Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Yahood
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > History
khan_amer




Yahood pehlay sahib-e-Kitab (inhaiN teen kitabaiN ata howeeN) haiN jinhaiN Shariyaat kay saath saath Deen bhi diya gaya aur inhaiN iss duniya key tamam aqwaam ka Imam bana diya gaya.

YahoodiyooN per yeh khasoosi fazeelat rahi kay in maiN her dor maiN ( Hazrat Mousa (AS) say Hazrat Essa (AS)) koy na koy nabi raha!

YahoodiyooN ki tareekh YouN tu Hazrat Yaqoob (AS) say hi shoroo ho jati per in ka asal Arooj.o.zawal Hazrat Mousa (AS) kay dor say hota hay.

YahoodiyooN ki eak khasiyat rahee hay! yeh log hamesha Jihaad sya bhagtay aye haiN. iss ka andaza app aisay lagayaiN kay unlike muslims in ki saltanate key kabhi bhi Falestine say agay nahi gayee ( ma'siwa;e kuch adwaar kay) yeh in logooN key jihaad say suste ka nateeja tha.

Hazrat Mousa (AS) jab inhaiN ghulami say nikaal ker laye tu inhaiN hukm diya gaya kay Falestine ka illaqa tumhara hay ab tum per farz hay kay tum yahaaN per Allah tala kay deen ko nafiz karo. in ka jawab baRa hi sada tha, inhooN nay saaaf inkaar ker diya...aur Hazrat Mousa (AS) say kehnay lagay kay "tum aur tumhara khuda ja ker laRay ham tu na laRaiN gay" in ki apni kutb kay mutabiq uss waqt in ki tadad koy 6 lakh kay lag bhag thee... app andaza ker saktay kay kay agr 6 lakh maiN say koy bhi tayaar na ho tu uss qoum ka kiya haal hoga!!!

iss key wajaah ju mukhtalif mufasireen nay bayan key hay woh yeh kay Yahood nasl.dr.nasl ghulaam chalay aa rahay thay. inhaiN azaadi aur hakomat ya azmaat ka koy pass na tha. aur hazrat Mousa (AS) kay saath sirf iss liya aye thay kay App (AS) inhay ghulami say nikaal rahay thay. aur iss ka naam unhooN nay qurbani rakh diya ( agr kuch log yeh soch rahay haiN kay maiN yahaaN per kisi muslim incident ( ghulami say azadi ki baat ker raha hooN tu maiN kiya keh sakta hooN).

Hazrat Mousa (AS) key wafaat kay baad 300 saal tak yeh log zillat aur ghulami aur bay.watani ki zindagee guzartay yahaaN tak kay in logooN maiN apnay Nabi (AS) say kaha kay woh Allah say dua karaiN kay inhay koy leader mil jaye jis kay jhanDay talay yeh jihaad ker sakaiN. Dua kay Nateejay maiN hi in ki Khilafat-e-Rashida shoroo hoti hay... Taloot ko in per Hakim/leader Mukarer kiya jata hay aur uss kay baad Hazrat Daoud (AS) aur App (AS) kay baad Hazrat Suleiman(AS). YahoodiyooN kay un.disputed Khalifa-e-Rashid bhi kehlatay haiN.




LEADER
Yahood ki 'zehniyat' ko mazeed wazih kerney ke liye 2 coloumns:

IPB Image

----------------

IPB Image

0-headbang.gif
khan_amer
Buhat Khoob Leader Bhai

Mazeed DaikhaiN

IPB Image
KamlaJatt
Nara-e-Takbeer
ALLAH O AKBAR
Cupid Princess
1-kahani.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.