khan_amer
Sep 8 2006, 07:19 PM
Ham log yahaaN per mumkinaat per buhat behasaiN kertay haiN, baaz dafa Hakomat key tareef maiN zameen aur asmaan eak ker daytay haiN aur baaz dafa in kay latay laynay lag jatay haiN...Aaj iss thread maiN kuch haqaiq per bhi bataiN ker laiN... agr sakt hay tu
jaisay taisay in "muntakhib" hakomat kay 5 saal tamam howay chahtay haiN. unlike previous govts. inhay iss hakomat ko yeh kehnay ka moqa nahi mil sakay ga kay hamay puri term nahi dee gayee. in key policies say agr koy faida ya nuqsaan hona tha tu uss kay asraat mehsoos hona shoroo ho gay hooNgay.
yeh bhi musalima amr hay kay koy bhi govt chahy kitni achi ho ya kitni hi kharaab ho koy na koy bura ya acha kam ker hi jatee hay.
iss Thread ka Maqsad CharooN suba'i hakomatooN key karkerdage eka jaiza layna hay( waqfaaq aur Opposiiton ko ham baad maiN ya kisi parallel) thread maiN Discuss karaiN gay.
Tu Shoroo kertay haiN Punjab kay Ch. Pervaiz Ellahi key hakomat say:
In key hakomat maiN Punjab maiN jahaaN aman.o.amaan key surat-e-haal eak issue ban gayee, Chini aur Zalzala.zadgaan ko fake imdaad daynay jaisay scandals maiN bhi in ka naam ya in key govt ka naam liya jata raha. Issi kay saaath saath CH. Sahib nay Punjab kay Hospistals ka naqsha hi badl diya. Services, Mew aur degr hospitals maiN Emergency ward maiN sab say pehlay mareez ko check kernay aur qeemti dawa'iyaaN muft daynay key ju riwayat inhooN nay kayaam key hay iss say pehlay Pakistan maiN kaheeN aur dekhnay aur sunnay ko nahi mili ( yet agr kisi nay aisa kya bhi hay tu maiN iss say bay.khabr hooN, agr kisi ko pata hu tu zaroor bataye. yaad rahay, meri malomaat kay mutabiq Almost Punjab kay tamam Sarkari Hospitals maiN yehi halat hay).
in ka dosra acha kaam PaRha Likha PUNJAB program hay. go kay iss prgram maiN shamil course material koy tina khas nahi hay, per adnheray maiN ilm key shama roshan kernay kay liya kafi hay.
LEADER
Sep 11 2006, 11:36 PM
QUOTE(khan_amer @ Sep 11 2006, 11:32 AM) [snapback]2178301[/snapback]
Lagta hay ya tu yahaaN per anay walay kisi Hakomati ahl.kaar key tareef bar.dasht nahi ker saktay ya phir unhaiN DaR hay un ka apna giraybaan hi wa ho jaye ga 
Hum is baat ke qail hain keh ager koi shkahs (chahey woh dushman hi kiouN na ho) ager acha kaam karey to us ki dik khool ker ta'areef kerni chaiye...ager Punjab ke CM ni soobey ke liye koi acha kam kiya (jesa keh aap bta rahIn hain) to achi baat hai..
JahaN tek paRha likha Punjab ke slogan ka talluq hai...to mujhey sahih trah se nahi maloom keh amalan kiya kuch kiya giya hai laken akhbarat ke main jo ishtaharat chap rahey us se yeh aNdaza zaroor ho raha hai, keh is na'arey (aur apni Photos) ki PUBLICITY per yaqeenan bohat sa paisa lagaya ja chuka hai...kiya hi acha hota keh 'khateer raqam' bhi poori (ya ziyada ter) Taleem ki behtri ke liye lagayi jati....khair ager is bahaney hi Punjab , paRha likha ban jai, to yeh sooda bhi manzoor hai ...!!
khan_amer
Sep 12 2006, 12:00 PM
MaiN app per barahay'raast tanqeed nahi ker raha. per jis qom kay log rayasat kay mutaliq enough information nahi rakhtay woh log kam us kam meray nazdeek yeh ahliyaat hi nahi rakhtay kay kisi key tareef ya kisi per tanqeed karaiN. yahaN per yeh kehta chaloN kay yeh zaroori nahi kay tamam amoor key khabr rakhee jaye per yeh zaroori hay kay jab kisi amr per raye dee jaye tu pehlay uss kay baray maiN maloomat muhiya ker lee jayaiN
paRha likha Punjab lag.bhag 3 saal pehlay shoroo kiya gaya tha, go iss kay tanay banay Pervaiz Ellahi say bhi pehlay kay haiN. jee haaN issay Afser-e-Shahi key ijaad bhi kaha ja sakta hay. yani a Programme launched after successfully Implementing ICS in almost all parts of Punjab.
PaRha likha Punjab hay kya!
mukhtasir ilfaaz maiN Govt of Punjab hay ghair.taleem yafta logooN ko "qemaatan" taleem daynay kay faisla. iss program ka main target laRkiyooN ko taleem dayna hay. yani ju bachiyaaN school maiN paRhnay ayaiN gee unhaiN iss kay paisay bhi mil saktay haiN otherwise kitabaiN, Uniform School/Govt hi provide karay gee.( kuch zamni targets bhi haiN)
PaRha likha Punjab ( Implementation)
Akhbaraat aur Jaraid aur baaz muqamaat say yeh itla'aat haiN kay yeh program waqa'i Schools maiN implement ho chuka hay aur Janobi Punjab maiN issay go woh kamyaabi nahi mili per log ba.tadreej iss key tarf raghib ho rahay haiN ( yani apni bachiyooN ko iss program kay tehat taleem dilwa rahay haiN)
Results
iss program key performance do taraah say measure key ja sakteeN haiN
1) Kitnay log iss program maiN enrolled haiN
yani, agr yeh program exist kerta hay ( jaisay kay kaha jata hay) tu kitnay log iss program say mustafeed ho rahay haiN aur kya unhaiN "Main Product" ( taleem yahaaN per byproduct hay) mil raha hay kay nahi. ( best way tu judge the program)
2) Long-term goals
Iss waqt Surat-e-Haal yeh hay kay log bilkul hi an.paRh aur jahil haiN. agr un key yeh nasl thoRa buhat bhi paRhna likhna seekh laytee hay tu lazman in maiN say aadhay tu apni agli nasl ko nisbatan behter taleem dilwanay key koshish karaiN gay.
Issay maiN ab tak anay wali tamam govts kay tamam iqdaymaat kay muqabalay maiN behtreen qadam qaraar dayta hooN kay iss kay longterm results hamari qom per buhat hi positive asraat choRaiN gay. yeh Program bayshak CH. Pervaiz Ellahi apni promotion kay liya bhi istaymaal ker rahay haiN per iss maiN mujhay koy qabahat nazr nahi aatee. agr in key iss promotion say mutasir ho ker dosray sobooN kay wazeer-e-aala bhi issi no'iyat ka koy program shoroo kertay haiN tu iss maiN faida hamara hi hay.