Duaa'ey Maghfirat karain meray aik Mohsin k liye k jo kall raat iss dunya se chala gaya ,
inna lillah wa inna elaiy hey raa'je ouun.
ALAAH Marhoom ki Maghfirat Farmaaey aur ousay ouss k achay amlo'N kay tufail Jannat-ul-firdous mein jaga aata fermaaey , Aameen
Duaaey Sehat Karain aik aisay Dost k liye jiss ko Doctor's keh chukay hain k agar Dil ko halka sa bhi jhatka laga tau .....................
Doctors tau ousay halkay se jhatkay se bachnay ko keh rahay hain aur mein nay apnay saray dukh dard ouss k ousi naazuk se Dil parr daal rakhay hain aur vo hai k ...........
Haqeeqat mein insaan khud gharz hai , A LLAH mujhay muaaf farmaaey , kiaa zulm kar baithaa hoon , aap logon k paas aaya hoon iss liye k aap sab log duaa karain k ALLAH ouss DIL ki taraf janay walay sab dukhon aur ghamoN ka Rukh apni rehmat se kisi aur taraf kar deyN k ouss jaisa Dil kisi kisi k paas hota hai aur hamaray jaisay Dil LaakhoN karoroN ki Ta'daad mein mil Jaaen Gay , mujhay jaisay banday ko insaaniyet ka Dars diya hai ouss banday nay , mein kaisay itni aasaani se ouss Dil ko Bay Dharak hota dekhta rahoon , Aap sabb se Iltija hai k jo log RaatoN k pichlay Pehar Outhh kar 'OUSS" kay Saamnay Rotay hain Aur Vo sabb Jo "OUSS"ko apnay Demagh mein yaad rakhtay hain aur vo sabb "OUSS"ko apnauy Dil mein mojood paatay hain aur meray jaisay vo log bhi jo "OUSS" ko apni sheh ragg mein mojood paatay hain , ounn sabb se iltija hai k voh ouss shaks ki sehat yaabi k liye duaa karain , jin ka maana hai k DuaaoN se Taqdeer badal jaati hai aur Duaa se MoseebtoN ka aur TakleefoN ka Rukh Mora ja sakta hai , chaahay Sooray YASEEN parhain ya QURAN poora ParhaaeN , agar ye kaam na kar sakain tau Duaa zaroor kijye ga aur agar Duaa k liye Time nahi tau Sirf Aik Baar " OUSS" Qadr-e mtuliq ki taraf Nigaah zaroor Outhha dain Baaqi "VOH" sabb samajh lay ga ,
Aai'ye Sab Mil kar Aik Acha DIL rakhnay walay Insaan ko itni jaldi hamara saath chornay se roknay ki kosish kartay hain k aisay logon ki Ouper nahi abhi yahaaN zaroorat hai , ALLAH sabb k DiloN ka Haal jaanta hai aur "VOH" sabb ki Sun'nta hai aur sabb kuchh daikh raha hai , ALLAH Karam kar , Reham kar aur hamain apnay Fazl-o-karam se nawaaz , Hum teray Hazoor phir aa gaey AUR koi nahi sun'nta aur na koi sunnay laaeq hai ,Touu suun aur Reham farma ,karam farma