QUOTE(Raji @ Jun 7 2006, 07:49 PM) [snapback]2149166[/snapback]
sis, image tu bohat Khoob hai lekin ek choTee see baat kehnaa chahooNgii umeed hai keh meHsoos naheeN kareNgee.
baarish ke paanii ka tazkarah jab bhi kisee nazm meN maujood ho tu us ke background meN baarish kee bondeN honee chahiYeN yaa phir voh manzar ho jis meN keh baarish ka eHsaas ho.
jab kisee kee yad ka tazkarah ho tu image ke andar yeh bhi laazmii hai keh us ke andar koyii sochtaa hoovaa insaan, yaa KhyalooN meN d'oobaa hoovaa chehraa yaa koyii yaad dilaane waalaa manZar Saaf yaa dhundle andaaz meN maujood ho.
tab voh alfaaz aur background ek doosree kee zabaan ban jaate heN.
meree majboorii hai keh mujhe graphic software peh kaam karnaa naheeN aataa varna apnii baat kee vaZaHat image taKhleeq kar ke detee tab shayed aap ko samjhaane meN maiN ziyadah kaamyaab hopatee keh Haqeeqatan maiN kehnaa kyaa chahtee hooN.
umeed hai keh aap meree baat ko macbat hee leNgee.
Khair andesh
Zahida Raees :Raji:
sis mujhay buhut khushi hoty hay apk i reply daikh ker
aray mujhay tuo acha lagta hay jab koi mery islah kerta hay ap mujhay sharminda ker rahi hain
main kyun mehsus kernay lagy apki baat ko
aur buhut achi baat kahi hay apnay abhi derasal naya naya graphic designing seekhi hay aur sab khud hi seekha hay ALHAMDOLILLAH kisi institiute say nahi seekha hay inshALLAH agay zaroor behtri hogy bas ap sabki hosla afzai sath rahay......aur ainda bhi zaroor mery islah kijiga ........
khush rahain
ghazal sis