QUOTE(Abu Adnan @ Sep 7 2006, 11:49 AM) [snapback]2177023[/snapback]
Aadha Such
hamara aik masla yeh bhi hai k hum log "ideal parast" haiN. apnay mamdooh ko har qism ki khamiyouN say paak samajhtay haiN aur jinki mokhalfat kartay haiN onhaiN har qism ki khoobiyouN say mobarra samajhtay haiN..... yeh behaviour to aik common aadmi ka hota hai....... aur jo do chaar jama'at paRha likha, smart aur chalaak hota hai woh mokhtalif mofadaat (zaati, elaqaa'yee, seyasi, soobayee etc etc) k tehat "aadha such" bolta hai aur yeh "claim" karta hai k maiN nay koi ghalat bola hai ... HC maiN iski behtareen misaal ... bhai Daylight
haiN, jo din ki raushni maiN khollay aam adha such boltay haiN....
Javaid chaudhry ka yeh column bhi zameeni haqaiq par mabni honay aur such honay k bawajood "aadha such" hai..... aaj kal punjab say talluq rakhnay walay sahafi balochistan k hawalay say aisa hi "aadha such" likh rahay haiN takay balochistan maiN lagi AAG ki lau ko kuch nah kuch ThanDa kia jasakay. yeh log "qaumi mafaad" k tehat aadha such bol kar qaum parast baloch awaam k anti-punjaab jazbaat say kissi qadar "hum.ahang" honay ki koshish kar rahay haiN.... jawaid chaudhry houN yaa ataa hul haq qaasmi yaa abdul qadir hassan etc jaisay column nigaar .... yeh log "punjabi" honay k bawajood punjabi naheeN haiN. yeh awwal aakhir mosalman haiN aur iskay baad pakistani ... yehi wajah hai k yeh non-punjabiyouN maiN bhi izzat ki nigaah say dekhay jatay haiN even yeh k qaum parast sindhiyouN aur balochouN maiN bhi....
"aadha such" agar qaumi mafadaat k liyeh bola jaye, 2 grohouN maiN jari jung ko kam karnay k liyeh bola jaye aur non-negative (maiN nay positive nahee kaha hai
) purpose k hasool k liyeh hikmatan bola jaye to koi borayee naheeN......... lekin agar pakistan dushmani maiN bola jaye, apni qaumiyat ko mazloom aur doosri kissi qaumiyat ko zalim sabit karnay k liyeh bola jaye, islam dushmnai maiN bola jaye, 2 grohouN ko laranay k liyeh bola jaye to such honay k bawajood "aadha such" jhooT say bhi zeeyadah bora hai.....
jawaid chaudhry nay jo 'adha such' bola hai, woh aik naik maqsad k liyeh bola hai....... lekin issi aadhay such ka propaganda kartay howay agar aik baloch / sindhi qaum parast pumjaab say moqaablay k liyeh aur punjab say azaadi k liyeh azaad balochistaan / sindhu desh ki tahreek ko farogh day to yehi aadha such ginaahay kabeerah ban jayega....... Adha Sach,,,,,,,,,,,,,
yeah sab se khatarnaak cheez hey,,,, kion ke yeah haqeeqat ka 1 rukh dikhata hey
ho sakta hey ke ch. ke iss adhey sach ke baad Baloch Qaum parasat ke illawa neutral baloch bhi Greater Balochistan ko Bangladesh ki tarah apna jaiz haq samjhney lagain aur yeah tahreek taizee se phail jaye,,,, Qaum Parasat bhi yahi na'ara lagain ke bangalioon ne apna haq le liya,,,, punjabioon se,,,, ab hamari bari hey
ch. ne kuch ziada hi byan ker diya hey,,, aur malaysia ki example per bhi ham kuch nahin kah saktey,,,, wahan ke halat aur yahan ke halaat yaksaar mukhtalif hain
Punjab ne mumkin hey ke kisi ki haq talfi ki ho,,, lakin khan amer ki yeah baat bari valid hey ke jageerdaar,, vaderrey,, sardaroon ne apney illaqoon ko pasmanda rakhney main aham kirdaar ada kya hey.
Iss poori soorat-e-haal ko baqaida qaum parastoon ne apni qoum main phailaya hey,,, apney muffadat ki khatir,,, ke punjab tumhara haq kha jata hey,,,, app kissi bhi sobey main muqami affrad se mill lain,,, wo apko aisi hi nazar se daikhey ga,,, magar unn main ziada ta'adaad unki ho gi jinka punjab waloon se koi ziada interaction nahin ho ga,,,,, jab ke aisey loog jin ka punjab se kafi interaction aur ana jana hey,,, wo qadrey neutral hain
jaisa ke khan amer ne kaha hey ke Lahore ke aksar markets main NWFP waley chaye hue hain,,, kion ke unka network aisa hey ke wo kaam ker rahay hain,,, Punjab sab ko welcome kerta hey,,, jo bhi yahan kaam kerna chahta hey,,, jo uski ista'taad hey uskey mutabiq job karey,,, business karey
Gadoon ke barey main kahta chaloon,, ke Zia Govt ne afuoon (poppi seed) ki cultivation rokney ke liye Tax Free Gadoon Industrial Estate qaim ki thi,,, ta ke muqami affraad ko rozgaar mil sakey,,, lakin hamarey Industrialists hazraat ne iska ghalat istamaal kya,,,, aur gadoon ke naam pe duty free imported machinery Faisalabad,, Lahore Karachi ki factories main laga di gain,,,, iss waqt almost 400 industrial units main se ba'mushkil 20-25 units kaam ker rahey hain,,, in main se kuch kafi large scale bhi hain,,,lakin ziada tar small scale hain. Iskey flop honey main 1 aham wajah location tak approch bhi rahi hey,,,, yahan tak pohanchney ke liye munasib routes aur transport na honey se bhi problems hui hain,,, pichley 2-3 saal main yahan kafi development hui hey aur motorway M1 se bhi yahan se link ki gai hey,,, ho sakta hey ke gadoon main abb koi bahtri aa jaye