QUOTE(tihami @ Sep 7 2006, 11:30 PM) [snapback]2177201[/snapback]
nice topc usuf bhai , ju k bohat ziada dscussion chahtaa hay,,,,,
PAK main ju halaat haain medical field k us ko daikh kar ( agar aap internal stores say waqif hoon) tu really bohat dukh houtaa hay,,, loug Govt hosp ko bura kahtaay haain n private k tareef kartaay haan,, lakin jahan tak maira experience hay,, sab govt hosp buray nahen houtaay,, aur aksar prvate hosp baghair indcation k tests karataay haain,,,,,,
doosree baat hamare publc k hay,, ju chahtaay haain k unhaain dawa k aik hi dose say araam aa jaay,,,, aur thoora sa bhi sabar naheen kartaay,, si liya aksar GP aur compounder kisam k loug (neem hakeem) steroids ko apni drugs ki COCK-TAIL main zaroor shaml kartaay haain,, ta k patent ko jalde araam aanaay ka AHSAAS hou sakay,,, warna aglaay din woh patient ksi aur doctor k pass chala jaay ga,,, b/c haamree society main aik DOC k clinic aur purchoon faroosh say aik hi ksam ki tawaquu ki jaatee hay, agar aik jagha say matlab ki cheeze /satsfaction na mileee tu doosraa tu hay hi 2 qadam door,, us ki adviice lainay poohanch jaataay haain,,,aur ilaaj wohi kartaay haain ju un k dil ko bhataa hay,,,
SELF MEDICATION aur AVALABILTY OF DRUGS OVER THE COUNTER WITHOUT Prescription 2 bohat barree aur bohat ghalat baataain haan,,,jis say medicnes ki afaadiyat bhi khatam houtee hay,,, aur nuqsaandah asraat bhi houtaay haan,,,
.... aur doctors ki dehaRi bhi mari jati hai....
khair yeh to aik jumlah e motarza thaa...... aap ki bayaan kardah batouN say koi inkaar naheeN karsakta....... actually deger fields ki tarah iss field maiN bhi behtari sirf OOPER (hakoomati satah)say asakti hai. neechay (mareezouN k inn correct approach say choTkara) yaa darmayaan (doctors k sodhar janay
) say naheeN.
pakistan maiN pharmacy business arbouN ka ghapla hota hai. wazaratay sehat k policy makers kaRoRouN ki rishwat lay kar ghair zaroori medicine balkay dunya bhar maiN mamnoo'aa medicines ki marketting ko allow kardetay haiN... zara nichlay darjay ka amla rishwat lay kar do number ki medicines supply k kaaroobaar say aankhaiN chora leta hai. pharmacy shops ki aksariyat maiN qualified amala ki bajaye onkay licence ki attested photo copy aawezaaN hoti hai )chapay say bachnay k liyeh)... shop malikaan zeyadah commission k liyeh 2 number ki adwiyaat bechtay haiN.... doctors onn companies ki aisee adwiyaat likhtay haiN jinkay liyeh onhaiN company "incentives" deti hai........ aur mareez aisay clinics jatay haiN jo aik do visit maiN achcha karday, khaah iss tarah woh aik maraz say chuTkaray ki khatir deger tibbi pechidgiyouN say hi kiyouN nah do chaar hojayaiN.... woh fauran "shifa" iss liyeh bhi chaahtay haiN takay aik aadh din k naaghay k baad woh apni duty par pahonch sakaiN warnah onki dehaRi mari jayegi. aur hamaray awaam ki bhari aksariyat BEEMARI ko afford hi nahee karsakti. kiyouNkay onkay employers onhaiN nah to medical coverage detay hain nah hi woh dehaRi lagaye bina khali paiT sarkaari hospital say zeyadah din tak elaaj karwa saktay haiN....
issi liyeh to kaha jata hai k sodhaar kaa amal OOPER say hi mumkin hai.