($) octombary
(*) lekin iss naam ka to koi maheenah naheeN
($) issi liyeh to batla raha houN
=============================
(*) mard ki zaindagi maiN 2 daur aisay hotay haiN k woh aurat ko samajh.nay k qaabil naheeN hotaa
($) woh daur kaun kaun say haiN
(*) aik shadi say pahlay, doosra shadi k baad
==============================
(*) kia aap k shauhar kitabi keeRay haiN?
($) naheeN ... mera khayaal hai k woh aik aam say keeRay haiN
==============================
(*) dulhan, nikaah say pahlay etni thaki thaki see kiyouN lag rahi hai
($) aap ko kia pata k oss bay chari ko ketny bhaag dauR k baad dulhaa haath aayaa hai.
==============================
(*) mera khayaal hai k zara lambay baalouN ki wajah say mard zeyadah mature aur aqalmand nazar aatay haiN
($) naheeeN... kal jab maiN nay onkau coat par chipkay lambay lambay baalouN k baray maiN poocha to woh bilkul hawannaq aur bad hawas nazar aanay lagay.
==============================
(*) bewah hona bhi aik baRi tarajedy hai
($) woh kaisay
(*) aap ko yeh to maaloom hota hai k aap kiss cheez say mahroom howay haiN... lekin yeh pata nahee hota k ayandah aap k naseeb maiN kia likha hai
===============================
(*) mrs. jamshaid ... khairiyat to hai, aap ka gala baiTha howa hai
($) g haaN pichli raat meray shauhar kafi dair say ghar aaye thay.
================================
(*) hamaray darmayan kabhi jhaGra naheeN howa kiyouNkay jab bhi mera mauquf Theek hota hai, meray miyaaN fauran tasleem kar letay haiN.
($) aur jab aap k miyaaN ka mauquf Theek ho to???
(*) aisaa aaj tak howaa to naheeN
==============================
(*) boss: mera khayaal hai k aap ki tankhaah etni hai k aap ki begum iss maiN gozarah karleti hoNgi
($) g haaN begum ka guzarah to hojata hai... lekin apnay akhraajaat k liyeh maiN koi aur zariyah DhoonD raha houan.