Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Kafan Demonstration
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
*DhanaK*
salaam alaikum
yahan ek mosque mein " burial committee " ne kafan demonstration rakha (yaani kafan kasie pinhaate hain) ,ek do friends se kaha chalo kehne lageen na baba toba karo,koi keh rahee thee bahot dar lagta hai,teesri ne kaha main to kafan ka naam sun ke hi behosh hui ja rahi hoon.

AB!
sawal yeh hai ke aap par kya reaction hota,ky aap shirkat karte? ya aapka kya reaction hota.

kindly note
yeh seedhi si ek post hai,ise seedha saadha hi rehne dein,koi aur rung na de dein.
and plz share your thoughts.

QUOTE(shafaq @ Jul 22 2006, 04:30 AM) [snapback]2161160[/snapback]

salaam alaikum
yahan ek mosque mein " burial committee " ne kafan demonstration rakha (yaani kafan kasie pinhaate hain) ,ek do friends se kaha chalo kehne lageen na baba toba karo,koi keh rahee thee bahot dar lagta hai,teesri ne kaha main to kafan ka naam sun ke hi behosh hui ja rahi hoon.

AB!
sawal yeh hai ke aap par kya reaction hota,ky aap shirkat karte? ya aapka kya reaction hota.
kindly note
yeh seedhi si ek post hai,ise seedha saadha hi rehne dein,koi aur rung na de dein.
and plz share your thoughts.

sorry ghalat section mein ho gai post,ise baat cheet mein kar dein ya ftm mein,thanks
*DhanaK*
salaam alaikum
plz move this topic to ftm or baatcheet

one more thing,ten or more viewers have been there,if the viewers think it is a different topic and they don't want to reply,plz tell me "why"

is it only me who thinks this is a valid topic to discuss
Khalish
Salaam:

Jee zaroor shirkat karni chahiye ... maiN khud bhi aur apne bv bacchoN ko bhi targheeb dooNga keh voh iss amal ko zaroor daikhaiN ... yahaan sirf ibrat haasil karna maqsood nahi hai balke kuch seekhna hai jo ba.waqt.e.zaroorat kaam aa jaaey.

Aawaz
QUOTE(shafaq @ Jul 22 2006, 04:31 AM) [snapback]2161160[/snapback]

salaam alaikum
yahan ek mosque mein " burial committee " ne kafan demonstration rakha (yaani kafan kasie pinhaate hain) ,ek do friends se kaha chalo kehne lageen na baba toba karo,koi keh rahee thee bahot dar lagta hai,teesri ne kaha main to kafan ka naam sun ke hi behosh hui ja rahi hoon.

AB!
sawal yeh hai ke aap par kya reaction hota,ky aap shirkat karte? ya aapka kya reaction hota.
kindly note
yeh seedhi si ek post hai,ise seedha saadha hi rehne dein,koi aur rung na de dein.
and plz share your thoughts.
sorry ghalat section mein ho gai post,ise baat cheet mein kar dein ya ftm mein,thanks

Dear Sis. kisi haiN ap......................

maiN nay ap ki yeh Post aaj hi pRhiiii...

meray Khyial maiN aysi CheeZooN say wo looG Dartay haiN ....

jo GunahaGar hotay haiN......ya jiN ka eimaaN kamZoor hota hai...

kaSh meray Ghar ky Qareeb kohi aysiiiiii Burial Committe hotee...

wesay maiN apnay liyeh hamayShah kafaN la ker rakhtee hooN

our QabrestaaN ka Chaker bhi ishi liyeh laGaate rehtee hooN takhy mujhay

yaad rehay khy yeh hi wo jaGha hai jahaaN mujhay aana hai
*Kainaat*

wa- Leikum Salam jee..

maine pehle aisi kisi demonstration ke baaray meen nahi sunna hai...

acha hai maloom hua...

aur baRon ko chahye apnay chootoon ko iss ke aur aisi kisi bhi baat ke jo hamary religion se related ho, uss ki agaahee deen.. aur jo Loog iss se baagtay hain wo shayad bhool jattay hain ke unho ne bhi aik din aisy hi jana hai... wo aisay hi hain jaisay ( kabootar ankhain band ker lay)... iss se haqeeqat nahi badalti smile.gif

KHAL NAYAK
QUOTE(Aawaz @ Jul 23 2006, 06:15 PM) [snapback]2161611[/snapback]

Dear Sis. kisi haiN ap......................

maiN nay ap ki yeh Post aaj hi pRhiiii...

meray Khyial maiN aysi CheeZooN say wo looG Dartay haiN ....

jo GunahaGar hotay haiN......ya jiN ka eimaaN kamZoor hota hai...
kaSh meray Ghar ky Qareeb kohi aysiiiiii Burial Committe hotee...

wesay maiN apnay liyeh hamayShah kafaN la ker rakhtee hooN

our QabrestaaN ka Chaker bhi ishi liyeh laGaate rehtee hooN takhy mujhay

yaad rehay khy yeh hi wo jaGha hai jahaaN mujhay aana hai

Khawateen ka Qabrustan jana sakhti say mannah hay ISLAM main.
*DhanaK*
QUOTE(Khalish @ Jul 23 2006, 04:56 AM) [snapback]2161515[/snapback]

Salaam:

Jee zaroor shirkat karni chahiye ... maiN khud bhi aur apne bv bacchoN ko bhi targheeb dooNga keh voh iss amal ko zaroor daikhaiN ... yahaan sirf ibrat haasil karna maqsood nahi hai balke kuch seekhna hai jo ba.waqt.e.zaroorat kaam aa jaaey.

salaams khalish bhai
aapka reply bahot accha hai dil ko sukoon huwa ke post qaabil e qubool hai.
aapke dono points bahot acche hain,yaqeenan zururat pad sakti hai,aur maut se kaun bahga hai ya maut kab aayegi kyunkar aur kin haalat mein aayegi kis ko pata,to prepared to rehna chahiye na.
main ne socha pata naheen kya post kar diya kaheen "jila hulchul " na ho jaaun
sab se zyadah uljhhan is liye thee ke kaheen na kaheen se koi jhhagde ke liye shar'a ka point na le aaye (hote hain aise log)
koi post bilkul khaalis niyyat se kee jaaye aur log use mazhabi air firqewaariyat ki nazar kar dein to bahot bahot bahot dukh ki baat hoti hai

QUOTE(Aawaz @ Jul 23 2006, 01:15 PM) [snapback]2161611[/snapback]

Dear Sis. kisi haiN ap......................

maiN nay ap ki yeh Post aaj hi pRhiiii...

meray Khyial maiN aysi CheeZooN say wo looG Dartay haiN ....

jo GunahaGar hotay haiN......ya jiN ka eimaaN kamZoor hota hai...
kaSh meray Ghar ky Qareeb kohi aysiiiiii Burial Committe hotee...

wesay maiN apnay liyeh hamayShah kafaN la ker rakhtee hooN

our QabrestaaN ka Chaker bhi ishi liyeh laGaate rehtee hooN takhy mujhay

yaad rehay khy yeh hi wo jaGha hai jahaaN mujhay aana hai

salaam sis
main theek Allah ka bahot shukr o ehsaan hai
aap kaisi hain
thankyou so much for appreciating the post
masjid se maloom karein ladies burial committee ke baare mein,ek coomittee hoti hai jo yeh sawaab ka kaam anjaam dene ke liye hi hoti hai.
imambargaah se bhi rujoo karein,zuroor information mil jaayegi aapko.
inshaAllah.
main ne ek majlis mein suna ke jab ham kisi ko dafn karke qabrastaan se baahar apne pairon chal kar aate hain to hamein shukr ada karna chahiye ke Allah paak ne hamein aur muhlat dee hai apne aamaal durust karne ki aur tauba o istighfaar karne kee.

QUOTE(Kainat @ Jul 23 2006, 02:00 PM) [snapback]2161617[/snapback]

wa- Leikum Salam jee..

maine pehle aisi kisi demonstration ke baaray meen nahi sunna hai...

acha hai maloom hua...

aur baRon ko chahye apnay chootoon ko iss ke aur aisi kisi bhi baat ke jo hamary religion se related ho, uss ki agaahee deen.. aur jo Loog iss se baagtay hain wo shayad bhool jattay hain ke unho ne bhi aik din aisy hi jana hai... wo aisay hi hain jaisay ( kabootar ankhain band ker lay)... iss se haqeeqat nahi badalti smile.gif

salaams kainat rose.gif
actually is demonstration mein main volunteer karne ki khwahish rakhtee thee ek bas feel kar sakoon kucch humble ban sakoon kucch nek ban sakoon is duniya ke gorakh dhhande se bilkul hat kisi roohaani soch ko dil mein jagah doon,lekin volunteer karne ka mujhhe mauqa naheen mil saka.
aapki kabootar wali misaal bahot bar mahel hai,best misaal hai, so many of us just do that,limited thinking limited view,bas duniya tak.
very nice reply and thanks for replying

QUOTE(Khalish @ Jul 23 2006, 04:56 AM) [snapback]2161515[/snapback]

Salaam:

Jee zaroor shirkat karni chahiye ... maiN khud bhi aur apne bv bacchoN ko bhi targheeb dooNga keh voh iss amal ko zaroor daikhaiN ... yahaan sirf ibrat haasil karna maqsood nahi hai balke kuch seekhna hai jo ba.waqt.e.zaroorat kaam aa jaaey.

sorry khalish bhai
shukriya meri post yahan move karne ka,bas aapsab ke replies se bahot mutaassir hui,isi mein yeh zuroori amr reh gaya
Aawaz
QUOTE(KHAL NAYAK @ Jul 23 2006, 08:41 PM) [snapback]2161651[/snapback]

Khawateen ka Qabrustan jana sakhti say mannah hay ISLAM main.

maiN behas nahi kerna Chatee

kuCh kam Insan apnii

tasali ky liyeh kerta hai.............Bus............

wesay bhi niyatooN ka hal Khuda jantaa hai...

*Kainaat*
QUOTE(shafaq @ Jul 24 2006, 06:55 PM) [snapback]2161946[/snapback]

salaams kainat rose.gif
actually is demonstration mein main volunteer karne ki khwahish rakhtee thee ek bas feel kar sakoon kucch humble ban sakoon kucch nek ban sakoon is duniya ke gorakh dhhande se bilkul hat kisi roohaani soch ko dil mein jagah doon,lekin volunteer karne ka mujhhe mauqa naheen mil saka.
aapki kabootar wali misaal bahot bar mahel hai,best misaal hai, so many of us just do that,limited thinking limited view,bas duniya tak.
very nice reply and thanks for replying

U welcome shafaq jee smile.gif

chalain i hope aap ke khawaish phir kabhi poori ho jaye zaroor..
ya aap koi aur Roohani kaam dhoond lain smile.gif.....
*DhanaK*
QUOTE(Kainat @ Jul 24 2006, 07:39 PM) [snapback]2161968[/snapback]

U welcome shafaq jee smile.gif
chalain i hope aap ke khawaish phir kabhi poori ho jaye zaroor..
ya aap koi aur Roohani kaam dhoond lain smile.gif.....

ji inshaAllah
Allah paak qadam qadam par meri madad farmaaye Ameen.
Najman
QUOTE(shafaq @ Jul 24 2006, 11:55 PM) [snapback]2161946[/snapback]

salaams kainat rose.gif
actually is demonstration mein main volunteer karne ki khwahish rakhtee thee ek bas feel kar sakoon kucch humble ban sakoon kucch nek ban sakoon is duniya ke gorakh dhhande se bilkul hat kisi roohaani soch ko dil mein jagah doon,lekin volunteer karne ka mujhhe mauqa naheen mil saka.
aapki kabootar wali misaal bahot bar mahel hai,best misaal hai, so many of us just do that,limited thinking limited view,bas duniya tak.
very nice reply and thanks for replying
sorry khalish bhai
shukriya meri post yahan move karne ka,bas aapsab ke replies se bahot mutaassir hui,isi mein yeh zuroori amr reh gaya

baji rose.gif
mere khayal mein tou pora ilm hona chahiye her musalman ko..jaise ham kaheen jate hein tou tayyari karte hein,kya pehniien ge waghaira..so akhiri tayyari ka kamse kam ilm tou rakhna chahiye..yeh ke kya le ke jana hai,..zaroorat tou isski baharhaal her kisi ko parna hai..
kainat ne bilkul theek kaha hai..
The Dream Merchant
W/Salam

jee haan! main bilkul shirkat karta aur main Khalish bhai ki baat say 100 feesad ittefaq karta hoon ke ibrat kay saath saath seekhna bhi maqsood hai.

kyunke hum main say aksar log (jin main, main khud bhi shaamil hoon) is kaam kay aadaab-o-faraaiz say la-ilm hain.

sab ThaaTh para reh jaaye ga
jab laad chalay ga banjaara
*DhanaK*
QUOTE(Najman @ Jul 26 2006, 06:36 AM) [snapback]2162574[/snapback]

baji rose.gif
mere khayal mein tou pora ilm hona chahiye her musalman ko..jaise ham kaheen jate hein tou tayyari karte hein,kya pehniien ge waghaira..so akhiri tayyari ka kamse kam ilm tou rakhna chahiye..yeh ke kya le ke jana hai,..zaroorat tou isski baharhaal her kisi ko parna hai..
kainat ne bilkul theek kaha hai..

bilkul aakhirat ki tayaari ka ilm hona chahiye.

ek saheb ka car accident mein intiqaal ho gaya,pardes mein,jahan musalman hi naheen the jo teen chaar musalman families theen ek aadh the woh kafan ke baare mein jaante hi na the na un marhoom ka beta,masjid bhi naheen thee wahan qareeb,to phir un logon ko kitaab se parh kar ghusl o kafan karna pada.

agar knowlegde hoti to,,,,

Kainat ka jawab waqai bahot hi accha hai.

QUOTE(The Dream Merchant @ Jul 26 2006, 09:04 AM) [snapback]2162624[/snapback]

W/Salam

jee haan! main bilkul shirkat karta aur main Khalish bhai ki baat say 100 feesad ittefaq karta hoon ke ibrat kay saath saath seekhna bhi maqsood hai.

kyunke hum main say aksar log (jin main, main khud bhi shaamil hoon) is kaam kay aadaab-o-faraaiz say la-ilm hain.

sab ThaaTh para reh jaaye ga
jab laad chalay ga banjaara

ji bahot see cheezein aisi hain jo jaanna zururri hain lekin duniya ki taiz raftaari hamein duniya mein hi mulawwis rakhtee hain.

reply ka shukriya
silenteyes
I would love to participate in it. 0-bouncer.gif
*DhanaK*
QUOTE(silenteyes @ Jul 29 2006, 02:24 AM) [snapback]2163618[/snapback]

I would love to participate in it. 0-bouncer.gif

sure,everyone should

Thirsty Sea
Waleekum Asalam

Ji bilkul isay demonstrations dheknay chahea, I like to join sucha demonistrations becuase it reminds us that we have the same path. Meray khayal say isay demonistrations say woh log dartay hay jinka iman kamzoor ho ( as said above) Mere aunty ke death one year back howi, kuch reasons ke waja say kafan seenay wala koee nahi tha, to unka kafan mein nay or mere ik dost nay sia tha. so mujhay isi baton say bilkul bhi dar nahi lagta , i like to hear and read about it more to learn smile.gif

Khush rahea rose.gif smile.gif
Abu Adnan
nice n unique post ... as usual rose.gif

meray khayal maiN kafan dafan say har muslim ko agaahi honi chahiyeh. aur agar kaheeN issay seekhnay ka moqa mil raha ho to zaroor seekhna chaiyeh. bilkhasoos khawateen ko kafnanay ka tareeqah aana chahiyeh. takay agar kissi khatoon muslima ka inteqaal hojaye to woh help kar sakaiN. bil.amoom mard to bahoot mil jatay haiN albatta khawateen kam kam hi miltee haiN.

doosri baat maiN yeh kahna chahouNga k teen.agers zabardasti yeh kaam naheeN sikhanay ki koshish kerni chahiyeh. balkay agar woh yeh kaam dekhna pasand nah karaiN to onhaiN aisee jagah lay kar bhi naheeN jana chahiyeh.... bilkhasoos laRkiyouN ko ......... kam omar bachchay / bachchiyaaN zeyadah hassas hotay haiN aur iss qism ki talkh haqeeqataiN / manazar onki nafseyaat par manfi asraat morattab karsaktay haiN......... waisay bhi yeh kaam buzurgouN / seniors ka hai.
tihami
Asslam-u-alikum aapa,,,

topic interesting hay,, n jaisa k oper discuss hu chuka k is main shirkat ka maqsad kia hou ga,,,

1- proper islamic training , k jab zaroorat paray tu insaan is k sharayee pahloo say agha hu,,
2- Ibrat bhi hou sakta hay k hamara dil naram hu jaay, akhirat k baray main,,,,

well jz related to my-self,, training k hawalay say tu zaroor faida hou ga,,,kiyoon k na main na aaj tak kisi ko kafan pahnaatay daikha hay, n na hi mujhay pata hay k sharayee taqazay kia haain is kay,,,

haaan albattaa dosree baat ka kuch nahe kah sakta, kiyooon k hosp life main insaaan daily hi itnee deaths daikh laita hay k sab kuch routine ban jata hay,,, esp jab bhi on-calls hoon, nights hoon tu har duty main 1-2 deaths to certify karnee par hi jaatee haain, Woh bhi amooman side room main jaa kar dead body ka examine karain,,heart sounds, respirations, pupils etc, n then certify the death,,,so kabhi kabhi tu khyaal aata hay,, laikin its becomming the routine now,, so kuch sakht dil hou hi jatay haain,,,

haaan aik cheeze ka khyaal zaror aata hay,, jab notes main likhna paray k k Mr. ------ has passed away , may his soul rest in peace.

tab main sochta hoon k agar yah banda non-muslim hu kar hi mar gaya hay tu how can his soul b R.I.P .

ALLAH sab ko hidayat day,,
Abu Adnan
QUOTE(tihami @ Jul 30 2006, 04:02 PM) [snapback]2164088[/snapback]

baat to ghaur talab hai ... aap koi motabadil / zoomani words dhoond laiN .... yaa phir arif bhai wala "nazarya" apna laiN k non-muslim bhi jannat k haqdaar hosaktay haiN. breakface1.gif breakface1.gif
*DhanaK*
QUOTE(Abu Adnan @ Jul 30 2006, 09:29 AM) [snapback]2164053[/snapback]

nice n unique post ... as usual rose.gif

meray khayal maiN kafan dafan say har muslim ko agaahi honi chahiyeh. aur agar kaheeN issay seekhnay ka moqa mil raha ho to zaroor seekhna chaiyeh. bilkhasoos khawateen ko kafnanay ka tareeqah aana chahiyeh. takay agar kissi khatoon muslima ka inteqaal hojaye to woh help kar sakaiN. bil.amoom mard to bahoot mil jatay haiN albatta khawateen kam kam hi miltee haiN.

doosri baat maiN yeh kahna chahouNga k teen.agers zabardasti yeh kaam naheeN sikhanay ki koshish kerni chahiyeh. balkay agar woh yeh kaam dekhna pasand nah karaiN to onhaiN aisee jagah lay kar bhi naheeN jana chahiyeh.... bilkhasoos laRkiyouN ko ......... kam omar bachchay / bachchiyaaN zeyadah hassas hotay haiN aur iss qism ki talkh haqeeqataiN / manazar onki nafseyaat par manfi asraat morattab karsaktay haiN......... waisay bhi yeh kaam buzurgouN / seniors ka hai.

salaam alaikum
shukriya
baat sahi hai ke zabardasti teenagers ya youngsters ko naheen bhejna chahiye,saath mein unhein darana ya peecche rakhna bhi baja naheen.if they are willing then why not.
hamaare yahan to baqaaedah ladies ki ek committee hoti hai to aisa mas'ala naheen aata ke kisi khatoon ka inteqaal ho to problem aaye is silsile mein.

QUOTE(Abu Adnan @ Jul 30 2006, 11:55 AM) [snapback]2164100[/snapback]

baat to ghaur talab hai ... aap koi motabadil / zoomani words dhoond laiN .... yaa phir arif bhai wala "nazarya" apna laiN k non-muslim bhi jannat k haqdaar hosaktay haiN. breakface1.gif breakface1.gif

ek programma ata hai tv par to usmien johny lever ( indian comedian) keh raha tha ke jab koi marta hai to kehte hain swarg wasi hogaya,yahan hamein nark (jahannum) se har waqt daraya jata hai ke yeh na karo woh na karo aakhir kyun,jab swarg waas hona hai.

note: hindus ke inteqaal par yahi kehte hain fulaan ka swargwaas ho gaya.

Abu Adnab bhai
yeh Arif bhai wala nazariyah kaun sa hai?

KHAL NAYAK
QUOTE(Aawaz @ Jul 24 2006, 11:56 PM) [snapback]2161955[/snapback]

maiN behas nahi kerna Chatee

kuCh kam Insan apnii

tasali ky liyeh kerta hai.............Bus............

wesay bhi niyatooN ka hal Khuda jantaa hai...

Mash ALLAH jee Mash ALLAH Vry Nice. bahes tu mujhy bhi nahi karni hay magar isi liye itna hi kahon ga JO maanah hay woh manah hay ya tu kah dain main nahi manti ya phir accept kar lain kay han mannah hay ALLAH HAFIZ smile.gif
Abu Adnan
QUOTE(shafaq @ Jul 31 2006, 11:44 PM) [snapback]2164439[/snapback]

salaam alaikum
shukriya
baat sahi hai ke zabardasti teenagers ya youngsters ko naheen bhejna chahiye,saath mein unhein darana ya peecche rakhna bhi baja naheen.if they are willing then why not.
hamaare yahan to baqaaedah ladies ki ek committee hoti hai to aisa mas'ala naheen aata ke kisi khatoon ka inteqaal ho to problem aaye is silsile mein.
ek programma ata hai tv par to usmien johny lever ( indian comedian) keh raha tha ke jab koi marta hai to kehte hain swarg wasi hogaya,yahan hamein nark (jahannum) se har waqt daraya jata hai ke yeh na karo woh na karo aakhir kyun,jab swarg waas hona hai.
note: hindus ke inteqaal par yahi kehte hain fulaan ka swargwaas ho gaya.
Abu Adnab bhai
yeh Arif bhai wala nazariyah kaun sa hai?

hum to ghaleban urdu / persian maiN dead non-muslims ko marhoom ki jagaah aaN.jahani kahtay haiN.

arif bhai ka kahna hai k aaj k woh yahoodi aur christians bhi jannat maiN jayengay jo "naik aamaal" k hamil houN......... jabkay muslim ummat ka iss baat par ajmaa hai k hazrat muhammad pbuh ki amad k baad jo christians / yahoodi / yaa deger mazahab k log aap (SAW) par imaan naheeN laatay woh jaannati naheeN. khaah woh ketnay hi naikoo.kaar kiyouN nah houN.

*DhanaK*
QUOTE(Abu Adnan @ Aug 1 2006, 05:28 AM) [snapback]2164566[/snapback]

hum to ghaleban urdu / persian maiN dead non-muslims ko marhoom ki jagaah aaN.jahani kahtay haiN.

arif bhai ka kahna hai k aaj k woh yahoodi aur christians bhi jannat maiN jayengay jo "naik aamaal" k hamil houN......... jabkay muslim ummat ka iss baat par ajmaa hai k hazrat muhammad pbuh ki amad k baad jo christians / yahoodi / yaa deger mazahab k log aap (SAW) par imaan naheeN laatay woh jaannati naheeN. khaah woh ketnay hi naikoo.kaar kiyouN nah houN.

thanks for the reply

meri aarzoo Mohammad (saww)
meri justuju Madina
rose.gif

Asslam-u-alikum aapa,,,

topic interesting hay,, n jaisa k oper discuss hu chuka k is main shirkat ka maqsad kia hou ga,,,

1- proper islamic training , k jab zaroorat paray tu insaan is k sharayee pahloo say agha hu,,
2- Ibrat bhi hou sakta hay k hamara dil naram hu jaay, akhirat k baray main,,,,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

wa alaikum salaam Tihami

bahot acche points share kiye
shukriya
KHAL NAYAK
buhat khamoshi si cha gaye hay. kahan hain piyar muhabbat batnay walay log??
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.