Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Daylight Se Aik Swal
HulChul.NET > Religions > Islam
Hulchullian
daylight sir,apki posts dekhi hain mein ne kabi muje ikhtalaf b hua kabi ittefak bi, mein aik khamosh learner hon ziada posts nhi kerta, lekin apki karbala wali kuch posts par mere liye khmaosh rhena momkin ni tha
apne yazed ke haq mein sahi bukhari ki ye hadith to likh di ke jo pehli fauj qustantania par jehad karay gi wo jannati ho gi aur phir kaha k us jehad men yazed bi shamil tha
laikin sir j aapko kya wo hadeeth nazar nai ayi jo tafsir rooh al mani mein tibrani ke hawale se majod hai k

"aye Allah! jinho ne madina walon pe zulm kia aur unko khauf zada kia un pe Allah , uske farishton aur pori insaniyat ki lanat ho,unki na tauba qabool ho gi aur na hi unse fidya kabool kia jae ga"

bilfarz wo oper wali hadeeth sahi bukhari men majod bi hai aur agar yazed ne qustantunia ke us jehad mein hisa bi lia tha to tab bi us hadeeth mein di gyi maghfrat ki basharat dosri hadith se jo tibrani mein hai cancel ho jati hai aur yazed lanat ka mustahaq aur dozkhi qarar pata hai

kyun k
ye yazeed aur uski fauj hi thi jinho ne madina mein zulm o ziadti ka bazar garam kia aur madina walon ko khauf zada kia,jino ne madina ki muhtram khawaten ki izzatoon ki dhajjian urayi,jino ne bachon ko ziba kia

kya tum aise shakhs ko janati qarar de sakte ho??

apki kai posts appealing b hoti hain lekin ye post to muje aql se paidal lagi , sorry for that

kehte hain jis bat ke bare pora na pata ho nhi bolte to jab apko is dosri hadeeth ka ilm nai tha to kyun bila waja boli jate ho?

mein koi shia nai k mere yazed mukhalif hone ki waja mera khas maslak ho balke mein aik sunni ahl e hadeeth hon, apke jawab ka intzar rahe ga.

umed hai apko apni ghalti ka ehsas ho jaye ga.
Haq-Ali
smile.gif
Daylight
QUOTE
bilfarz wo oper wali hadeeth sahi bukhari men majod bi hai aur agar yazed ne qustantunia ke us jehad mein hisa bi lia tha


Zara apni dayanat dekhiye, aapko ye bi maloom tha ke ye Hadith Sahi bukhari mein majood hai aur ye bhi yakeenan ilm ho ga ke sahi bukhari ke saaray shaareheen, tamam tareekh-daan aur ulama iss baat par muttafiq hain ke uss jang mein yazeed shaamil tha aur yazeed iss wada e maghfarat mein shaamil hai

Laikin uskay bawajood aap iss baat ko iss tarha likhtay hain ke "bilfarz wo shaamil bi tha" aur "bilfarz ye hadeeth sahi bukhari mein b ho".......

Kya ye ilmi bad-dayanti nahin ke aik yakeeni cheez ko aap iss andaz se likhein ke parhne waalay ko lagay ke inn cheezon mein bhi shak wali baat hi hai.


Aapko agar such mein shak hai to mein aapko wo hadith aur ulama aur bukhari ke shaareheen ke iqtabasaat yahan de deta hon, reply ka intezar rahay ga...

QUOTE
kya tum aise shakhs ko janati qarar de sakte ho??


Ye sawal aapko mujh se nahin Rasool(PBUH) se poochna chahaiye , balkeh chunke Rasool(PBUH) ki pesh goiyaan Wahi e Ilahi par mushtamil hoti hain lehaza aapko ye sawaal Allah se poochna chahaiye


QUOTE
kehte hain jis bat ke bare pora na pata ho nhi bolte to jab apko is dosri hadeeth ka ilm nai tha to kyun bila waja boli jate ho?


Wese ye sawal aapko pehle apnay aap se kerna chaahiye k jab poori baat ka na pata ho to boltay nahin.....

Doosray topic mein to aap Sahi Bukhari ka bara dum bhar rahay hain lekin yahan aapko Sahi Bukhari ki hi hadith chub rahi hai aur uss hadith ke hukam ko aap kisi na kisi tareekay se cancel kerna chah rahay hain.......Najane yahan Sahi Bukhari ki iss hadith par naak bhoon charhanay se aap munkir e hadith kyun nahin ban gaye....


QUOTE
apne yazed ke haq mein sahi bukhari ki ye hadith to likh di ke jo pehli fauj qustantania par jehad karay gi wo jannati ho gi aur phir kaha k us jehad men yazed bi shamil tha
laikin sir j aapko kya wo hadeeth nazar nai ayi jo tafsir rooh al mani mein tibrani ke hawale se majod hai k

"aye Allah! jinho ne madina walon pe zulm kia aur unko khauf zada kia un pe Allah , uske farishton aur pori insaniyat ki lanat ho,unki na tauba qabool ho gi aur na hi unse fidya kabool kia jae ga"

bilfarz wo oper wali hadeeth sahi bukhari men majod bi hai aur agar yazed ne qustantunia ke us jehad mein hisa bi lia tha to tab bi us hadeeth mein di gyi maghfrat ki basharat dosri hadith se jo tibrani mein hai cancel ho jati hai aur yazed lanat ka mustahaq aur dozkhi qarar pata hai

kyun k
ye yazeed aur uski fauj hi thi jinho ne madina mein zulm o ziadti ka bazar garam kia aur madina walon ko khauf zada kia,jino ne madina ki muhtram khawaten ki izzatoon ki dhajjian urayi,jino ne bachon ko ziba kia


Ye baat pehli dafa nahin pesh ki gayi , balkeh kisi topic mein hamaray aik shia bhai bi yahi baat pesh ker chukay hain , wahan meine mukhtasir jawab dia tha lekin yahan mein nahin jawab doon ga kyunke

Iss sawal ka jitna achha jawab kaafi arsay pehlay Deoband ke aik risalay mein dia gaya tha uss se achha jawab koi ho nahin sakta...




Ye tehreer Deoband ke magazine "Tajalli" ke shumaray june-july 1961 mein shaya hui thi, jis mein aisay hi aik aitraz ka jawab dia gaya tha ,kuch ghair mutallika baaton ko edit ker ke wo jawab pesh e khidmat hai , aapki tasalli karay ga...

IPB Image
IPB Image
IPB Image
IPB Image
IPB Image
IPB Image

Haq-Ali
Hulchullian pheali baat tu ye hai kha Daylight Pervezi firqay say hain....in kay samnay Rasool (pbuh)bhi aa jayeen tu ye un ka inkar kareen gay..app ik alim ya historian kay uper besh kar rahay hain...or hnn rahee baat yazeed ki tu..ya Jab Rasool ko nahi manaty tu yazeed ko tu manaeen gay..jab Imam Hussain(as)ko ye baghi kahtay hain ...issi liya har bar yazeed ko bacha latay hain..jasay Hadees Rasool(saww)ka zikar har yazeed mardood karta hai..means..uss ko dhal bana latay hain..or sath main rasool ki hadees..(jo pata nahi kudh say bana li hai ya..khar)ko Quran kay hukam kay sath mila datay hain...
1: phelai baat tu ye kha kha hadees say kaheen murad ye nahi kha agar un loogon nay jihad kiya tha tu wo pakay pakay janti ho gayee..hnn ye ho sakta hai kah pechlay gunha maf ho gayee hoon(main nahi kahata sunni maslak kay alim kahaty hain..na kah pervezi mardood).or ye kha Ashab Badar ko allah nay bakhs diya tha ..iss main magfarat Diemi hai...becoz wo koi gunha etc nahi kareen gay.....yani jasay Quran main hay " or tumharay liya janat main wo kuch ho ga jo tumahray NAFS chaheen gay" ab kay koi soch skata hai kah hamray nafas haram kam chahen gay??????nahi kyoon kha janat main koi insan gunha ki kawahish hi nahi karay ga allah kay fazal say...or mazay ki baat ye hai kha yazeedi lanati jo hadess pesh kartay hain uss jihad main tu Hazarat Zubir(rz)bhi thay.kya unho nay Hazoor ki hadess ko nahhi suna tha jo Yazeed ki bayet nahhi ki?????ajeeb baat hai...
2: yazeed (malon)nay jo wafad bejha tha uss main hazar zubir (rz)kay bhai bhi thay..sahee kaha ..wasay toba ka makam hai kah ik amm insan ko Hazoor (saww)ka sahabi bana diya hai lanat hai un per jo Muslim bin akba ko sahabi kahaty hain..takha wo usss zulm say bach jayee jo uss kamenay nay kiya ...hafiz ibn-e-hajar iss ko shabi nahi kahaty balkhay iss (mardood)say itni nafrat kartay thay kha app nay iss ko abdul rahaman bin muljam (lanat)kay stah milayea hai(al shaba jild 3 page 494)oki..
3: wasay 4 adad kamandar shabi famouse main yazeedi lashkar kay ..but sorry un main say kloi bhi shabhi nahi tha..sab joth ...oki ab yahan loog kaheen gay kah main joth kahat hoon..no way...sab kuch app ko Hafiz ibn-e-hajar Askalni ki book say mil jayee ga...Yazeedi (maloon)wahan say read kar lain...
4: muslim nay 3 din tak madina main qatal-e-am kiya wo bhi yazeed mardood kay kahnay say jiss ki wajha say 306 shaba shadeed howay..issi liya murakeen nay Mulim ko " musraf" likha hai ..
5: ab koi ye kahay kah asa nahi howa etc..tu koi baat nahi Pervezi kafir ye hi kaheen gay..koi sunni bhai ye nahi manay ga kah yazeed (malon)sahee tah etc...becoz sunni bhi ye nahi cheyan gay kha..ik sharbi or zanie un ka imam ho..

so Hulchullian app besh chor dain becoz pervezi app ki pesh ki gayee har hadees ko jotha kaheen gay..lihaza app kyoon ye read kar kay gunha latay hain bhai..janay dain..Daylight ka asal face sab ko pata chal gayea hai..kah ye koon hain...Rasool(saww)kay munkir..
wasay ik tehreek ki zaroorat hai kah Pervezi firkay ko bhi non-muslim declar kiya jayee..thank
Daylight
Brother Haq Ali, ghussa nahin ok smile.gif


QUOTE
or sath main rasool ki hadees..(jo pata nahi kudh say bana li hai ya..khar)


Sahi Bukhari kya meine likhi hai jo ye hadith meine banayi hai ??? biggrin.gif ghussay bhi na insan ulti seedhi baatein kerne lagta hai smile.gif

QUOTE
phelai baat tu ye kha kha hadees say kaheen murad ye nahi kha agar un loogon nay jihad kiya tha tu wo pakay pakay janti ho gayee....hnn ye ho sakta hai kah pechlay gunha maf ho gayee hoon.


Mein kuch der baad wo hadith with arabic wordings yahan pesh kerta hon ta ke sab dekh lein k aap jhoot keh rahay hain ya such,

Hadith se kyun kahin nahin muraad?? Hadith mein saaf saaf majood hai k jo pehli fauj qustantunia par hamla karay gi uski maghfrat ho gai.

Maghfarat ka matlab agar pichlay gunah maaf hona hai to aap se guzarish hai ke kam az kam matric dobara kar lein ta ke urdu ke alfaz maani ko samajh sakain, Aik unparh ganwaar shakhs bhi janta hai ke maghfrat ka matlab pichlay gunahon ki mafi nahin hota balkeh bakhsha jaana ya jannati hona hota hai.....

Hazoor(PBUH) ki pesh goiyan aisay hi nahin hoti thi kisi aam admi ki tarha, wo wahi e ilahi par mushtamil hoti thi, Ab hadith ke wazeh alfaz se inkar ker ke taweel mein panah lena aapko zaib deta hai kya??

Ashra Mubashra se kya muraad hai?? Ye ke unn 10 afraad ko as an individual jannat ki basharat di gayi aur wo maghfoor huway.......Agar wahan bhi maghfrat ka matlab yahi hai ke pichlay gunah maaf ho gaye to phir iska matlab wo bhi jannati nahin........ Hazoor(PBUH) ko agar pata hota k meri ummat mein aisay loag bhi aain gay jo meri pesh goiyun ko apnay mufaad ke liye toar maroar ke pesh karain gay to wo aisay logon ke jahannami honay ki pesh goi bhi ker jaatay.....


QUOTE
or ye kha Ashab Badar ko allah nay bakhs diya tha ..iss main magfarat Diemi hai


Ashaab e Badar ke liye bhi jannat ki basharat di gayi usko aap kehte hain ke ye daimi thi , qustantunia ke jehad mein hissa lene waalon ko bhi jannat ki basharat di gayi isko aap kehtay hain ye aarzi thi.....

Wah wah aapki hadith aur deen fehmi par, kya aapko wahi hui thi jo Rasool(PBUH) ki pesh goiyun ko apnay matlab ke liye jaisay chaha moar rahay hain?? Rasool(PBUH) ke irshadaat ke saath aisa khel aur phir ilzam doosray ko???

Wese shukar hai ke aap ashaab e badar ko hi jannati maan gaye warna hazrat ABu Bakr(RA), Hazrat Umar(RA) aur hazrat Usman(RA) ko bura bhala kehtay aap logon ki zubanein nahin thak-ti.


QUOTE
or mazay ki baat ye hai kha yazeedi lanati jo hadess pesh kartay hain uss jihad main tu Hazarat Zubir(rz)bhi thay.kya unho nay Hazoor ki hadess ko nahhi suna tha jo Yazeed ki bayet nahhi ki?????ajeeb baat hai...


Aur aik aur mazay ki baat k Hazrat Zubair(RA) to jang e jumal mein hi shaheed ho gaye thay wo yazeed ke daur mein kahan se aa gaye??

Jinhon ne yazeed ki bait na ki thi wo hazrat Zubair(RA) ne balkeh unkay betay thay.......

Aur doosri mazay ki baat k abhi aapne kaha ke ashaab e badar jannati thay to phir hazrat Ali(RA) ne 6 mah tak ya aap logon ke baqaul kabhi bhi hazrat Abu Bakr(RA) ki bait nahin ki, yahi nahin unhon ne aapkay mutabik baki do khulafa ki bhi bait nahin ki,

Jab tak aap tazadaat par mabni apnay mazhab se chhutkara nahin paa lein gay aap aisay hi "mazay mazay" ki baatein kertay rahein gay.

Aap sirf aik hazrat Zubair(RA) ke betay ko to dekh rahay ho unn 300 sahaba(RA) aur 5 azwaaj e Rasool(PBUH) ko nahin dekh rahay jinho ne yazeed ki bait ker li thi.......Yahan tak ke hazrat Hussain(RA) bhi karbala pouhanch k bait e yazeed pe raazi ho gaye thay jaisa ke unn 3 sharaait mein se aakhri shart mein hai jo hazrat Hussain(RA) ne ibne zayad ko pesh ki thi.


QUOTE
lanat hai un per jo Muslim bin akba ko sahabi kahaty hain


Kisi shia bhai ki zuban se kisi Sahabai ke baaray mein aisay alfaaz sun-nay ki adat ho chuki hai, wese bhi wo sahabi hon ya na hon aapko iss kya farq parta hai , aap to jaleel ul qadar sahaba(RA) ko gaaliyaan dene se nahin chooktay smile.gif iss liye ke aapkay mazhab ki bunniyad hi Sahaba(RA) ko gaaliyan dena hai.

QUOTE
muslim nay 3 din tak madina main qatal-e-am kiya wo bhi yazeed mardood kay kahnay say jiss ki wajha say 306 shaba shadeed howay


Meine jo pesh kya wo shaid aapne sahi se parha nahin, wahan saaf likha hai ke iss afsanay ki koi aik rawayat bhi aisi nahin jiskay raavi achhay kirdar ke ya sahi ul aqeeda hon, kazzabieen aur majhool raaviyun ke bayanaat se ye dastaan murattab hui, hairat hai ke agar ye wakaya sacha tha to baki sab deen daaron mein se kisi ne isko kyun bayaan n a kya kyun hasham kalbi aur abu makhnaf jaisay kazzabein jo aini shahid bhi na thay iss wakaya ka pata chala aur baki aalam iss se la-ilm hi raha.

QUOTE
so Hulchullian app besh chor dain becoz pervezi app ki pesh ki gayee har hadees ko jotha kaheen gay..


biggrin.gif biggrin.gif Yahan sahi bukhari ki hadeeth ko kon jhutla raha hai?? janab e maan aap, iska matlab hua ke aap parwezi ho,
Aur aap chunke sahi bukhari ki aur bhi kaafi saari ahadeeth ko nahin maantay lehaza munkir e hadith bhi aap hi huway..... smile.gif


Yaad rahay ke yahan topic Yazeed ke sahi honay ya ghalat honay ka nahin tha haq ali shaib ne jaan bhooj ke topic ko kisi aur taraf le jaana chaha hai,

Topic Hazoor(PBUH) ki pesh goi ke mutallik hai jo sahi Bukhari mein majood hai ke wo pesh goi sachi hai ya nahin........Mein kehta hon ke wo pesh goi yakeenan sachi hai aur hulchullian aur Haq Ali sahib ko iss se inkaar hai smile.gif Allah inka bhala karay ke baghair kisi saboot ke Hazoor(PBUH) ki pesh goi ko ghalat keh rahay hain......

Muslim2
very nice and informative posts.. jazakallah brother Daylight
Haq-Ali
hy allah daylight tum gusa kar gayee ho..no no janab..ab app asa na kreenn..main nay muslim ko maloon likha tu kahnay lagay kah ham shia shahba ko galiyan datay hain..ab ham kay kareen tumharee..sorry suuniyon ki books main hi asa kuch ho tu..khar janay do tumhara kay wasta rasool say ya ..oki
1: ik baat manta hoon ghalti hoee..wo ye kah hazarat zubir nahi thay un kay betay thay..yahan tum jeet gaye..oki
2:Hadess rasool(saww)...ab tum asa na kahoo ...ab ik baat sochnay ki hai wo ye kah ik taraf tu hazoor ki ye hadees dhekhye jatee hai or dosari taraf Rasool(saww)naam lay kar kehtay hain kah Yazeed(mallon)maree umet main rakhna dalay ga..hmmmmmmm kay kahal hai..ab tum kahoo gay hadees jothi hai...hnn na ..good tum tu rasool ko bhi jotha kahaty ho..1 hadees ki kay baat hai..nahi yakeen ayea na...hmm..Sullah hadebiya..khar janay do..
3:shaba badar...tum nay kaha kah ham baqi shaba masalan hazarat aboo bakar (rz)etc ko janti nahi kahetay.............sorry ham nahi tumahree books asay asay un kay karnamay batatee hain kah koi bhi wo sab khay jo sunni books kahtee hain...agar hc waloon say ijazat lay do kah tumahree books say un ki fazeelat likhoon tu welcome...hazir hoon..
4:Daylight..din falan bin yazeed tumahy kafi dafa kaah kah assi bukwas na likha karoo phir tum ronay lag jatay ho..Imam Hussain(as)nay uss mallon ki bayet ki koi shart nahi rakhee thee.....ye zaroor hai kah app nay kaha tha kah mujhy yazeed kay pass lay cholo takah main kudh mamala teh kar sakoon..ab agar koi iss say ye nikal lay kah ..sorry..ab tum yahan assi jothee bateen kar kay apnay baroon ko nahi bacha saktay...hansi ati hai kah tum jasay loog yazeed ko bachanay kay liya kay kay joth bol datay hain..khar tumhara mamala dosara hai...tum koon say sunni etc ho...Pervezi(maloon)tu khar say..khar..
5: DL tumhay ye ajeeb lag raha hai kah Waqiya Harr nahi howa or iss ko kissi nay rayet nahi kiya etc..tu loogon ko ye harani nahi hotee hai Bukhari itna jotah hai kah Hazrat umer (rz)per Rasool(sa)Hezan ka bohtan lageya or etc..assi hadesen bayan kartay hain Bokhari main.......ab kahoo kah bukhari jotha hai????????????tum kah skatay ho becoz tumhay koi prob nahi ..i know...rahee baat Waqiya harr ki tu...tum iss main kuch nahi kar saktay..becoz ye books say sabit hai..ab tum uth kar kaal ye kahoo kha ..Rasool(saww)ki hadees ki ab koi hamiyat nahi hai tu kay sab man lain gay??????????nahi na..ab ye na kahna kah main iss Waqiya ko Rasool(saww)ki hadees say mila raha hoon..example thee..so sorry
6:tum nay kaha kah main Pervezi hoon..oki ik kam karoo yahan ham dono mil kar lanat kartay hin..oki or hnn wo hi words tum kahoo gay oki..cholo..
" main yahan hc per sab kay samnay kahata hoon kha Pervezi lanti hain or kafir hain un ko manay wala bhi asa hi hai..or allah ki un per lanat or un ki nasal per bhi lanat..or allah apnay fazal say un ko Jahanam main jagah day or Pervezi ko khas tor per lanat ho.. Amen" oki ab kush...ab tum bhi ye hi ikrar karoo..
6:ab hazoor ki pashangoi suchi hai ya nahi ..main tu uss hadees ki sehht say inkar kar raha hoon...ab????????????????ajeeb baat hai kah agar hazoor nay ik hades bayan kar di tu kay wo Lanati agar wo sharab piya,zana karay etc tu phir bhi wo janti???????????wowwwwwwwwww ik kam karoo kah DL kaal say tum bhi sharab pioo becoz yazeed peta tah na ...yani Hazoor(saww)ko maloom nahi tah kah Yazeed(khksb)nay sharab peni hai(toba)ab kasay kasay joth bandhtay ho.....

ab Muslim tum ..
1:tum nay hadees hi yahan paste kar di good..ab ye bhi bataya jaoo kah jinho nay Yazeed(maloon)kay kilaf jihd kiya un ka kay banay ga??????ibn-e-zubir etc ka??????
2:tumhary page read kar kay tu lagta hai kah Yazeed tu paka paka janti or uss kay tamam gunha maf..wow..wasay....ik baat tu batoo kha...jin sunni ulma nay yazeed ko maloon ,fasiq,sharbi,etc kaha hai kah unho nay ye sab read nahi kiya??????????agar kiya hai tu kay wajah hai kah wo iss maloon ko bora bhi kah rahay hain?????????????
3: Muslim..yazeed tu door ki baat hai tumhara DL ya tum tu Maviya ko hi bacha lo tu baree baat hai...uss kay karnamay hi itnay hain kha tumharee books bhari pareen hain..Muslim,ibn-e-maja,tareek tibri,tareek kamil,sawaiq muhrka,tareek kulfa,Bukhari,tafseer ibn-e-kabir etc..ab tum loog ik kam karoo phelay kaheen say petrol la kar un books ko agg laga do...oki..tab may be Yazeed bhi bach jayee..hnn na..mujhy koi khas zaroort nahi hai kah Yazeed(maloon bin..)kay baray main besh karoon..becoz sunni hi kafi hain tum jasay loogon ko dabanay kay liya..bye bye tata jump.gif
Daylight
[quote]ik baat manta hoon ghalti hoee..wo ye kah hazarat zubir nahi thay un kay betay thay..yahan tum jeet gaye..oki
[/quote]

yahan koi kushti nahin ho rahi k haar jeet ke points mil rahay hain, mujh se aik baat poochi gayi uska meine jawab de dia its enough for me, im only waiting for the topic starter.

[quote]2:Hadess rasool(saww)...ab tum asa na kahoo ...ab ik baat sochnay ki hai wo ye kah ik taraf tu hazoor ki ye hadees dhekhye jatee hai or dosari taraf Rasool(saww)naam lay kar kehtay hain kah Yazeed(mallon)maree umet main rakhna dalay ga..hmmmmmmm kay kahal hai..ab tum kahoo gay hadees jothi hai[/quote]

Zara uss "hadith" ka reference do gay?? Aap khud jaantay ho ke wo kisi ghair maaroof hadith ki kitab ki hi nahin balkeh Abu Mukhnaf jissay sab aima e rijaal kazzab kehtay hain uski bayaan kerda hai, Lekin phir bhi aisay kazzab shakhs ki aik giri pari rawayat ko utha ke qaul e rasool(PBUH) kehtay huway aapka dil nahin kaanpa?? Kaanpta to tab jab uss dil mein muhabbat e Rasool(PBUH) ki halki si shama bhi roshan hoti.

Allah Hafiz

Wese ye sawal mujh se tha aap se nahin smile.gif ya kahin topic starter aapkay hi to koi humdard nahin smile.gif

[quote]hnn na ..good tum tu rasool ko bhi jotha kahaty ho..1 hadees ki kay baat hai..nahi yakeen ayea na...hmm..Sullah hadebiya..khar janay do..
[/quote]

Apki iss baat ko mein nahin samjha, sulah hudaibiya yahan kahan se aa gaya beech mein?? khair purani aadat hai ke ghair mutallika baaton ko har topic mein ghair ker le aana smile.gif

[quote]shaba badar...tum nay kaha kah ham baqi shaba masalan hazarat aboo bakar (rz)etc ko janti nahi kahetay.............sorry ham nahi tumahree books asay asay un kay karnamay batatee hain [/quote]

Aik post mein aap apna ye aqeeda zahir kertay hain ke Sahaba e Badar jannati thay lekin phir aapko ehsaas hota hai ke Sahaba e BAdar mein se aik do ke ilawa to aapki kisi se banti hi nahin, ye mein ne kya keh diya lehaza uska azala ab iss post mein ooper waalay alfaz se ker dia smile.gif Agar aapka aqeeda such mein yahi hota ke sahaba e badar jannati hain to kisi bhi shia ya sunni ya kisi bhi aur kitab mein ayi hui aisi ghair maaroof aur ghair siqa raaviyun ki pesh kerda rawayaat ko fauran naqabil e aitbaar qarar detay k Quran aur Hazoor(PBUH) ki sahi ahadith ke saamne aisi waahayat rawayaat ki koi haisiyyat nahin chahay wo sunniyun ki kitabon mein naqal ho gayi hon ya shias ki.....

Lekin aapka to mazhab hi sahaba dushmani par qaim hai yahi wajah hai ke aap aisay tazadaat ka shikaar ho ke kabhi badri sahaba(RA) ko daimai basharat e jannat ki baat ker di aur aglay hi saans mein unsay aisay aisay afaal ginwa diye k jo aik kamzoar tareen eeman wala shakhs bhi na karay.......zara apni iss halat e zaar pe khud hi ghaur kijiye ga , hum agar kuch arz karain gay to shikayat ho gi smile.gif


[quote]Imam Hussain(as)nay uss mallon ki bayet ki koi shart nahi rakhee thee.....ye zaroor hai kah app nay kaha tha kah mujhy yazeed kay pass lay cholo takah main kudh mamala teh kar sakoon..ab agar koi iss say ye nikal lay kah ..sorry..ab tum yahan assi jothee bateen kar kay apnay baroon ko nahi bacha saktay[/quote]

Aap ye parhein aapko khud samajh aa jaye gi smile.gif

[quote]oki ik kam karoo yahan ham dono mil kar lanat kartay hin..oki or hnn wo hi words tum kahoo gay oki..cholo..
" main yahan hc per sab kay samnay kahata hoon kha Pervezi lanti hain or kafir hain un ko manay wala bhi asa hi hai..or allah ki un per lanat or un ki nasal per bhi lanat..or allah apnay fazal say un ko Jahanam main jagah day or Pervezi ko khas tor per lanat ho.. Amen" oki ab kush...ab tum bhi ye hi ikrar karoo..
[/quote]

Jesay aapka hukam smile.gif Parwezi na sirf laanat ke mustahiq hain balkeh wo Allah ke fazal se bouhat door hain aur wo jahannam ke asfal tabqon mein se kisi mein jain gay...........ok ab khush smile.gif

[quote]6:ab hazoor ki pashangoi suchi hai ya nahi ..main tu uss hadees ki sehht say inkar kar raha hoon...ab????????????????[/quote]

On what grounds??

[quote]ajeeb baat hai kah agar hazoor nay ik hades bayan kar di tu kay wo Lanati agar wo sharab piya,zana karay etc tu phir bhi wo janti??[/quote]

Astaghfirullah, iss se ziada shiddat se inkar e hadith aur maazallah qadh e Rasool(PBUH) to kahin nahin payi jaati.....

Aapka kehna hai ke agar Rasool(PBUH) ne kisi ko jannati keh bhi dia to phir kya hai unki baat konsa koi ehmiyyat rakhti hai bus wo shakhs agar sharab peeta hai aur zana kerta hai to Rasool(PBUH) ki ye kam ilmi thi mazallah ke unko wo baat pata na chali jo aaj hamaray ye Haq Ali sahib ko pata hai, kash Rasool(PBUH) iss Haq Ali se pehlay pooch letay to aisi mazallah jhooti baat to na kertay jo mumkin na thi,
Agar pata na hota ke ye haq ali sahib shia hain to aisi baat kerne waala laazman qadiyani hi ho sakta hai kyunke mirza sahib ki jhooti pesh goiyun ke jawab mein wo bhi aisi hi harza sarayi kertay hain ke Rasool(PBUH) ki sab pesh goiyan konsa sachi thi.
Hairat hai ke aap Qaul e Rasool(PBUH) ko abu mukhnaf jaisay kazzabon ke qaul se kam tar samajhtay hain, iss liye ke ye sharab aur zana ke ittehamaat abu makhnaf aur hasham kalbi ki rawayaat mein hi paye jaatay hain jahan se tabri ne naqal kya aur phir chal so chal............Hairat hai ke aap inn logon jinko sab kazzab kehtay hain ke bayanaat ko Sadiq o Ameen Rasool(PBUH) ki baat se ziada ehmiyyat detay hain.


[quote]ab Muslim tum ..
[/quote]

Sorry sir aapko ghalati lagi wo waalay pages jo aap samjhay hain ke muslim ne post kiye hain wo bi meine hi post kiye thay, iss liye apna ghussa mujh tak hi mehdood rakhiye smile.gif

[quote]tum nay hadees hi yahan paste kar di good..ab ye bhi bataya jaoo kah jinho nay Yazeed(maloon)kay kilaf jihd kiya un ka kay banay ga??????ibn-e-zubir etc ka??????
[/quote]

Hazrat Aisha(RA) ne bhi hazrat Ali(RA) ke khilaaf jehad kya tha to kya ab un dono mein se sirf aik hi jannat mein jaa sakta hai??

Mere bhai zara tahammul se soch ke post likha karain......
kisi aik ke jannati honay ka laazmi matlab doosray ka dozkhi hona nahin.


[quote]tumhary page read kar kay tu lagta hai kah Yazeed tu paka paka janti or uss kay tamam gunha maf..wow..wasay....ik baat tu batoo kha...jin sunni ulma nay yazeed ko maloon ,fasiq,sharbi,etc kaha hai kah unho nay ye sab read nahi kiya??????????agar kiya hai tu kay wajah hai kah wo iss maloon ko bora bhi kah rahay hain?????????????
[/quote]

INshaAllah aik do din mein main aik topic post karon ga HAzoor(PBUH) ki pesh goiyun ki sharayee haisiyyat ke naam se wahan umeed hai aapko iska jawab mil jaye ga smile.gif
Wese Qaul e Rasool(PBUH) ki ziada ehmiyyat hoti hai ya kisi tareekhi rawayat ki?? aur tareekhi rawayat bhi wo jo kazzab raviyun ki bayan kerda ho.




ooper wali post mein aik baat ke jawab mein meine likha hai ye parhein aapko samajh lag jaye gi, wahan meine aik image post kerna tha jo bhool gaya, ab wo post ker raha hon smile.gif

QUOTE
Imam Hussain(as)nay uss mallon ki bayet ki koi shart nahi rakhee thee.....ye zaroor hai kah app nay kaha tha kah mujhy yazeed kay pass lay cholo takah main kudh mamala teh kar sakoon..ab agar koi iss say ye nikal lay kah ..sorry..ab tum yahan assi jothee bateen kar kay apnay baroon ko nahi bacha saktay


IPB Image
Haq-Ali
smile.gif Daylight afsoos kah tumhar kam na ban saka..ik taraf tu tum tibri etc ko jotha kahaty ho...ik taraf tum un books ka hawala day datay ho jin kop tum kudh nahi mantay means kah unho nay rayet ghalt ki hain..ya to Tareek ki books hain..sham on u Daylight.....munafiqon walay kam chor do...jin ko sahee na kahoo un ka hawala na diya karoo...magar nahi tumhay jahan apnay matalb ki baat samjh aa jayee wo rayet zaroorrrrrrrr lay latay ho...wah ray asool..khar tumhara kasoor nahi hai...
1: phelay ye kah tum nay Imam Hussain (as)kay 3 shartoon ki rayet biyan ki...agar ye tamam books kah bhi dain tu ye intahee johtee rayet hai...simple sa jawab hai...jo muslim kay liya hai non-muslim ko samjh nahi ayee gee..wo ye kha...agar imam nay yazeed (mardood)ki bayet ki shrat rakhee thee tu baqi 2 rakhnay ki zaroort hi nahi thee..becoz masala hi bayet ka tha?????????????????tu wo tu haal ho gaya na...jasa kah Yazeedi mardood kahatay hain kah yazeed nay kaha kah kha Hussain(as)kay sath jabar na karna etc..agar wo bayet kay liya hnn kar dain etc...tu??????????/ab koi bhi aqalmand insan ye qabool nahi kar sakta kah ye baat such hai...
1: ye kah Ibn-e-kaseer nay iss rayet ko bayan bhi kiya hai or iss ki tardeed bhi ki hai page 175..read karna..
2: tumahra joth or jiss insan nay ye page urdu main likha hai wo bhi inthaie jotha or makar hai or lanat ka mustahiq hai jo Yazeed ko Imam sabit karany ki koshsish kar raha hai ..beocz alama ibn-e-tamema nay yazeed maloon ki taraf janay ka zikar kiya hai bayet ki baat nahi ki...Minhaj alsunah jild 2 page 243
3: ik or joth kha molana abo alkalam azad nay bhi mamala tah karnay ki rayet di hai na kha bayet ki Sahadat-e-Hussain page 10.. hope kafi taklef hoee ho gee kah sab kam karab ho gayea...afsoos na...hmmmmmmmmmm smile.gif

2: main nay shyed kaha tha kah Rasool ki hadees kudh sakta hai tu...simple app ka jo Qol hai wo bhi joth hai...samjh nahi ayee na..i know..main nay tab hi kaha kah kah agar rasool nay kaha tu sharabi janti ho gayea etc..kha hazoor sab janaty thay so assi koi peshangoie nahi kar saktay thay..iss liya tanazn kaha tha shyed tumhara aqal sochny say kasir hai..

3:Hazrat Ayesha (rz)agar mola Ali(as)kay sath jung ki thee tu sab ko pata hai kha wo uss jung per kitni nadam theen..smjh ayee na...tu yahan tu nadam honay ka koi saboot nahi hai..means ibn-e-zubir etc..ab tu jasay jothy loog kahaty hain kha hazoor(saww)nay (toba)yazeed (laien)ko janat ki bisharat di tu...ibn-e-zubir or baqi shahaba ka kay banay ga kah ik janti kay kilaf or suchi kilafat kay kay samnayy lariee ki..toba toba smile.gif ..sorry yazeedi loogon koi kam na chalay ga..sorry...or hnn ik sahee hota hai or ik ghalat...smajh ayee na

4:main nay rayet reject ki...iss liya kah wo jothi hai...hazoor ki baqi hadeeson kay ult hai yani hazoor(saww)nay jo tareefen ki hain Imam Hussain(as)ki kha wo janat main nojawanoo kay sardar hoon gay etc..tu ajeeb baat hai kha un kya hi qatil un kay sath janat main...hahahahahahahahhah kay baat hai..lanat un per jo ye hadees sahee maneen..lanat ...

5: Sawan-e-Karbala..kay baray main janb farma rahay hain kha jothi book hai..mashallah sunniyo dhekh lo..asay loog tum loogon ko kay sabit kar rahay hain...yani wo hadees kah Hazoor(saww)nay yazeed kay baray main kaha tha kah wo mare umet main rakhna dalay ga..etc

6:janti jo hai wo hai..Rahe baat badar kay sahaba ki..tu..wo maray words jasay hain wasay hi hain....simple..

7:Sullah hadibiya ki masal di hai kha wahn bhi ik shabi nay Rasool ki risalat per shak kiya tha allah uss ko iss ki saza day..tu matalb kahnay ka ye tha kha jab ik shabi assi justaqi kar sakta hia. tu tum tu un ki nasal ho means all ho..jo hadees ka inkar kr rahay ho...ya tu sab wo hadees jo Hussnain(as)kay bary main han un ka inkar karoo ya iss hadees ka kah Yazeed mardood janti hai...warna..Hazoor(saww)kahbhi mutazad hadees bayan nahi kar saktay thay..oki..
bye ...Yadeed kay per kay per kay per per lanat bay shumar(Amen)
Daylight
Discussion ke dauran language ko behtar hi rakha karain , agar ye aapkay bus ki baat nahin to discussion se door hi raha karain, ye aapko mukhlisana mashwara hai

[quote]ik taraf tu tum tibri etc ko jotha kahaty ho...ik taraf tum un books ka hawala day datay ho jin kop tum kudh nahi mantay means kah unho nay rayet ghalt ki hain[/quote]

Pehli baat jo aik aam samajh waalay ko bhi maloom honi chaahiye ke jab aap kisi christian ko koi hawala detay hain bible ka to beshak aapka bible par eeman nahin hota laikin chunke wo shakhs usko mukammal nahin to kafi hadh tak authentic maanta hai lehaza ussay bible ka hi hawala dia jaye ga

Aapne yahan teesri shart ki baat ki aur meine uss teen sharton waali rawayat ke references pesh ker diye, thats it

Teesri baat ke agar aap kisi kitab mein sahi aur ghalat rawayaat ka ikhtalaat maantay hain to kya zaroori hai ke chunke aap kuch rawayaat ko unki asnaad ki wajah se zaeef ya mann gharat qarar detay hain to sahi waali rawayat ko bhi na maanein?? Ya jesay shai hazrat Al kafi ki sab rawayaat ko sahi nahin maantay to kya wo iss wajah se sahi wali rawayaat ko bhi ghalat maan lein ??


[quote]phelay ye kah tum nay Imam Hussain (as)kay 3 shartoon ki rayet biyan ki...agar ye tamam books kah bhi dain tu ye intahee johtee rayet hai[/quote]

Abi last post mein aapne khud 3 sharton ki baat ki thi, to agar wo pesh hi nahin ki gayi thi to tab aapne kyun baat ki?? ab jab ke poll khula to fauran uss se mukar gaye?? wo bhi bila saboot??

[quote]agar imam nay yazeed (mardood)ki bayet ki shrat rakhee thee tu baqi 2 rakhnay ki zaroort hi nahi thee..becoz masala hi bayet ka tha??[/quote]

Lagta hai aapne wakaya e karbala sirf shaam e ghareeban ki majlison mein hi suna hai, Ibne zayad ka kehna tha ke uskay haath par bait ki jaye yazeed ke paas jaanay se pehlay aur apnay hathyar ibne zayad ke hawalay kar dein sab loag,iss baat par hazrat hussain(RA) tayyar na thay kyunke unko ibne zayaad par aitbar na tha..........issi liye ye shart rakhi thi, aap dobara se poora wakaya tafseelan parhein aapko mazeed kafi kuch milay ga.

[quote] ye kah Ibn-e-kaseer nay iss rayet ko bayan bhi kiya hai or iss ki tardeed bhi ki hai page 175..read karna..[/quote]

kya aap kisi book ke page par iska reference dikha saktay hain??

[quote]tumahra joth or jiss insan nay ye page urdu main likha hai wo bhi inthaie jotha or makar hai or lanat ka mustahiq hai jo Yazeed ko Imam sabit karany ki koshsish kar raha hai ..beocz alama ibn-e-tamema nay yazeed maloon ki taraf janay ka zikar kiya hai bayet ki baat nahi ki...Minhaj alsunah jild 2 page 243[/quote]

Lolz.........Teesri shart ke arabic alfaaz shaaid aapne mulahiza nahin kiye aur jahan tak minhaj us sunnah ki baat hai ke Ibne Taimiya ka kya mauqaf tha aur ye bhi ke unhon ne bait ki baat ki thi yani nahin, to abhi aapka jhoot sabit kiye deta hon, neechay jo image laga raha hon uss mein ibne taimiya ki minhaj us sunnah ke page 256 ka bhi aik iktabaas hai zara mulahiza karain ke wo bait ki baat kertay hain ya nahin.


IPB Image
IPB Image

[quote]main nay tab hi kaha kah kah agar rasool nay kaha tu sharabi janti ho gayea[/quote]

Rasool(PBUH) ki uss hadith ke raavi ziada authentic hain ya sharab waali rawayat ka raavi Abu Mukhnaf jo sab aima ke nazdeek kazzab tha?? Hazoor(PBUH) ki pesh goi ki rawayat kernay waala apna ankhon dekha haal bata raha hai eye witness hai aur abu makhnaf uss afsanay ki rawayat bayan ker rah a hai jo uski paidaish se bi pehlay ka tha.......

[quote]Hazrat Ayesha (rz)agar mola Ali(as)kay sath jung ki thee tu sab ko pata hai kha wo uss jung per kitni nadam theen[/quote]

Nadamat waali rawayat ke ravi shia hain agar aapko chahaiye to un mein se aik aik ka shajra e nasab yahan likh doon aur saath mein aima ke aqwaal unkay baaray mein......qasaas e khalifa ka mutalba kerne par nadamat kis cheez ki?? haan iss baat par na sirf hazrat Aisha(RA) balkeh hazrat Ali(RA) ko bhi afsoas tha k chand sabaiyun ki wajah se ye jang chhirr gayi jis se unka maqsad to hal hua lekin musalmaano ko nuqsan hua.......Jis shimar ko aap loag qaaitl e hussain(RA) bulatay hain wo inn jangon mein hazrat Ali(RA) ke camp mein hi tha aur achhay uhday par, malik al ashtar ka numainda e khaas tha.

[quote]ab tu jasay jothy loog kahaty hain kha hazoor(saww)nay (toba)yazeed (laien)ko janat ki bisharat di tu...ibn-e-zubir or baqi shahaba ka kay banay ga kah ik janti kay kilaf or suchi kilafat kay kay samnayy lariee ki.[/quote]

Aapkay aik imam ne hazrat muaviyah(RA) se jang ki doosray ne unki bait ker li ,agar aik sahi aur aik ghalat hota hai to inn mein se aapka konsa imam ghalat tha?? Meray bhai sahaba(RA) maasoomeen nahin hotay unsay khata ho sakti hai aur siyasi ikhtalaf kisi ke dozakhi ho jaanay ki alamat nahin hota....


[quote]main nay rayet reject ki...iss liya kah wo jothi hai...hazoor ki baqi hadeeson kay ult hai yani hazoor(saww)nay jo tareefen ki hain Imam Hussain(as)ki kha wo janat main nojawanoo kay sardar hoon gay etc..tu ajeeb baat hai kha un kya hi qatil un kay sath janat main[/quote]

Hazrat Hussain(RA) ki tareefon ka matlab yazed ki bad-tareefi aur yazed ki tareef ka matlab hussain(RA) ki bad tareefi hai kya?? salam aapkay iss feham ko.
Yani kya point dhoonda hai ke yazed ke mutallik Rasool(PBUH) ka farman iss liye jhoota hai ke aapnay hussain(RA) ki tareefein farmai hain......aisay zahanat amaiz nikaat apnay tak hi rakha karain smile.gif baki ye baat ke yazeed hussain(RA) ka qatil tha kahin se sabit nahin hota, agar aisa hai to jang u jumal mein shaheed huway zubair(RA) aur talha(RA) ke qatil kya hazrat Ali(RA) hain??


[quote]yani wo hadees kah Hazoor(saww)nay yazeed kay baray main kaha tha kah wo mare umet main rakhna dalay ga..etc
[/quote]

Iss rawayat ka poll achha khaasa imam ibne taimiyya hi apni book minhaj us sunnah mein khol chukay hain ab mein kya kahon smile.gif aur kitni baar kahon smile.gif

najane aapko aisay raaviyun ki rawayat se hi kyun dilchaspi rehti hai jinkay raavi maanay huway kazzab rahay hain.


[quote]Sullah hadibiya ki masal di hai kha wahn bhi ik shabi nay Rasool ki risalat per shak kiya tha [/quote]

Aik aur lateefa, wese ye nukta iss topic mein kahan se aa gaya??

[quote]..jo hadees ka inkar kr rahay ho[/quote]

Abi aaapne poora zoar sarf kya hai aik hadith ko jhoota kehne par aur phir bhi ilzam doosray ko :p shabash smile.gif

Haq Ali sahib its enough, ab aapki inn off the topic bay-tuqi baaton ka mazeed jawab na doon ga..............topic aik hadith ke mutallik chal raha hai, mujh se aik shakhs ne ye sawal poocha aur meine jawab de dia, aapko bhi aapki off the topic baaton ke bawajood kaafi jawab de diye , its enough now, dont have time to waste on u.

Haq-Ali
QUOTE(Daylight @ Mar 31 2006, 05:13 AM) [snapback]2130675[/snapback]

Discussion ke dauran language ko behtar hi rakha karain , agar ye aapkay bus ki baat nahin to discussion se door hi raha karain, ye aapko mukhlisana mashwara hai
Pehli baat jo aik aam samajh waalay ko bhi maloom honi chaahiye ke jab aap kisi christian ko koi hawala detay hain bible ka to beshak aapka bible par eeman nahin hota laikin chunke wo shakhs usko mukammal nahin to kafi hadh tak authentic maanta hai lehaza ussay bible ka hi hawala dia jaye ga

Aapne yahan teesri shart ki baat ki aur meine uss teen sharton waali rawayat ke references pesh ker diye, thats it

Teesri baat ke agar aap kisi kitab mein sahi aur ghalat rawayaat ka ikhtalaat maantay hain to kya zaroori hai ke chunke aap kuch rawayaat ko unki asnaad ki wajah se zaeef ya mann gharat qarar detay hain to sahi waali rawayat ko bhi na maanein?? Ya jesay shai hazrat Al kafi ki sab rawayaat ko sahi nahin maantay to kya wo iss wajah se sahi wali rawayaat ko bhi ghalat maan lein ??

Abi last post mein aapne khud 3 sharton ki baat ki thi, to agar wo pesh hi nahin ki gayi thi to tab aapne kyun baat ki?? ab jab ke poll khula to fauran uss se mukar gaye?? wo bhi bila saboot??
Lagta hai aapne wakaya e karbala sirf shaam e ghareeban ki majlison mein hi suna hai, Ibne zayad ka kehna tha ke uskay haath par bait ki jaye yazeed ke paas jaanay se pehlay aur apnay hathyar ibne zayad ke hawalay kar dein sab loag,iss baat par hazrat hussain(RA) tayyar na thay kyunke unko ibne zayaad par aitbar na tha..........issi liye ye shart rakhi thi, aap dobara se poora wakaya tafseelan parhein aapko mazeed kafi kuch milay ga.
kya aap kisi book ke page par iska reference dikha saktay hain??
Lolz.........Teesri shart ke arabic alfaaz shaaid aapne mulahiza nahin kiye aur jahan tak minhaj us sunnah ki baat hai ke Ibne Taimiya ka kya mauqaf tha aur ye bhi ke unhon ne bait ki baat ki thi yani nahin, to abhi aapka jhoot sabit kiye deta hon, neechay jo image laga raha hon uss mein ibne taimiya ki minhaj us sunnah ke page 256 ka bhi aik iktabaas hai zara mulahiza karain ke wo bait ki baat kertay hain ya nahin.


IPB Image
IPB Image
Rasool(PBUH) ki uss hadith ke raavi ziada authentic hain ya sharab waali rawayat ka raavi Abu Mukhnaf jo sab aima ke nazdeek kazzab tha?? Hazoor(PBUH) ki pesh goi ki rawayat kernay waala apna ankhon dekha haal bata raha hai eye witness hai aur abu makhnaf uss afsanay ki rawayat bayan ker rah a hai jo uski paidaish se bi pehlay ka tha.......
Nadamat waali rawayat ke ravi shia hain agar aapko chahaiye to un mein se aik aik ka shajra e nasab yahan likh doon aur saath mein aima ke aqwaal unkay baaray mein......qasaas e khalifa ka mutalba kerne par nadamat kis cheez ki?? haan iss baat par na sirf hazrat Aisha(RA) balkeh hazrat Ali(RA) ko bhi afsoas tha k chand sabaiyun ki wajah se ye jang chhirr gayi jis se unka maqsad to hal hua lekin musalmaano ko nuqsan hua.......Jis shimar ko aap loag qaaitl e hussain(RA) bulatay hain wo inn jangon mein hazrat Ali(RA) ke camp mein hi tha aur achhay uhday par, malik al ashtar ka numainda e khaas tha.
Aapkay aik imam ne hazrat muaviyah(RA) se jang ki doosray ne unki bait ker li ,agar aik sahi aur aik ghalat hota hai to inn mein se aapka konsa imam ghalat tha?? Meray bhai sahaba(RA) maasoomeen nahin hotay unsay khata ho sakti hai aur siyasi ikhtalaf kisi ke dozakhi ho jaanay ki alamat nahin hota....
Hazrat Hussain(RA) ki tareefon ka matlab yazed ki bad-tareefi aur yazed ki tareef ka matlab hussain(RA) ki bad tareefi hai kya?? salam aapkay iss feham ko.
Yani kya point dhoonda hai ke yazed ke mutallik Rasool(PBUH) ka farman iss liye jhoota hai ke aapnay hussain(RA) ki tareefein farmai hain......aisay zahanat amaiz nikaat apnay tak hi rakha karain smile.gif baki ye baat ke yazeed hussain(RA) ka qatil tha kahin se sabit nahin hota, agar aisa hai to jang u jumal mein shaheed huway zubair(RA) aur talha(RA) ke qatil kya hazrat Ali(RA) hain??

Iss rawayat ka poll achha khaasa imam ibne taimiyya hi apni book minhaj us sunnah mein khol chukay hain ab mein kya kahon smile.gif aur kitni baar kahon smile.gif

najane aapko aisay raaviyun ki rawayat se hi kyun dilchaspi rehti hai jinkay raavi maanay huway kazzab rahay hain.

Aik aur lateefa, wese ye nukta iss topic mein kahan se aa gaya??
Abi aaapne poora zoar sarf kya hai aik hadith ko jhoota kehne par aur phir bhi ilzam doosray ko :p shabash smile.gif

Haq Ali sahib its enough, ab aapki inn off the topic bay-tuqi baaton ka mazeed jawab na doon ga..............topic aik hadith ke mutallik chal raha hai, mujh se aik shakhs ne ye sawal poocha aur meine jawab de dia, aapko bhi aapki off the topic baaton ke bawajood kaafi jawab de diye , its enough now, dont have time to waste on u.

clapping3.gif 1-announce1.gif 1-jokes.gif 1-jokes.gif 1-jokes.gif 1-jokes.gif nice ans....best of luck... bored2.gif
Khalish
QUOTE(Haq-Ali @ Mar 31 2006, 10:22 PM) [snapback]2130916[/snapback]

clapping3.gif 1-announce1.gif 1-jokes.gif 1-jokes.gif 1-jokes.gif 1-jokes.gif nice ans....best of luck... bored2.gif



Issko kehte haiN khisyaani billi khamba noochay. Jab aap ko Ahadees, aur sahi tareekh ka ilm he nahi tha tu aap ne iss behas meiN hissa he kyoN liya? Jab sab kuch aap ke saamne rakh diya gaya tu aap isse bakwaas qaraar dey kar behas se dast.bardaar ho gaey.

Ya tu behas mat kijiay aur agar karte haiN tu sahi ko sahi samajhne ka housla bhi rakhiye .. sahi aur ghalat ka faisla sirf dalaail kar sakte haiN. Baat aap ne shuru ki, aur jawaab Daylight ne diya ... parhne waalay khud andaaza laga sakte haiN keh nateeja kya nikla hai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.