KHAL NAYAK
Apr 11 2006, 11:40 PM
As salmau alikum
ajj sham taqreban 7:10 per Nashtar park main Khudkush bomb blast howa, jiss waqt EID MILADUNN NABI (S.A.W) kay silsilay main Jammat Ah-lay sunnat ka akk program wahan Jari tha. program main hazaron log shareek thay. bomb namaz-e-magrib ki doran phata. wahan moujood logon kay bayan kay mutabiq khudkush hamla awar dosri saf mian tha or dosri rakat kay doran us nay apnay app ko bomb say ura dia.
bomb blast kay natijay mian Haji Hanif Billo or Sunni Tahreek kay tenno markazi Leaders Shaheed ho gaye hain.
Salman4u
Apr 13 2006, 02:49 PM
Allah aun ko nisto naboot kar day dunia aur akhrat main aun ka anjam bouhat bahiyank ho jin honnay Hazoor S.A.W ki mehfil main is kissam ki harkat ki hai aun ko jahanum raseed karday jiss nay aus mubarak din jahan sub k labobn pay YA RAOLL Allah k naray thay sub khushian mana rahay thay seerat e nabi baian ki ja rahee thee namaz e maghrib adda ki ja rahee thee wahan ye harkat ki
hum sunni tehreek aur awam e aehlay sunant k sabar ko bhe daad daytay hain jinhon nay is sanehay ko jiss tarha bardasht kia qanoon apnay hath main nain liya aafreen hai aun pay
B.L.A.
Apr 14 2006, 05:18 AM
ISI's frankensteins coming to roost...