Subah Subah Ik Thap Ki Dastak Per
Derwaza Khola Dekha
Sarhad Kay Us Par say kuch mehmaan Aye Hain
Ankhon Say Manoos Thay Saray
Chehray Saray Sunay Sunaye
Paon Dhoye Hath Dhulaye
Aangan main Aasan Lagwaye
Aur Tandoor Pay Makki Kay
Kuch Motay Motay Roat Pakaye
Potli Main Mehmaan Meray
Pichlay Salon Ka Gurr Laye Thay
Aankh Khuli To Dekha
GHar Main koi nahin tha
Hath Laga ker Dekha to Tandoor Abhi Takk Bujha Nahin Tha
Aur HOnton main meethay gurr ka Zaiqa
Ab Takk Chupak Raha tha
Khwab tha Shayad
Khwab hi Ho Ga
Sarhad Per Kal Raat Suna Hai Chali Thi Goli
Sarhad Per Kal Raat Suna hai Kuch khwabon ka Khoon Howa hai