo...asay bateen nahi kartay....oki..or jo yazeed ko Amer-ul-memenen " likha raha hai uss ka ieman kya ho ga..same tumharee tharan..uss yazeed ko ..khar dafa karoo uss Fasiq ka zikar hi gunha hai...or .................
Daylight
QUOTE
well well well..

defender of yazeeed LANTI...


Ji ji "Imam" Zain ul Aabideen yazeed ke defender hi thay issi liye to uski bait ki thi.

QUOTE
a BIG SURPRISE.............. imam zain ul abideen (AS) was treated very well


QUOTE
wesay agar ksii ki mom and sisters ko bazar mai bare head phiraya jay.. to kitni sharafat hoti hai naa


QUOTE
is say ziada mahmaan nawazi kia ho gi..k hathon mai hathkarian pahnayee jayn........


A big surprise to ho ga aap ke liye kyunke jisne shaam e ghareebaan se ziada tareekh parhi hi na ho uss ke liye to yakeenan aik surprise ho ga smile.gif

Jahan tak barhana sir bazar mein phhiranay aur hathkariyan pehnanay ki baat hai to aapko maloom hai ke iss rawayat ko bayaan kerne waala kon hai?? Wohi Abu Mukhnaf jisko tamam aima hazrat kazzaab keh chukay hain ya doosray alfaaz mein jiskay jhootay honay par ijmaa hai.........Wesay mein uss par bhi aik post karon ga,
Laikin aap bhi agar aam aqal se sochein taqleedi zehniyyat se nikal ker ke Hussain(RA) ki shahadat ke baad agar iss tarha ehle bait ki khawateen ka jaloos nikala gaya hota aur tash-heer ki gayi hoti to ye kisi bhi hakumat ki sab se bari bay-waqoofi hoti ke logon ke jazbaat ko mushta'il karay..........Jahan aaj ke zamany mein Rasool(PBUH) ke cartoons ki ishaat par itna hungama ho wahan uss kharul qaroon mein Rasool(PBUH) ke khandaan ki khawateen ko sar e bazar ruswa kiya jaata to kya qayamat barpa na ker detay awam?? Wo awam jo hum se to ziada hi eeman waalay thay...........Laikin na to kisi ne koi hungama kiya aur na hi iski zaroorat thi kyunke aisa kuch hua hi nahin balkeh ye 100 saal ke baad baith ker Abu Mukhnaf ne iss afsaanay ko janam dia......

Baaki baat ussi post mein ho gi, yahan to Zain ul Aabideen par baat ho rahi hai......Aur agar ye bazar bazarr tash-heer waali baat such hoti na to phir to intehayi laanat bhejni chaahiye uss par ke jo uskay baad bhi yazeed ki bait ker gaya aur imam bhi kehlaya smile.gif




QUOTE
Daylight ..imam per tu pata nahi but..Marvan ,yazeed etc per tu lanat hai


Chalo shukar hai imam ka nahin pata smile.gif Wesay marvan par bhi?? yani Hazrat Ali (RA) ke Damaad par bhi?? Ye to aik tarha se Hazrat Ali(RA) aur unki Beti ko gaali hui, Aur un Hassan o Hussain(RA) ko bhi jo marvan ke peechay namazein parhtay rahay hain.

QUOTE
rahee baat jin books ka tum nay hawala diya hai..tu..wo tamam jothee hain


Lolz.........Saboot?? Aur doosri baat ke chalo wo jhooti sahi aap koi sachi kitab le aao tareekh ki smile.gif Aur zara batao ke Madina mein ibne Zubair ki baghawat ke wakt Zain ul Aabideen kahan thay?? Mere bhai aik yazeed kya uskay baad ke 2 khulafa ki bhi bait ki hai aapkay iss imam ne.......Ya to imamat se hata do aur kaafir bana daalo ya phir haqeeqat ko tasleem kar ke apnay imam ke faislay ko such maano........Sab tareekh ki kitabein yahi kehti hain aur unko jhutlanay ke liye kuch proof zaroor hona chahaiye aapkay paas smile.gif

QUOTE
or jo yazeed ko Amer-ul-memenen " likha raha hai uss ka ieman kya ho ga..same tumharee tharan


Aapkay hi imam janab e Zain ul Aabideen ne kaha hai ussay ameer ul momineen smile.gif ab unka eeman mere jaisa hai to ye to meri izzat afzayi hai smile.gif

QUOTE
uss yazeed ko ..khar dafa karoo uss Fasiq ka zikar hi gunha hai


Lekin phir to uss "fasiq" ki bait kerne waalay "imam" ain ul Aabideen bouhat hi baray gunah-gaar huway
Dash|ng^^Pr|nc3^^
QUOTE
Aapkay hi imam janab e Zain ul Aabideen ne kaha hai ussay ameer ul momineen ab unka eeman mere jaisa hai to ye to meri izzat afzayi hai


hamari book say zara reference dayn... jo k authentic ho...

plus.. jo mai nay book kay refernce k sath likha.. us ko aap nay ignore kiun kia???????????

is liay k woh hamari book hai?????? to mai bhi aap ki books k FUZOOL baton ko kiun manoo 0-16_angry.gif

Dash|ng^^Pr|nc3^^
QUOTE(Daylight @ Mar 11 2006, 04:21 AM) [snapback]2127037[/snapback]

Ji ji "Imam" Zain ul Aabideen yazeed ke defender hi thay issi liye to uski bait ki thi.
A big surprise to ho ga aap ke liye kyunke jisne shaam e ghareebaan se ziada tareekh parhi hi na ho uss ke liye to yakeenan aik surprise ho ga smile.gif


ZAHIR HAI... MAI TO AAP JAISA PARHA LIKHA NAHI... KUCH NAHI PARHA... SIWAY SHAM E GAREEBAN K... WARNA MAI TO YAZEED KO SALAM NA KARTA LOLZZZZZ@ u

by the way... u r wrong in tht k imam nay YZEED LANTI ki bait ki thi.....

[b]Jahan tak barhana sir bazar mein phhiranay aur hathkariyan pehnanay ki baat hai to aapko maloom hai ke iss rawayat ko bayaan kerne waala kon hai?? Wohi Abu Mukhnaf jisko tamam aima hazrat kazzaab keh chukay hain ya doosray alfaaz mein jiskay jhootay honay par ijmaa hai.........Wesay mein uss par bhi aik post karon ga,
Laikin aap bhi agar aam aqal se sochein taqleedi zehniyyat se nikal ker ke Hussain(RA) ki shahadat ke baad agar iss tarha ehle bait ki khawateen ka jaloos nikala gaya hota aur tash-heer ki gayi hoti to ye kisi bhi hakumat ki sab se bari bay-waqoofi hoti ke logon ke jazbaat ko mushta'il karay..........Jahan aaj ke zamany mein Rasool(PBUH) ke cartoons ki ishaat par itna hungama ho wahan uss kharul qaroon mein Rasool(PBUH) ke khandaan ki khawateen ko sar e bazar ruswa kiya jaata to kya qayamat barpa na ker detay awam?? Wo awam jo hum se to ziada hi eeman waalay thay...........Laikin na to kisi ne koi hungama kiya aur na hi iski zaroorat thi kyunke aisa kuch hua hi nahin balkeh ye 100 saal ke baad baith ker Abu Mukhnaf ne iss afsaanay ko janam dia......



waqai yeh to aqal wala hi soch sakta hai...... zahir hai yazeed ko defend karnay k liay yeh sab riwayaaat jhooti ho jayn gi.. aur yeh riwayat sirf ABU MUKHNAF ki nahi..... deegar riwayat bhi hain

kabhi books kholo.. aur parho

Baaki baat ussi post mein ho gi, yahan to Zain ul Aabideen par baat ho rahi hai......Aur agar ye bazar bazarr tash-heer waali baat such hoti na to phir to intehayi laanat bhejni chaahiye uss par ke jo uskay baad bhi yazeed ki bait ker gaya aur imam bhi kehlaya smile.gif

mai wahan hi aa raha hun


breakface1.gif
Daylight
QUOTE
hamari book say zara reference dayn... jo k authentic ho...


Tareekh ki awwalein kitabein uthaiye, kuch aapko dikha diya baki ka yakeen kerna ho to tareekh ki awwalein kitabein khud dekh lein.....Tareekh tabri ka hawal bhi ooper majood hai jo aik shia writer ki hi hai.....wesay bhi APNI "BAY-IZZATI" KOI KHUD KYUN LIKHAY :d

QUOTE
plus.. jo mai nay book kay refernce k sath likha.. us ko aap nay ignore kiun kia??


Achha usko bhi lel etay hain, ye shakhs jisne ye kitab likhi hai kis year ki tareekh e paidaish hai iski?? Yakeenan Karbala ke bouhat baad ki hi ho gi lehaza isne ye rawayat kisi awwalein tareekh ki book se li ho gi, zara uss book ka ref. dein aur raaviyun ka bhi irshad farmain ke kon thay.........Tareekh mein ehmiyyat agar hai to sirf awwalein atreekh ki kitabon ki na ke aajkal ki tareekh ki kitabon ki jo sirf unn purani kitabon ka charba hi hain aksar aukaat.........Haan pichhli kisi rawayat par tanqeed to ho sakti hai aajkal ke zamane mein laikin nayi rawayaat nahin banayi jaa sakti......So give the original source.

Wesay bhi topic "treatment" nahin hai balkeh Bait e Zain ul Aabideen hai........Laikin aapka masla hamesha se yahi hai ke main topic par to baat nahin kerni beech mein se aik fiqra ura ke uss par baat shuru ker deni hai.......


QUOTE
to mai bhi aap ki books k FUZOOL baton ko kiun manoo 0-16_angry.gif


Agar tareekh ki awwalein kitabein meri hain aur aap unko mukammal jhoota manatay ho to aapki tareekh kahan hai??

QUOTE
aur yeh riwayat sirf ABU MUKHNAF ki nahi..... deegar riwayat bhi hain

kabhi books kholo.. aur parho


Ji haan mere bhai ji ye abu mukhnaf ki hi hain, aapko nahin maloom to iss mein mera kasoor nahin aur kinn books ko kholne ki baat ker rahay hain aap smile.gif Aap khud maqtal abu mukhnaf aur tareekh tabri dekh lo shaaid tab bhi aankhein band ker ke yakeen kerne se inkaar ker do aur kaho ke ye abu mukhnaf ki nahin hain :d Wesay bhi bataya na iss par alag se topic shuru karon ga , filhaal to sab dekh saktay hain ke ASAL topic par aap ya koi aur aa hi nahin raha yani zain ul aabideen ki bait smile.gif


FarOOqi
Assalam-o-alaikum,

shia jin 12 imamon kee baat kartey haen unn mae sey 11 tu waqaee thay.. yay alag baat hay kay wo shia nahee thay Musalman hee thay... Musalmano kay tareeqay per hee ibadat kartey thay aur sab kay samnay kartey thay...

imamat kay rules jo shia ney banaey thay wo tootnay lagay thay... tu yay silsila 12wen farzi imam per rok diya gaya kyon kay ager yay silsila chalta rehta tu shayad aaj shiat ka wujood na hota...aur oos farzi imam ko almost KHUDA bana hee diya gaya kay na wo nazar aaey, na koi choo sakay, na koi baat ker sakay laykin poori kaainaat ka nizaam bhee chalaey, aglay pichlay halaat bhee jaanay... na usay khanay kee zaroorat na paani chahiyay... etc.

yehee waja hay kay Hazrat Zainul Abideen(ra) hon ya inhee 11 hazraat mae sey koi aur... wo sab kay sab Musalman thay aur Ashaab-e-Rasool(saw) sey muhabbat karnay walay thay...

yehee waja kay shia ko taqya kee chaadar uRhani paRee apnay pairokaron ko satisfy karnay kay liyay..

tu Hazrat Zainul Abideen(ra) sey related inn baaton ka jawab inhon ney nahee daina...


wassalaam,
farooqi.
Haq-Ali
Daylight ajj hi main nay tumahree poriiiiiiiiiii post read ki hai...ik baat tu batoo bhoknay main boath tez ho kaheen ye likha hai tum nay kha imam zain-ul-abadien nay bayet ki thee yazeed(maloon)ki????????????????????????????????????????????????????????????????/ajeeb baat hai sharm hi nahi hai tum main..ik jagah amer ul moomen kah diya tu uss ko pakar kar beth gayee..wow...joth na bool skaoo tu na bola karoo.....oki phelay ye sbait karoo kah imam nay bayet ki..wo bhi shaha sath say..ye tum nay ibn-e-kaser,tabkat ibn-e-sad ,tibri etc ka hawala diyahai tum sheyad bhol rahay ho kah tum tibri ,ibn-e-kaser ko nahi mantay..tumharay hi qoul tha kah tibri jotha hai...yaad hai na..........................i hop so...tum loog such main nasbi ho....tumhara kasoor nahi..wo iss liya jin ka imam sharabi,zanie,etc ho tu wo asay hi hoon gay...or jin ka imam sharab pi kar namaz pharha day..khar tumhara in say kay wasta ...hnnna.........
YAZEED KAY MOHIB PER LANAY OR USS KI ALL PER LANAT BAYSHOMAR...
ab jo bhi yazeed ko acha kahaymaree taraf say ye qabool karay hadiya..thank
Daylight
Farooqi bhai ki aik aur zabardast post........bilkul sahi kaha aapne........Ye sab "imam" hazraat intehayi qaabil e qadar aur azeem hastiyaan thi jinkay pairon ki dhool bhi hamaray liye saadat ka baais hai............Jaafar Sadiq hon ya Zainul Aabideen(RA) sab intehayi pakbaaz aur islam ka sarmaya hain lekin unki taleem ko badalne waalay aur unko kisi aur deen ka pairokaar bananay waalay aur iss ke liye koofay aur basray ki taksaalon mein baith ker jhooti rawayaat ka anbaar laganay waalay hi asal mujrim hain........


Haq Ali aap apni language sahi karain aapko har baat ka jawab milay ga.....

Aakhir Ehle Bait ki muhabbat ki baat kerne waalay, Rasool(PBUH) aur unki Aal se waalihana muhabbat ka iqraar kerne waalay, Hazrat Hussain(RA) aur Hazrat Ali(RA) se bay panah muhabbat kerne waalay, Unkay ghum mein apnay aap ko peetnay waalay, Aakhir itni gandi zuban ke maalik kyun hotay hain?? (aksar)

Jab unko baat kerne ki tehzeeb nahin to kis moonh se Ali o Hussain(RA) ka naam letay hain?? Ye loag to unkay naam par aur unki taalemaat par "dhabba" hain.......
Haq-Ali
ab????????kahdo sab jotha hai????????jasa kha kahaty ho...
IPB Image
IPB Image
IPB Image
IPB Image
IPB Image
IPB Image
ab bhi yazeed sahee hai tu sahee kahanay walay per bhi lanat or uss ki all per bhi..bye
Daylight
Huh.........

Awwal to topic ye hai hi nahin ke yazeed ka shumaar khulafa e raashideen ya raviyaan e hadith mein hota hai...........jo iss topic se aisa samjha hai ye uski apni soch ka qasoor hai.........

Topic hai Zain ul aabideen ka bait e Yazeed..........Na ke Yazeed as Khalifa e Rashid. ok

Hazrat Muhammad bin Hanfia ke baaray mein aapka kehna hai ke wo na to Sahabi hain aur na hi tabayee :d To phir wo kya hain?? Doosri baat ke agar sahabi bhi hotay to aap ne konsa sahabiyun ko bakhsha hai aap to unhein bhi sar e aam gaaliyaan detay ho smile.gif

Hazrat Ibne Hanfia yani Brother of Hussain(RA) ka bouhat buland martaba tha......Jab unko yazeed ke khilaaf baghawat kerne ka kaha gaya to unhon ne kaha kyun karon mein baghawat?? jawab mein logon ne kaha ke wo sharab peeta hai , zana kerta hai aur namaz chhorta hai.............Iss par Ibne Hanifa ka bayaan hai ke "Kya tumne ussay aisa kertay dekha".......Logon ne kaha nahin humne aisa suna hai, iss par ibne Hanifa ka bayaan hai ke "Mein khud kayi baar kayi kayi din yazeed ke paas araha hon laikin meine aaj tak uss mein aisi koi burayi nahin dekhi".
Ab Aap aam logon ka wo bayaan jo suna sunaya hai qabool kertay hain aur Hazrat Ibne Haneefa ka bayaan jo eye-witness ki haisiyyat rakhta hai usko baghair kisi wajah ke radd kertay hain ........:d :d well done.

Baki marvan(RA) aik sahabi thay, Hazoor(PBUH) ki wafaat ke wakt unki umar 11 saal thi, Hussainikhandaan ne Marvan ke khandaan mein apni bouhat si larkiyun ko nikah mein diya.........Marvaan(RA) ke mutallik wazayee rawayat koi maani nahin rakhti jo k abu mukhnaf and co ki bayaan kerda hain........Aik hadith aapne yahan ye keh ker bayaan ki hai ke hazoor(PBUH) ne kaha ke ye maindak jaisa hai aur iska baap bhi maindak ya girgat jaisa tha............Ye alfaaz khud iss rawayat ke jhoota honay ka saboot hain ke mere Rasool(PBUH) ki lnaguage aajkal ke shias jaisi nahin thi.......Hazoor(PBUH) se aisay alfaaz mansoob kertay huway banday ko zara sharam ker leni chaahiye k iss se kisi aur ki reputation kharab ho na ho hamaray Nabi(PBUH) ki izzat par zaroor harf aata hai.....unkay sahabi honay ke mutallik ooper pages mein hi ref majood hai.
Muslim bin Aqba(RA) ko aap sahabi na bhi maano to kya farq, aap to sahabiyun ko gaaliyaan dene se baaz nahin aatay, to ye kya baat hui ke wo sahabi thay ya nahin....aapne jab gaali deni hai to konsa dekhna hi hai ke ye sahabi bhi hai ya nahin.


Sirf aakhri aik do pages related hain topic se, jin mein Zain ul Aabideen ke mutallik bayaan hai......lekin yahan bhi kamaal ki hoshiyaari dikhayi hai bajaye iskay ke unki bait par baat kertay phir yazeed ki buraiyaan bhi wahan shuru ker di, Jabke baat ye nahin thi ke yazeed bura tha ya nahin baat ye thi ke zain ul aabideen ne karbala ke sab wakayaat apni aankhon se dekhne ke baad bhi uski bait ker li aur uskay khilaaf kisi baghawat ka hissa na banay ye sab kya saabit kerta hai??
Aapne lisaan ul meezan ke hawalay se kaha ke Umr bin Abdul Azeez ne aik shakhs ko 20 koray lagaye ke usne yazeed ko koray lagaye.........Lekin aap itnay bay-eeman niklay ke uss ke aagay jo rawayaat bayaan hui hain wo chhor gaye.....ye rawayat bayaan kerne ke baad mazeed rawayaat bayaan ki gayi hain jin mein iss baat ki tardeed majood hai aur aakhir mein kaha gaya hai ke "inn sahi rawayaat se unn kaazib rawayaat ki takzeeb ho jaati hai jin mein umr bin abdul azeez ke kisi shakhs ko 20 koray maarne ka kaha gaya hai."
Wesay agar ameer ul momineen kehne par koray parnay chaahiye to abhi aapnay khud aitraaf kya ke "imam" zain ul aabideen ne yazeed ko ameer ul momineen kaha ,to phir to unko bhi koray parnay chahaiye.......hana??
Phir mazay ki baat ke yazeed ke itna faasiq aur kaafir honay ke bawajood aur usko gaaliyan dene ke bawajood bhi aapkay paas koi valid reasoning nahin ke zain ul aabideen ne uskay khilaaf jang mein doosron ki madad kyun na ki.....balkeh khalifa ko likh bhaija ke mujhe loag jang ke liye uqsa rahay hain :d aur iski reasoning mulahiza ho ke wo jang o jadal se door rehtay thay........to bhai phir wo karbala mein kya kerne gaye thay??
Aap bechaaron ko jab kaha jaaye ke Hussain(RA) ne Muaviyah(RA) ki bait ker li to kehtay hain wo sula joo aur jang se door rehne waalay thay aur ye hikmat thi, jab hussain(RA) ki baari aati hai to saari hikmat hawa ho jaati hai tab yazeed ke khilaaf uthna islam ke liye uthna tha, laikin ussi yazeed ke khilaaf na uthne par zain ul aabideen ke mutallik kehtay hain ke wo jang se door rehtay thay aur ye unki hikmat thi :d :d :d
Nahin bacha paain gay aap loag apnay imams ko jab tak aap issi mazhab par rahain gay aur jab aap ye shiite chhor dein gay to sab sahi ho jaaye ga ye jhootay bahanay bana bana ker defend nahin kerna paray ga.......
Yazeed ko dua di to uski explanation mulahiza ho ke ta ke loag keh na sakain ke ye ehsan faramosh thay :d :d nice one.


QUOTE
ab bhi yazeed sahee hai tu sahee kahanay walay per bhi lanat or uss ki all per bhi..bye


Soch lo ke iss lanat mein aapkay imam bhi shamail hain smile.gif jinhon ne na sirf yazeed ki bait ki, usko dua di balkeh uskay khilaaf kisi bhi baghawat mein hissa lene se inkaar ker diya.......Aur unki aal par laanat bhaij ker aap ne apnay sab imams par tabarra kya hai........Yahi nahin Ibne Haneefa yani HAzrat Hussain(RA) ke bhai ne yazeed ko sharabi o zani kehne waalon ko jhoota kaha to unn apr bhi aapki ye laanat badarja e oola pari aur unki aal kon thi ye bhi aapki maloom hona chahaiye...........

Hazrat Ali(RA) ne Muaviyah(RA) se jang ki, Hasan(RA) ne uss se sulah aur bait ki.
Hazrat Hussain(RA) ne Yazeed se jang ki, Zain ul Aabideen(RA) ne uss se sulah aur bait ki.

:d :d Yaa to apnay imams ko kuch samjhao ya khud kuch samajh jaao.ye bahanay na karo ke imam ko jang ka shauq nahin tha, bhala jis shakhs ko jehad ka shauq nahin wo imam kehlanay ke laiq ho sakta hai??

Deep Blue Eyes
Daylight agar tareekh hee such hae to sari mano.
Maslun mano keh Hazrat Ayesha Hazrat Usman ko NASIL kehti theen aur kehti theen keh iss nasil ko qatal ker do.
Mano keh keh jis keh mutaaliq itney daawey haen keh Hazoor (SAWW) ne itnee dua mangi keh musalmaan ho jaey kion keh bohat bahadur they us kee talwaar ya Behnoi pe niklee aur phir niaam mein zang lag gaya.
Mano keh Tareekh sahee kehti hae keh koi Bibi (SA) keh dur pe aag le kar gaya aur Bibi pur Darwaaza giraya.
Mano Keh Hazrat Abu Bakar ne jo Hadees suani thee woh un keh ilawa us se pehley kisi ko pata naheen thee aur Bibi Fatima (SA) ne unhein jhutlaya tha.
Mano keh Hazrat Ali (AS) ka haq ghasub hua tha.

Aur kuchh ya kaafi hae ?????
Haq-Ali
daylight maan gaya baqi koi ho na ho main kamaz kam tumhara mureed ho gayea hoon kay baat hai apni shamindagee kasay chupa latay ho wow...koi ik bhi jawab nahi day sakay or agay say wasay hi bateen banaye ja rahay ho...sab hc walay dhekh rahay hoon gay kha dl kay pass na koi books say jawab hai kudh hi say Mujtahid,molvi,imam banay ja raha hai..jasay molna sabdalvi shahib hain..wo bhi ap ki hi famliy say hain yani Yazeedi ....mean yazeed say mureed..khar janay do ab tum rah gaeya ho..ik kam karoo apnay kissi Pervezi alim say poch lo...oki
wasay tumahree koi baat bhi kabl-e-jawab nahi but phir bhi tasali kay liya jawab day raha hoon jo inshallah kabhi nahi ho gee cheya Yazeed (lhkk)aa kar kudh bhi kah day kah "main gunhagar hoon" smile.gif ..khar..
1:marvan....iss kay baray jo main nay raveyt di hai wo maree nahi kah kamazkam..koi..agar koi itaraz hai tu...sunni alimoon say kahoo ..
2:tum nay likha tha Hamray Hazoor...?wasay koon say?????Pervezi shahib?????such main ....main wo hi smajh hoon..becoz tum loog tu hazoor ko manaty nahi ho..hnn na...agar TAQIYA na karoo tu.....
baqi........Imam Zain-ul-abadin (a.s)kay barya main apni gandi zaban band hi rahkho tu acha hai..wasay hi apnay kandan ka bata rahay ho kah kahan kay hain.....agar sabit nahi kar skatay tu chup rahoo..apna app na dhekhoo....
oki ab sakoon say rahoo..tumahray pass kay tumharay Pervez kay pass bhi nahi ho ga.. smile.gif
Haq-Ali
QUOTE(Deep Blue Eyes @ Mar 14 2006, 01:25 PM) [snapback]2127698[/snapback]

Daylight agar tareekh hee such hae to sari mano.
Maslun mano keh Hazrat Ayesha Hazrat Usman ko NASIL kehti theen aur kehti theen keh iss nasil ko qatal ker do.
Mano keh keh jis keh mutaaliq itney daawey haen keh Hazoor (SAWW) ne itnee dua mangi keh musalmaan ho jaey kion keh bohat bahadur they us kee talwaar ya Behnoi pe niklee aur phir niaam mein zang lag gaya.
Mano keh Tareekh sahee kehti hae keh koi Bibi (SA) keh dur pe aag le kar gaya aur Bibi pur Darwaaza giraya.
Mano Keh Hazrat Abu Bakar ne jo Hadees suani thee woh un keh ilawa us se pehley kisi ko pata naheen thee aur Bibi Fatima (SA) ne unhein jhutlaya tha.
Mano keh Hazrat Ali (AS) ka haq ghasub hua tha.

Aur kuchh ya kaafi hae ?????

clapping3.gif wasay such bolna mana haiiiiiiiiiiiiiiiiii ..ab tu tum.. banned.gif ..khar ayenda kay liya ehtayat karna .plzz becoz in kay pass jawab nahi hai lihza block kar datay hain..cheya app in ki hi books say likho bhi...wasay...kush raheya..bye
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.