shukar hay k kisi ko DOCTOR's ki achaayee bhi nazar aayee,,,
to b honest with u,, private hospitals (masiwaay chand k-- jaisay Doctors hosp, surgi-med waghaira) main patient k ilaaj say ziada unhaain lootnaay par tawajhu dee jaatee hay, haan yah zaroor hay k patients ko inperson care, n one to one care miltee hay jis say woh khush hou jatain haain, us ki wajha aik tu zahir hay k hosp nay un say paisa kamana houta hay,, laikin doosree wajha medical staff and doctors ki ratio hay,, ju k govt hosp ki nisbat bohat bahtar hay,,
yah aur baaat k private hosp main patients k lawahiqeen doctors ko bhi apnaa mulazim samajhtaay haain,,
main na lahore k aik busy hosp main private job ki thee, laikin main wahan 1 wk say ziada nahen thahar saka,, kiyoon k itnaa un-ethical kaaam ham say nahen houtaa,,
govt hosp. main esp teaching hosp main patient care waqai achi houtee hay,, achaay doctors ki moujoodgee k sath sath aik choutee se wajha yah bhi hay k consultaNTS ki repute wahan say hi bantee hay jis k bayes private patients baaad mai un k pass aataay hain,,
main na JINNAH hosp lahore main house job ki thee, n ALLAH ka shukar hay k hamaray ward main kisi patient ko main na mis-menage houtay nahen daikha,,