pakistan maiN chand hi qaabilay zikar seyasi groups haiN... iqtedaar ki musical chairs ka game jinkay hi gird ghoomta hai .... aik to centrally bar saray iqtedaar group mush and qaaf league hai.... phir PML-N hai, PPP hai, MQM hai, chand aur qaum parast parties haiN ... aur inkay saath saath mazhabi jamatouN ka aalliance, MMA hai.
iss waqt PML-N aur PPP, ARD k plate form say yakjaa hai jabkay MQM aur PPP ka aik dhara hakoomat maiN shamil hai.
ho qaaf league 'hakoomati party' hai lekin asal iqtedaar mush / army k pass hai. mush n hakoomati party ki karkardagi sab k saamnay hai. qata nazar isskay k mush iqtedaar maiN kaisay aayaa....... iski islam-dushmani sab k saamnay nomayaaN hai.... mobayyanah taur par yeh khud bhi qaadyani hai aur iska pm bhi... pm to world bank ka agent bhi hai......... koi bhi islam pasand ya nazarya e pakistan ka hami mush ki "raushan khayaal" policy say muttafiq naheeN hosakta illa yeh k zaati mofadaat ki khatir ossay mush iqtedaar say hissa mil raha ho....... MQM kissi taaruf ki mohtaaj naheeN.... qaum parasat parties ka awwal aakhir maqsaad pakistan k andar say choTy choTy azaad reyaastaiN azaad karwana hai....
PPP go bazahir aik qaumi party hai.... lekin iss ka bhi giye sindh say gahra talluq hai.... sindh maiN to aksar office bearer ppp / g a sindh k same hain.... PML-N ka baRa hissa to qaaf league maiN shamil hai jo mush ki rokhsati k saath hi wapis muslim league maiN aajayega........
iss waqt mottahdah opposition maiN MMA aur ARD 2 aham aur baRay group haiN... ARD maiN 2 baRi party PPP aur PML-N haiN. jabkay MMA maiN JI aur JUI nomayaaN haiN........
aaj aik farad yeh claim karta hai k woh "islam pasand hai" nazarya e pakistan ka haami hai.... khud bhi islami taaleemaat par amal karta hai............. lekin ba.wa.jooh MMA ki "mokhalfat" iss tarah karta hai k iski achchaiyyaN bhi bori nazar aati haiN........ aur woh MMA ko lataaRnay ka koi moqa haath say janay naheeN deta......... wazah rahay k seyasi jaizah aur tanqeed aik alag cheez hai aur mokhalfat / nafrat alag shaii........ jaisay maiN qaum parast parties houN yaa mush n co, inki "mokhalfat" karta houN ... jabkay MMA par (jahaaN zaroorat ho) tanqeed karta houN......... meri mush-mokhalfat ka sabab wazah hai ... aik to pakistan ko mush say bachana.... dossray MMA / PML-N ko faidah pahonchana.......
ab ppp etni strong nahee rahi k mulk ko khatiray khaah nuqsaan pahoncha sakay....
jo log MMA ki mokhalfat kartay haiN.......... onki kaseer /bhari tadaad islam aur islami taleemaat say dooooooooooor hai. mera challenge hai k pakistan ki politics say dilchaspi rakhnay waalouN maiN say agar 100 MMA mokhalif afraad ki list tayyar ki jaye 80/90 feesad log woh houngay jinki zaati zindagi maiN islam ka amal dakhal baray naam hi hoga............ albatta intehayee qaleel tadaad aisay DEEN DAAR logouN ki bhi hai jo islam ko pasand bhi kartay hain, ISLAM par amal paar bhi haiN lekin MMA ki mokhalfat bhi baRi shad o madd say kartay haiN.... pata naheeN aisay afraad pakistan ki seyasat maiN darpardah mush n co ki hamayat karna chhatay haiN, MQM ki, PPP ki ya deger qaum parast parties ki.......... kiyouNkay MMA ko jo bhi nuqsaan pahonchay, iskay baraya raast faidah inhi group ko pahonchay gaa.............
agar aik bay deen, 'raushan khayal' aur maghrib parast yaa qaum parast fard MMA ki mokhalfat karta hai.... aur yaqeenan ossay aisa karna bhi chahiyeh ... to iska AQLI JAWAAZ samajh maiN bhi aataa hai............ lekin islam pasand, islam par amal karnay walay, islam ka bol baalaa dekhnay k khahishmand (yaa kam az kam iska dawaa karnay walay) aik established mazahabi seyasi group ko tabaah o barbaad karnay k khahish.mand kiyouN haiN........ yeh baat aaj tak samajh maiN naheeN aayee.......... maiN MMA ko sau feesad as per islam qarar nahee deta......... agar aaj MMA say baRa koi political group MMA say zeyadah deendaar haisyat ka hamil pakistan ki sarzameen par maujood nazar aaye to maiN yaqeenan MMA ki bajaye ossay tarjeeh douNga........ lekin ajb aisee koi quwwat maujood nah ho aur maiN akela koi teer nahee chala sakta to maiN MMA hi ko tarjeeh dounga........ k rozay hashar mujh say yeh bhi poocha jayega k tum nay kinn political groups ki hamayat ki thee aur mazhabi quwwatouN ki hamayat kiyouN nahee ki theeee.... aur agar maujood mazhabi jamataiN islam say bahooooooot doooor theeN to tum nay inn say behtar aur baRi seyasi quwwat tashkeel kiyouN nahee dee.....
mazhabi aur non-mazhabi jamataiN.... tarazoo k do palray haiN....... agar aap kissi aik ka wazan kam kartay haiN to doosri ka wazan az khood baRh jata hai..... aap deeni jamatouN k palray ka wazan shauq say kam karaiN........ lekin phir aap secular parties k baRhnay walay wazan ki zimmadari say bari uzzimmah nahee hosaktay........ aur nah hi onkay iqtedaar k zor par phailaye howay shar k azaab say......... meray liyeh to aik mahfooz raastah maujood hai k maiN deeni jamatouN ko support karoun....... agar yeh deeni jamataiN phir bhi matloobah nataijpaida nahee karteeN to woh Allah k haaN khud jawaab dah houngeeN. aur maiN yeh kah kar rozay hashar apna daman bacha sakat houn k maiN nay to islamic group k saath thaa, inki khamiyaaN jannay k bawajood. jabkay dossri taraf islam dushman thay......... aur Allah nay mujh main etni salahiyyat / taqat naheeN dee the k maiN maujood islam pasandouN say behtar group az khud bana sakouN........
Allah deen pasandouN ko durust seyasi fikar ki taufeeq day. aameen