Salman4u
Apr 12 2006, 04:05 AM
Aaj morkha 11 April ko sath
sath Jashan Eid Milad Un Nabi ka din bhe thaa wo barda din jiss din Mohsin e
insaniat khatimul Ambia Muhamamd Mustafa Sallalaah alahay waslaml ko rehmat
bana k baihja gaia aus azeem hasti ka millad manaya ja raha thaa jiss ko pathar
aur darkaht bhe sajda kartay thay pooray pakistan ki tarha maira karachi bhe
dulhan ki tarha saja hoowa thaa khushi k shadyanay bajay ja rahay thay,naat
khuwani ki mahafilain sajai ja raheen theen, drood o salam k nazranay peash
keay ja rahay thay, sub k labon pay ek he awaz thee marhaba Ya Mustafa,
Marhaba Ya Mujtaba, aur wo aun ki shan main lakhon kardon darood o salam
peash kar rahay thay,
5 saal k bachon sameat 80 saal say zaid umer k Aashiqana E Rasool bhe Mustafa
P.B.U.H ki shan main nazranay peash kar rahay thay, poora karachi 12 din say
dulhan ki tarha saja hoowa thaa har taraf khushain he khushian theen sarkari
imarton, masajid,buland tareen imarton main charghan ho raha thaa. deay jalay
ja rahay thay aur ye sub aus azeem hasti ki ammad pay thaa jo khatimul ambia
thay jin ko hamaray leay rehmat bana k nazil kia gaia.
11 din intezar k baad aaj wo din aagai jiss din mairay Aaqa ki aamad hoi pooray
sindh say aay lakhon ki tadad main jaloos nikalay gay, ijtemat munaqid hooway
karachi k nashtar park main seeratul nabi P.B.U.H ki shan main ek jalsay ka
ihtemam kia gaia, ye koi siyasi jalsa nain thaa, yahan hukumat ya kissi doosri
jamat pay kichard nain uchala ja raha thaa yahan ko sarkari wazeer ya siyasi
wadairon ki mehfil nain thee ye hazoor ki mehfil thee mairay nabi ki mehfil thee
jin ki seerat pay ye jalsa munaqid kia gaia thaa jahan hazoor ki seerat pay
taqareer ki ja raheen theen aun pay sana peash ki ja rahee thee jiss pay wahan
moujood bachay,buzurg,noujawan Masha ALLAH Subhan Allah ki sada laga rhay
thay itnay main charon taraf ki masajid say namaz ek magrib k leay azanain dee
jati hai jalsay k shurka apnay wazoo banatay hain aur janab owais raza qadri
mumtaz naat khuwan aur mubaligh immat bandhlayaty hain aur aun k pichay
tamam islami bhai namaz e magrib adda kartay hain k Achanak teesri rakat k
baad aean sajday k waqt ek zor daar dhamaka hota hai stage pay baitahy
hooway hamaray ulma e ikram aur moujood doosray afrad hawa main uchaltay
hain kaheen koi sar urdta hai kaheen koi hath aur kaheen koi pear......... aur
wahan charon taraf say ek he sada buland hoti hai YA Allah Reham, Ya Rasool
Allah, Aur phir hamaray jadeed tareen ulma e ikram wahan shaheed ho jatay hain
jin main tehreek e Aehlay sunat k haji hanif ballu, sunni tehreek k markazi rehnuma ababs qadri,
iftehar bhatti, Akram Qardi, Hafiz Taqi sameat aur 60 day zaaid doosray Aashiqan E Rasool
Jaam E Shahadat Nosh karjatay hain.
is waqeay k baad maira karachi sougawar ho jata hai, kal tak jo karachi dulhan ki
tarha saja hoowa thaa aaj wo karachi aus dulhan ki tarha dikhai day raha hai jiss
ka shohar nikah k baad he wafat paa jaay.
kia hum maslak bazi main itnay andhay ho chukay hain k kaheen bhe apnay jissm
pay bum band kay ghus jain kabhi imam bargha main, kabhi masajid main kabhi
naat khuwani ki mahafil main.ye kon loug hain ye sub jantay hain jo mazhab k naam pay ibbadat gahon pay hamlay kartay hain aun k barain wash keay jatay hain aun say kaha jata hai k aesa kar k tum janat main chalay jaaw gay aur wo kum aqal apnay leay jahanum k darwazay khol rahay hain
Zara Socheay......................
AIR_WOLF
Apr 12 2006, 05:25 AM
[color=#3333FF] Salman sahab hum bhi is dhuk ma baraber ke shareeq hain hm ko bhi musalmano ke is azeem loss per behad afsooos hay.. magar kia ker sakte hain jo KHUDA ko manzoor tha wasey be un shaheedo ka rutba hi kuch or hoga jo aj ke mubarak din ke mubarak mehfil ma farz namaz ke sijday ma shaheed hue... KHUDA ne tu unke naam jannat kerdi hogi...
Aik or baat jo mera dil bar bar zoor zoor se khe raha hey wo yea ke islaam zawal ki taraf ja raha he is mazhab ko phir se dubara zinda hona hey or puri dunya per chaha jana hoga or yea Qayamat ke bari nichaniyo ma se hey .... magar sud-afsoos hum bajaye tooba kerke apni akhrat sawarne ke gunha per gunha kia ja rahe hain...
yea bomb blast, dahchad-gardi, loot-maar, or dosray baray crimes Pakistan, iraq, phalsten, or muslim countries ke sath he kiou ho rahe hain muslaman hi kiou be-izat ho rahe hain, islam mazhab hi kiou ruswa ho raha hey... akhir kiou iska jawab hm apne andar jahanakain tu hum ko shaayd mil jaye..... hm islam se door apne app ko khud ker rahe hain hm aik KHUDA per eman nahe la rahe hain azan hoti hey namaz ke liyan nahe uth tey kiou ke hm tv per apna koi pasandeda program dekh rahe hotay hain, yea ph ker rahe hotay hain, yea or jaga masroof hota hain.....
hmm raat raat bhar computer pr baith ker movies, chit chat tu ker sakte hain, games khel sakte hain magar fajar ki azan sunte he hm ko behad neendh a ghairte hey or hm sone chale jatay hain...
hm dunya ke gulam hogaye hain, ak ALLAH per bharoosa rahkne ke bajaye hm dunyawe zaraye per eman rakhte hain ke wo hmko paith bahar ker khilayegay or hmari madad kerngay....
ajj mulana hazrat ka mazak uraya jata hey koi pabandi se namaz perne lagaye tu usko mulana, molvi, mulla ke khetaboo ke uska mazak batanate hain wo be-izate kertay hain. phelay zamane ma mullana ka khetab jis ko milta tha wo be-had mohterham shaksiyat banjata tha....
hm yea nahe sochtay ke jo dunya ka hey yahen re jayega hm na kuch sath lekar ayetay na lekar jangay.... magar phir bhi hamaray andar hawas paida hogaye hey sub kuch hasil kerne ki sub kuch apne pass rakhne ki chahye wo dosray se kisi terhan bhi cheen ker apne pass laye...
sahab agar islam ka zawal unhi bar karar raha tu wo waqat door nahe hm or app yea hamari ane wali naslain christian, hindu, budhist, etc ma se hongay... agar hm bhi hm ne ak ALLAH per eman ko mazboot kerke islam ke baqa ke jadho-jahad shuru na keri tu yeahi hoga jis ka ammilli mozahira app ne afghanistan ma dekh chukey hain or uski izzat or protection ka level bhi sub ke nazroo se chupa hua nahe hey ...
janab kuch sochain is waqat puri duniya aik taraf hey or islam aik taraf yea jang shuru ho chuki tu he lakin yea nahe jante shayad agar muslman kuch acha kerne per ajaye tu phir koi shiatan unke raste ma nahe a sakta kyun ke ALLAH unke sath ajata hey...
Akhir ma yahe dua kernga ALLAH hm sub ko aqal-o-himmat ata farmaye or islam ka jahanda hameesha sub se buland le-rataha rahe... AMEEN
LEADER
Apr 13 2006, 10:52 AM
It was not a 'Khud Kush' hamla...
It was a bomb blast ,,,
Abu Adnan
Apr 13 2006, 11:12 AM
Salman4u
Apr 13 2006, 01:36 PM
Leader Bhai aap na manain aap mano gay bhe nain magar ye haqiqat hai aur is say pehlay bhe ek naam nehad mazhabi tola jiss k wazeerastan main camp kaim hain ye is kissam k millad un nabi k jalooson pay pathraw aun ki masajdi pay qabzay naat khuwani ki mahafilon pay hamlay karta aaya hai adnan bhai nay jo baat ki k wo apnay he sunni bhaion pay amla kyun karain gay to main aun say sirf itna bolon ga k hum jiss mazhabi tolay k i bata kar rahay hain ye mazhabi tola wo hai jo apnay he sunni bhaion ki masajid pay qabzay jhagray karta aaya hai in k yahan is kissam ki mahafilon ko bidat kaha jata hai aur ye apnay madaris main bachon k brain wash kartay hain k is kissam ki bidat ko roknay wala janat main jaay ga aur ye he aunhon nay kia
kabhi ye imam barghaon main kabhi masajid main kabhi kaheen kabhi kaheen is tarha k khudkash hamlay kartay jatay hain shia ko kafir kehtay hain sunnion ko bidati kehtay hain aur apni taraf say na janay kitnay fatway day kar aesay hamlay kartay jatay hain
arshad
Apr 13 2006, 02:05 PM
It is a very very good formula
every bomb blast = "khud kush hamla"
responsibility on the government shoulder = ZERO
Salman4u
Apr 13 2006, 02:15 PM
Chaltay hain zara kuch pichay
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.