Help - Search - Members - Calendar
Full Version: ~mayyosi~
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Human Relationships, Society & Culture
seemel
Iss bhertee hoyee mayyosi ki wajah kiya hey
Abu Adnan
QUOTE(seemel @ Jul 9 2006, 03:52 PM) [snapback]2156612[/snapback]

Iss bhertee hoyee mayyosi ki wajah kiya hey


kaun see mayoosi

kaisee maayoosi

kiss say mayoosi

kuch ata pata ... to batlayaiN ... takay baat agay chalay........ mayoosi ki to bahoot see aqsaam hoti hai..... huh.gif
seemel
infradi aur milli ...donoun hassiyatoun sey...
jiss k paas kuch nahi woh bhi mayoos
jiss k pass sab kuch hey woh bhi na umeed
Humien Rehmat ki bhi umeed nahi rahi... aur Bakhsish ki bhi nahi


Garz...jahan deikheye mayyosi...
sahera
QUOTE(seemel @ Jul 9 2006, 10:52 AM) [snapback]2156612[/snapback]

Iss bhertee hoyee mayyosi ki wajah kiya hey



Deen se dUri...hay is mayossi ki wajah aur kuch nahi. chahey koi kitnay hi falsafay paish karay......kitni hi tadbeerien nikalay.....hur tarf gunah hay toh.....seedhi se baat hay kufar , kufar ko hi janaam dey ga.
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Jul 9 2006, 07:46 PM) [snapback]2156639[/snapback]

Deen se dUri...hay is mayossi ki wajah aur kuch nahi. chahey koi kitnay hi falsafay paish karay......kitni hi tadbeerien nikalay.....hur tarf gunah hay toh.....seedhi se baat hay kufar , kufar ko hi janaam dey ga.


well said rose.gif

Allah ki rahmat say mayoosi to kufr hai .......... aur jo log dee say doooooooooor kufria zindagi guzaartay haiN wohi sab say zeyadah mayooos hotay haiN....... aur jo log deeni taaleemat k motabiq zindagi guzaartay haiN woh naimat milnay par shukar ada kartay haiN aur nah milnay par sabar kartay haiN ... aur saabir o shaakir kabhi mayoos naheeN hota
seemel
liekin.... Namzien baqaidgi sey perhtey.... buhat deeni loog.... un kk bhi mayoos hotey diekha hey mien ney
Abu Adnan
QUOTE(seemel @ Jul 10 2006, 12:44 PM) [snapback]2156795[/snapback]

liekin.... Namzien baqaidgi sey perhtey.... buhat deeni loog.... un kk bhi mayoos hotey diekha hey mien ney


aap ka moshahida baja sahi ... lekin islam sirf namaaz rozay ka naam to naheeN.
huh.gif .... islam ebadaat k elawaah dunyawi maamlaat ko Theek Theek islamic teacing k motabiq deal karnay ka naam hai ...

ab issi mayoosi hi ko dekh laiN.... halaat kaisay hi kharaab kiyouN nah houN islam mayoos hojanay aur turkay jid o johad say mana karta hai........ chunanchah agar koi fard matloobah target k hasool maiN naakaami per sabar karnay aur jid o johad jari rakhnay ki bajaye mayoos hojata hai ... to oska yehi behaviour anti islam hai.

albatta iss main reason k elawah bhi bahoot see deger reasons haiN mayoos honay ki... aur onn reasons ki maujoodgi say inkaar naheeN kia jasakta ... masalan mulk maiN insaaf naheeN hai, molazmat / karobaar k zaraye kam haiN, mulk maiN chori dakaity maiN ezafah horaha hai, traffic k nazm maiN kharabiyouN k baaes haadsaat maiN ezafah horaha hai... police aur law enforcing agencies apna asal kaam karnay ki bajaye awaam ko tang kar rahay haiN........... aisay hi aur bhi deger wajoohaat haiN jinhaiN dekhtay howay aaj ghareeb ho ya ameer,,, har fard apnay mostaqbil say mayoos nazar aataa hai....

lekin above environment ko awwal to hum aur aap jaisay indivisual sodhaar naheeN saktay aur iss environment say faraar bhi naheeN hosaktay........ to kia hum aisay maiN mayoosi ka shikaar hokar apna mazeed nuqsaan karlaiN yaa deeni taleemaat k motabiq inhi halaat maiN jeenay ki omang paida kartay howay sabar, shokar, jahday mosalsal say kaam laiN....... wazah rahay k mosalsal mayoosi insaan ki zehni o jismani quwwatouN ko kam karkay ossay zehni o jismani mareez bana deti hai...... aur jiska sara nuqsaan mayoos honay walay ko hota hai...... above halaat to pahlay hi ossay nuqsaan pahoncha rahay thay ab mayoos banday nay khud bhi apnay aap ko nuqsaan pahonchana start kar dia... yeh kahaaN ki daanish.mandi hai

sahera
QUOTE(seemel @ Jul 10 2006, 07:44 AM) [snapback]2156795[/snapback]

liekin.... Namzien baqaidgi sey perhtey.... buhat deeni loog.... un kk bhi mayoos hotey diekha hey mien ney


namazein, roza, hajj ,umray masjidein banana...lakhon yateemON par kharch karna .........lambi lambi dariyan rakhna. takhnay nangay rakhna. qalmi jihad ya jaisay bhi .....in sab se mazhab banta hay .....is se kisi ko inkaar nahi magar aik chese DEEN hota hay...apnay mushaida se mujhe sirf aik sawal ka jawab do ......aap kay ird gird kitnay hi loog hajj aur umray par jatay hongay....koi namaz na chortay hongay..islamic maslay bayan karnay mein paish paish hongay....zara jhank kar dekhay unki apni amaali zindagi kaisi hay?
kufR ki teen bunayedein .

GHair ALLAH ki hukmarnani

makhLooot maushara

Risq e haram.

jab tak in teeno mein se aik bhi moojod hay ........woh chahey kitnay hi tahajad guzar namazi aur rozay daar kio na ho.......woh mayoos zaroor hoga. yeh woh loog hotay hien jo jantay hein hum sirf tasbiyan parhnay se bakhshay jaye gay.....tasbiOn par aitraaz nahi magar amali zindagi mein na sood chortay hein.......na Tv dekhna aur na hi ghair ALLAH ki hukmarani jisay shirk kehtay hien.......
~*fariha*~
merey khayal mein jo log ziada sochtey hain woh mayoos ziada hotey hain eis liey bilkl nai sochna chaheay 1-think.gif
Abu Adnan
QUOTE(~*fariha*~ @ Jul 11 2006, 01:19 AM) [snapback]2157169[/snapback]

merey khayal mein jo log ziada sochtey hain woh mayoos ziada hotey hain eis liey bilkl nai sochna chaheay 1-think.gif


lol.... khas kam jahaaN paak biggrin.gif

fikray farda nah karouN, hamah tan gosh rahouN
maiN bhi koi gul houn kay khamoish rahouN 0-16_angry.gif

insaan aur jaanwer maiN yehi to aik bunyadi faraq hai k insaan baa.sha'oor hai aur apnay aur ird gird k baray maiN soch sakta hai aur sochta hai ....

haan yeh kaha jasakta hai k: manfi-soch ka tasalsul insaan ko mayoos karta hai.
~*fariha*~
QUOTE(~*fariha*~ @ Jul 10 2006, 08:19 PM) [snapback]2157169[/snapback]

merey khayal mein jo log ziada sochtey hain woh mayoos ziada hotey hain eis liey bilkl nai sochna chaheay 1-think.gif



breakface1.gif aap dumbo hain:huh: lolss just kidding waisey mayoosi depression hai aik tarhan ka insaan jab apni mayoosion ko hi har waqt sochta rahey ga to depressed hi hota rahey ga eis liey mein keh rahi hoon ke mayoosion ko ziada tari nai karna cheay aur positive aspects ko dekhna chaheay . eis depression se insaan ussi waqt bahir asakta hai jab woh mayoosion ko aik side mein rakh dai aur un par ziada na sochey .aur I think eis ka hal insan ke pass khud hi hota hai koii dosra aakar to aap ki mayoosio mein kami nahi kar sakta aap ko khud koshish karni parti hai ein mayoosion ko bhulaney ke. 0-headbang.gif
Abu Adnan
QUOTE(~*fariha*~ @ Jul 11 2006, 09:08 AM) [snapback]2157206[/snapback]

breakface1.gif aap dumbo hain:huh: lolss just kidding waisey mayoosi depression hai aik tarhan ka insaan jab apni mayoosion ko hi har waqt sochta rahey ga to depressed hi hota rahey ga eis liey mein keh rahi hoon ke mayoosion ko ziada tari nai karna cheay aur positive aspects ko dekhna chaheay . eis depression se insaan ussi waqt bahir asakta hai jab woh mayoosion ko aik side mein rakh dai aur un par ziada na sochey .aur I think eis ka hal insan ke pass khud hi hota hai koii dosra aakar to aap ki mayoosio mein kami nahi kar sakta aap ko khud koshish karni parti hai ein mayoosion ko bhulaney ke. 0-headbang.gif


yeh howee naa maqool baat .... pahlay to aap sochnay ... zeyadah sochnay hi say mana kar rahi theeN/// biggrin.gif aur maiN soch raha tha k agar saray log ... dr. engnr. scientist, wakeel, pjhalsafhy, teacher, student ..... sochna hi band kar daiN to iss dunay aur khud onka kia hashar hoga.... 1-jokes.gif 1-jokes.gif

ab aaap ki wazahat qaabilay qabool aur maqool hai ... thnx
*Kainaat*

hmmm Barhti hui mayoosi kee wajah achi terha discuss ho gayee hai....


Bass ye hai ke...
agar aap aik baar mayoosi ko apnay paas anay dain tu
ye aap ke andar tak bohat gehri aur pakki hoti jatti hai...!!!

seemel
QUOTE(Abu Adnan @ Jul 10 2006, 08:28 AM) [snapback]2156806[/snapback]

aap ka moshahida baja sahi ... lekin islam sirf namaaz rozay ka naam to naheeN.
huh.gif .... islam ebadaat k elawaah dunyawi maamlaat ko Theek Theek islamic teacing k motabiq deal karnay ka naam hai ...

ab issi mayoosi hi ko dekh laiN.... halaat kaisay hi kharaab kiyouN nah houN islam mayoos hojanay aur turkay jid o johad say mana karta hai........ chunanchah agar koi fard matloobah target k hasool maiN naakaami per sabar karnay aur jid o johad jari rakhnay ki bajaye mayoos hojata hai ... to oska yehi behaviour anti islam hai.

albatta iss main reason k elawah bhi bahoot see deger reasons haiN mayoos honay ki... aur onn reasons ki maujoodgi say inkaar naheeN kia jasakta ... masalan mulk maiN insaaf naheeN hai, molazmat / karobaar k zaraye kam haiN, mulk maiN chori dakaity maiN ezafah horaha hai, traffic k nazm maiN kharabiyouN k baaes haadsaat maiN ezafah horaha hai... police aur law enforcing agencies apna asal kaam karnay ki bajaye awaam ko tang kar rahay haiN........... aisay hi aur bhi deger wajoohaat haiN jinhaiN dekhtay howay aaj ghareeb ho ya ameer,,, har fard apnay mostaqbil say mayoos nazar aataa hai....

lekin above environment ko awwal to hum aur aap jaisay indivisual sodhaar naheeN saktay aur iss environment say faraar bhi naheeN hosaktay........ to kia hum aisay maiN mayoosi ka shikaar hokar apna mazeed nuqsaan karlaiN yaa deeni taleemaat k motabiq inhi halaat maiN jeenay ki omang paida kartay howay sabar, shokar, jahday mosalsal say kaam laiN....... wazah rahay k mosalsal mayoosi insaan ki zehni o jismani quwwatouN ko kam karkay ossay zehni o jismani mareez bana deti hai...... aur jiska sara nuqsaan mayoos honay walay ko hota hai...... above halaat to pahlay hi ossay nuqsaan pahoncha rahay thay ab mayoos banday nay khud bhi apnay aap ko nuqsaan pahonchana start kar dia... yeh kahaaN ki daanish.mandi hai



shukriyah Usuf bhai.....App ney jinn wajohat ka zikar kiya... inn "wajohat" ki "Wajah" sey buhat sey logoun ko "Mayoos" Hotey hoye... iss mulk ko chortey hoye... yah... iss mulk ko chorney K iradey bhandhtey hoye diekha hey..... aur agar unn sey sabar , shukar kerney ko kaha jaye... tu woh yaqeenen ... iss qadar mayoos ho chukey hien... k kehtey hien iss "Mulk" mien kuch theek nahi ho ga... na aaj na kal.... yeh zikar yahan iss leye ... k loog ...aur humarey appney loog iiss mulk sey mayoos ho chukey hien.. yahan k Gair qanoni kamoun sey..... yahan k gair insani rawayoun sey....

QUOTE(sahera @ Jul 10 2006, 12:05 PM) [snapback]2156899[/snapback]

namazein, roza, hajj ,umray masjidein banana...lakhon yateemON par kharch karna .........lambi lambi dariyan rakhna. takhnay nangay rakhna. qalmi jihad ya jaisay bhi .....in sab se mazhab banta hay .....is se kisi ko inkaar nahi magar aik chese DEEN hota hay...apnay mushaida se mujhe sirf aik sawal ka jawab do ......aap kay ird gird kitnay hi loog hajj aur umray par jatay hongay....koi namaz na chortay hongay..islamic maslay bayan karnay mein paish paish hongay....zara jhank kar dekhay unki apni amaali zindagi kaisi hay?
kufR ki teen bunayedein .

GHair ALLAH ki hukmarnani

makhLooot maushara

Risq e haram.

jab tak in teeno mein se aik bhi moojod hay ........woh chahey kitnay hi tahajad guzar namazi aur rozay daar kio na ho.......woh mayoos zaroor hoga. yeh woh loog hotay hien jo jantay hein hum sirf tasbiyan parhnay se bakhshay jaye gay.....tasbiOn par aitraaz nahi magar amali zindagi mein na sood chortay hein.......na Tv dekhna aur na hi ghair ALLAH ki hukmarani jisay shirk kehtay hien.......


Makhloot Muashra................? Iss sey kiya muraad hey Sahera

QUOTE(~*fariha*~ @ Jul 11 2006, 04:08 AM) [snapback]2157206[/snapback]

breakface1.gif aap dumbo hain:huh: lolss just kidding waisey mayoosi depression hai aik tarhan ka insaan jab apni mayoosion ko hi har waqt sochta rahey ga to depressed hi hota rahey ga eis liey mein keh rahi hoon ke mayoosion ko ziada tari nai karna cheay aur positive aspects ko dekhna chaheay . eis depression se insaan ussi waqt bahir asakta hai jab woh mayoosion ko aik side mein rakh dai aur un par ziada na sochey .aur I think eis ka hal insan ke pass khud hi hota hai koii dosra aakar to aap ki mayoosio mein kami nahi kar sakta aap ko khud koshish karni parti hai ein mayoosion ko bhulaney ke. 0-headbang.gif


Thanx Fariha for replying 1-afsana.gif

QUOTE(Kainat @ Jul 11 2006, 12:45 PM) [snapback]2157443[/snapback]


hmmm Barhti hui mayoosi kee wajah achi terha discuss ho gayee hai....
Bass ye hai ke...
agar aap aik baar mayoosi ko apnay paas anay dain tu
ye aap ke andar tak bohat gehri aur pakki hoti jatti hai...!!!




0-headbang.gif
seemaf
QUOTE(Kainat @ Jul 11 2006, 05:45 PM) [snapback]2157443[/snapback]


hmmm Barhti hui mayoosi kee wajah achi terha discuss ho gayee hai....
Bass ye hai ke...
agar aap aik baar mayoosi ko apnay paas anay dain tu
ye aap ke andar tak bohat gehri aur pakki hoti jatti hai...!!!




0-headbang.gif Very Well said
*Kainaat*
QUOTE(seemaf @ Jul 19 2006, 10:35 AM) [snapback]2160286[/snapback]

0-headbang.gif Very Well said


Jee blush.gif



ab aur kiya kahoon ....


This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.