QUOTE
Assalam-o-Alaikum!!
Wailkum Asslam,,
QUOTE
Fg main aik post hui ha about females shopping to main ne socha ke male hazraat ko bhi moqa milna chaiyye is barey main. so batayen ke
mard hazraat ko mouqa mlna chahyaay yah un k wk point par hath rakhna chahyay ,,,,
QUOTE
1- Ap ko shopping karna kaisa lagta hai??
yanee k aap k khyaal main khawateeen k ilawaa ksi ko shopping karna pasand houta hay ka,,,
QUOTE
2- Shopping karney main Kanjoosi se kaam letey hain ya Fazool kharchi se??
according to my DAD ham doonoon bha bohat shah-kharch haain,,laikin man apnaay aap ko fazool-kharch naheen samajhtaa,, haan yah zaroor hay k koi cheeze pasand aa jaay tu lainay main dair naheen lagataay,aur purchase hamaisha best available quality kartaay haain,,(laikin yah cheeze wirsay main mile hay ),,, waisay tu mairee bagham bhi kabhi kabhi yahi kahtee haain k main fazool kharchi kar laita hoon,, lakin main na unhaain qail kar liya hay k fazool nahen kharach karta,, pasand ki cheezoon par hi karta hoon,,
QUOTE
3- Kuch khareedna ho to jaldi faisla kartey hian ya bas baghair sochey samjhey khareed letey hain??
jab grocerry karnay jatay haain tu ju shopping bagham sahiba 2 hours main kartee haain woh main half hour main kar laita hoon,,,kiyoon k un ki tarh price tags naheen daikhtaa comparison k liyay,,

haaan albatta jab koi cheeze ziada costly khareedne hu tu zaroor daikh bhaal kar faisla kartaay haain, jaisay laptop yah mobiles etc.
QUOTE
4- Ap ka favourite shopping spot?

grocerry tu TESCO say hi kartaay haain,, clothing main NEXT yah MARK AND SPENCER k ilawa kuch pasand nahen aata, is liya mairee shirts tu NEXT ki hi houtee haain, albatta pents ka kapra ANSARI (MALL ROAD LAHORE ) aur silayee BURTON TAILOR panorama say,,,
as overall shopping mall main BLUE WATERS ju LONDON k outskirts main hay,, aur OXFORD STREET is best,,
WINDOW SHOPPING karnay main ju maza HARRODS (DODY ALFAID ka shopping mall) main hay,, kaheen nahen hay,,,,
Lahore k fortras stadium ki shopping bhi kool hay,, late night shopping k liyay,, kiyoon k is martaba jab ham pakistan gaay tu raat 11 bajay wahan shop karnay poohanchaay aur 1 bajay tak wapis aay,
waisay kuch chezoon ki shopping ka aik aur mazaidar tareeqa bhi hay k internet par yah HARRODS K tarah k shoping malls main jaa kar design pasand karan aur PAKISTAN say banwaa lain,,,that will b an excellent and unique combination of things and also cost effective,,,,