QUOTE(Thirsty Sea @ Aug 13 2006, 04:36 PM) [snapback]2169142[/snapback]
Aslam Aliakum!
Buhut zabardast topic share kia hay apnay.. JazakhAllah
It knocks down ones mind
Alluhamdulilah, i was only 6 when i started taking dupata.... and in age of 14 mein nay hijab start kia..... i really feel comfortable and save with it, i dont know why kuch khawateen isay uljhan samajhti hay
May Allah guide all of us through the right path
Jazak Allah sister TS
Allah aap ko isteqamat day aur baqi muslim bahnouN ko aap ko follow karnay ki taufeeq day. aameenQUOTE(shafaq @ Aug 15 2006, 12:37 AM) [snapback]2169413[/snapback]
Assalam o alaikum
bahot ,,bahot ,,bahot accha article hai,jazakAllah to the writer and phir aapka bhi shukriya ke aapne yahan ise post kiya.keep sharing.
is article mein hai ke maghrib ki chamak damak ,,,,, (kucch aisa hi mafhoom hai)
to aisi baat itni jagah sunti hoon parhti hoon aur yeh samajhhne se qaasir rehti hoon ke mashriqiyat chhor ke chamak damak ki taraf bhhage hi kyun? kya aql par taale hain,ya waaldein ne taaleem mein kami kee,ya deen ko shuru se bacchon ke zehnon mein naheen bitthaya gaya,kya Qur'an paak aur mutabarrak hadeeson ko bacchon ke kaamon mein naheen dala gaya?
kya hai yeh aur kyun hai?
g bilkul baja farmaya hai ... asal maiN aisa hio hai k:
(*) aql par taale hain,
(*) waaldein ne taaleem mein kami kee,
(*) deen ko shuru se bacchon ke zehnon mein naheen bitthaya gaya,
(*) Qur'an paak aur mutabarrak hadeeson ko bacchon ke kaamon mein naheen dala gaya
bil.amoom aisa hi hota hai. albatta kabhi kabhi aisa bhi hota hai k inn sab baatouN k bawajood log maghrib ki chamak damak say bhaTak jatay haiN k aakhir ko shaitaan aur hamara nafs bhi to hamaiN bhaTkata hai...... issi liyeh to daanaa'ouN ka qaul hai k aisay environment say apnay kidz ko doooooooooor hi rakha jaye jahaaN onkay bhaTaknay ka imkaan zeyadah ho..... maadar pedar azaad society maiN jahaaN chaarouN taraf bay.haya.yee openly maujood ho ... kidz / youth kahaaN tak apna daman bacha saktay haiN... aur parents bhi qadam qadam par to guiding ko maujood naheeN hotay.
Allah hum muslims par raham karay.