chupke chupke raat din us ka bartan manjwaana yaad hai,
hum ko ab tak kaprrey dhoney ka woh zamaana yaad hai.
dopeher ki dhoop main kaprrey sukhaaney ke liye,
woh mera khothey pe nangey paon jana yaad hai.
aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping,
woh mera meri biwi se ATM card chhupaana yaad hai.
saas sasur ki dosto ab kiya sunaun dastaan,
sasuraal na jaaney ka mujhai har ik bahaana yaad hai.
dekh liya jab bhi kabhi raastey main kissi prosan ko,
biwi ke ghussey ko dekh kar mera tarthraana yaad hai.
kheench lena woh tera salary ka lifafa dafatan
aur tera beauty parlor pe woh paisey urraana yaad hai.
aey din saley saliyon ka aana ghar pe mere,
woh tera un ke saamney mujhai murgha banaana yaad hai.