Assalam Aleikum !!
BaRay Bachoo ... Khanay ke Adaab share karoo
Maine Note kya hai bachay jaisay jaisay baRay hottay jattay hain
Khanay ke Adaab bholtay jattay hain...
sab se pehla tu
* Khana khanay se pehle BISMILLAH perhna
agar bhool jain tu jab yaad ayay tu " BISMILLAH-e- Awaloo wa Akhir" perhna
khanay ke baad " AlhamuLillah-hIlla zee Attuamana Wasa Qaana Waja-alna Minal-Muslemeen" ya koi bhi khanay ke baad ki dua perhna
* Khana khatay waqat baatain na karain
khaas toor pe jab khanay ke cheez moonh meen ho tu bilkul na boolain