MMA jisne Baluchistan mein operation ke dauran Akbar Bhugti ke maaray jaanay par hungami ijlas talab kia tha ta ke resignations di jaain usne resign kerne se inkar kertay huway kaha hai ke wo Akbar bhugti ki wajah se nahin balkeh asoolon ko madd e nazar rakh ke resign karain gay jab bhi kia :d Aur asool ye hai ke kursi ki jaan na chhori jaaye.
Poochne wala pooch sakta hai ke pehle khud hi to akbar bhugti ki maut par shor macha kar resignations ke liye ijlaas talb kia tha phir ye kehna ke akbar bhugti ki wajah se hum resign nahin dein kahan ki aqalmandi hai?? Shaaid hakumat ki tarha MMA bhi bayan badalne mein kafi maharat ikhtayaar kar gayi hai.
Ab MMA ne nayi chhori hai :p Unka kehna hai ke agar Hudood Ordinance mein tarmeem ka bill manzoor kar liya gaya to wo assembly se resign kar "SAKTAY" hain, :d yani karain gay nahin kar saktay hain, Kyunke unko khud bhi shaid ilm hai ke resign karna nahin lehaza baat aagay chalatay jaao phir election aa jaain gay :p
Ye sirf Dramay Bazi nahin to aur kya hai?