RULES:
1- Tamam Kirdar koshish karain gay ke jab unke Dialogues chal rahay hoon tu wo wo ager roz na bhi a sakain tu aik din baad tu zaroor ayeen
2- Over Acting is DRAMA main bilkul hi mana hai is liye is baat ko achi tarha Zehan Nasheen kar lijiye.
3- Yeh DRAMA Mo’Aashi , Samaji , Mo’Aasharti aur Tab’qati pehlo’oun par hai is liye Sanjeedgi ka bhi khyal kijiye ga.
4- Dialogues ussi color main likhain jayeen gay jin main KIRDAROUN ke naam ‘main’ likhoon ga.
5- Yeh aik “Family” forum hai is liye Dialogues bolte hoye is baat ka khyal rakhiye ga ke iss Board ko Pur’Aman rehna chahiye aur kaheen hum Board kay Asool-o-Zawabet say tu kinara kash nahi ho rahay.
6- Ager Kirdar kuch Sooch bhi raha hai tu wo bhi aap likhain gay …… jaise ke: ‘koyi shakhas car drive kar raha hai lekin soochta hai ke muje aaj apni AMMI ko khala ke ghar lekar jana hai tu aap yeh cheez BRAKETS main likhain gay’ takay role ke saath sahi insaaf ho sakay
7*- “HG” kay tamam members (Khud role play karne walay bhi) kisi bhi aik SCENE ke khatam hone par us par comment de saktay hain unki Tajaweez aur Tanqeed ko pasand kiya jaye ga lekin beja behas say parheez kijiye ga.
* (is silsalay main aik aur kaam bhi kia ja sakta hai ke Drama tu aik thread main chalta rahay aur batain karne ya tareef-o-tanqeed ke liye aik aur thread start kar di jaye ….. aap dostoo ki kiya Ra’aye hai is bare main …!!!!)
ROLES:
Neha: Kainaat
Kashmala: Sahera
Bahaa: Thirsty Sea
Ebtihaj: Falak
Imad: Dream Marchent
Bilal: Risk Taker
Khurram: Leo the Great
ILham: Sohni Kudi
Col. Sarfaraz: Falak
Haziq: Shokh
Sur'raya: Barsat
Anwer: Seemaf
Max Rodrigues: Shokh
Noor-Jihaan:Mir Sumbul Mir
Farzana: Nani Pari
Asif:Seemaf