javed Chaudhry nay Jang group ko khair.baad kah dia hai. aur ab aap islamabad, karachi, lahore, peshawar, multan, faisalabad, gojraNwala, sargodha aur rahim yaar khaan say bayak waqt publish honay walay dail EXPRESS say wabistah hogaye haiN.... kal sunday ko onka pahla column express maiN publish howa hai jiskay last words yeh haiN:
meray dostouN (Jang Group) nay mujhay test katrnay k liyeh maidaan maiN otaar dia hai. woh yeh dekhna chaahtay haiN k kia waqe'ee Allah nay mujhay koi hunar day rakha hai. woh yeh chaahtya haiN k maiN yeh sabit karouN k onkay saaray faislay Theek naheeN hotay. woh etni baRi media empire k bawajood faqat insaan haiN khoda naheeN ... insaan khaah ketna taqatwar hojaye woh insaan hi rahta hai ossay doosray insaanouN ka moqaddar likhnay ka ekhteyaar naheeN.
Javed Chaudhry nay 1991 maiN sahafat shooroo ki ... daily ummat aur daily khabraiN etc k baad woh 1997 - 2006 tak jang group say wabistah rahay. woh 2000 - 2006 tak pakistan k sab say zeyadah paRhay janay walay colum nigaar rahay haiN. 1998 ka APNS ka behtareen colum nigaar ka awaard hasil kia... aap k colums k 2 majmoo.ay zero point, zero point-2 shaya hochukay haiN. zero point k ab tak 70 edition shaya hochukay haiN. aur last 5 years say yeh kitaab as best seller aa rahi hai.
javed chaudhry nay hakoomati tarjuman ptv 'join' bhi as current affair anchorperson join karlia hai......... kia yeh mumkin hai k koi sahafi sarkari media say kissi taur bhi wabistah ho aur hakoomati actions / policies k khelaaf aisay column bhi likh sakay, jo jawe chaudhry ka khasa rahay haiN
pahlay mausoof ko 'audition' k bahanay ptv ki morning nasharyaat 'rising pakistan' maiN as a 'guest' bolaya gaya..... aur on screen onki kaarkardagi ko dekhtay howay aik current affairs k program ki mezbani day di gayee.... jiski ittelaa ptv nay baray jahazi size k akhbari add say di............ yeh yaqeenan aik purkashish agrreement hoga javed ch aur ptv k maabain...... ab dekhna yeh hai k javed iss sonahri pinjray maiN band hokar kiss tarah apni inferadiat barqarar rakhtay haiN yaa deger sikkah band sarkari daanishwarouN ki suff maiN shamil hokar......... khoda karay k mera yeh andeshaa hia.ay dooooor daraaaaz ghalat sabit ho. aap bhi do'aa karaiN.

