iss post ka maqsad Abdullah bhai ki khamiyouN ki talaash hai... agarchay maiN khud iss kaam ka maahir houN, lekin abdullah bhai k ziman maiN mujhay ab tak koi kaamyabi nahee milee hai......... aap maiN say bahoot say log onn say mil bhi chukay haiN, aur personal affairs k bhi hamil haiN. warnah HC par to raabtah raha hi hai......... aap nay karna sirf yeh hai k kabhi onhaiN ghussay maiN paya ho, aap say kissi baat par naraaz howay houN, aap ko kabhi koi nuqsaan pahoonchaya ho to oski tafseel pesh karaiN.... bil jhijak... bay kam o kaast.... etna to aap ko bhi yaqeen hoga k agar aap nay onka "pol" khol bhi dia to woh sirf aap ka shukarya hi ada karengay.
phir bismillah karain aur bari bari abdullah bhai say joRay tamam "naa.khush.gawaar maamlaat ko bayaan karaiN...... khabar daar jo kissi nay onki tareef karnay ki koshish ki....... aisee har koshish ko aahni haathouN say nimta jayega.....


aur aisa karnay ki ab adat ho gayee hay
yahi to main keh raha hoon meray case main Gamla nahi Gamla Stand tha, Wo bhi Lohay ka 