QUOTE(khan_amer @ Aug 9 2006, 11:49 AM) [snapback]2167498[/snapback]
choRiyaaN nazr kam aur bajti zyada haiN

... yani un ka music zyada hota hay... per maiN nay suna hay kay Pakistan say yeh bhi khatam hotee ja raheeN haiN

Pata kia wesay to Norway ma bari sardi hoti hay, magar summer is really beautiful. To jab bhi yahan summer atta hay ma zoar o shoor say manati hoon... yani rooz shalwar kameez, khusay shusay pehan kar kaam par jati ho

Aik din mood kuch zada hi kharab tha to choriyaan bhi charha leen. Mera boss gora hay... Boss ko aik file denay gai to choriyaan khanak gai.... Boss bechara idhar udhar daikhnay laga, ma nay poocha kia howa to kahta hay... tumhain koi awaz ayi hay

Meri to hasi choot gai

Ma nay hath agay kar kay kaha kuch nahi choorian hain to osko mehndi dikh gai.... he was like tumhara hath jaal gia hay

Ma nay kaha haan, aik haftay ki chooti day dain plz

Phir osay samajh ah gai

kenay laga I know its a temporary tatoo