bin uss kay zindagi dard hay tanhai hay
mery ankhon kyun maut simat ayee hay
kehtay hain log ishq ko ibadat yaaron
ibadat main phir kyun ruswayee hay
mehfil main reh ker bhi tanha rehna
ye ada uski mohabbat nay seekhayee hay
ye bhi uski mohabbat ki inayat hay yaaron
may tamasha bana aur dunya tamashayee hay
intezar may kisi k na raat ko berbaad kerna
doobtay taaron nay ye baat mujhay samjhayee hay
uss say talluq hi kuch aisa raha hay dostoon
jab bhi socha hay ussay ankh bhar ayee hay