na jee bhar ke dekha na kuchh baat ki
bari arzoo thi mulawat ki
shab-e-hijar tak ye tashweesh hai
musafir ne jane kahan raat ki
muqadar meri chasham par ab ke
barasti hoi raat barsat ki
ujalon ki parwan nahane lagein
naddi gungunayi khayalat ki
mein chup tha to chalti hawa ruk gayi
zaban sub samajhtey hain jazbat ki
kayi saal se kuchh khabar hi nahin
kahan din guzara kahan raat ki..