Bohat Sochta Hai Mera Dil
Bahut sochta hai mera dil tumhare liye.........
bahut si batten keh kar bhi kuch unkaha sa reh jata hai..............
mere dil mein tumhare liye ek pyar ka sagar leherta hai...........
fir bhi na jane yeh dil unchahaa sa sawaal kyu kar jata hai......
.
puchata hai dil aksar kai sawaal.........
kya mere pyar ka gehra sagar pyas bujha sakta hai tumhari.........?
mera pyar kya tumhare angan mein bandh kar geet khushi ke ga sakta hai.......?
chaaya rehta hai tumhare jehan par bhi mere pyar ka gehara kala badal...........
per kya yeh mujh per baras sakata hai?
kya yeh mujko bheego sakata hai........?
aksar bebas se kar jate hain yeh sawaal mujko...........
dil mein ek anjaani si chubhan de jate hain mujhko......
Fir na jane kye soch kar........
yeh dil khil sa jata hai...................
jab kabhi tumhari dil ki laharo se uthata pyar .......
mere dil ki laharo se takara jata hai........
tumhara bas yahi ek pal ka pyar ..........
jaise meri duniya hi badal jata hai......................
aur mere sare sawaalo ko jaise ek nayi raha dikha jata hai....