assalam o alaikum dear friendz
is hairat kaday main pahly bar qadam rakha hay lihaza ap sab se apna taaruf kerwatay chalain
nam to amma abba nay bhala sa rakha tha magar wo alqabat ki bochar main kahin kho gaya hai ap humain jis nam say chahain pukar saktay hain
koi 21 sal pahlay hum nay is dunya main anay ki jisarat ki thy or aj tak apny is jisarat pe hairan hain
waisay ap ye na samajhye ga hamain sirf hairan hona ata hai hum hairan honay k ilawa or bhi bohot kuch kerlaitay hain maslan kabhi kabhi urdu adab pe ahsan kertay hoe ik adh nazam bhi likh laitay hain
amman ki mar say bachnay ko kabhy kabhy ghar ka kam bhi ker laitay hain
or university main bhi qadam ranja ferma laitay hain kabhy kabhy koi test bhi day hi daitay hain akhir teachers ko fail kernay k liye bhi to koi student chahiye na waise ta hal hum MBBS 1st professional kernay ki koshishon main mashghool hain
hamaray haq main dua e khair kijie ga k ye koshish kamyab jae
ap ki duaon ki talib



ap ky liyeh