11 September, 2001 say pehlay key Islami duniya per eak nazr doRayaiN.
Kashmir maiN almost 80,000 mujahideen nay 8 Lakh kay kareeb Indian Army ko uljhaya howa tha. iss baar talay India na sirf Aalmi sathaa per zaleel.o.khaar ho raha tha balkay uss key iqtaysaadiyaat ka baRa hisa iss baghawat ko faro kernay maiN sarf ho raha tha. agr maiN ghalat nahi hooN tu Kashmiri "Nasoor" say tang kuch bharti Danish.warooN nay hi apni Govt. ko yeh mashwara dayna shoroo ker diya tha kay iss Dhool ko galay say utaar ker baqi mumlikaat kay masa'yel ko solve kiya jaye...
Chaichniya, Phillipine maiN Arslan aur Abu Sa'yaaf nay Russian aur Philippini govt ka natqa band kiya howa tha.
ME maiN Israel Hizb.ul.Allah kay lagaye howay zakham chaaT raha tha. year 2000 maiN ussi ki fojaiN UNO key chatri talay Lebanon say nikal chuki theeN.
Afghanistan maiN Mulla Umar AfghanooN ka ghair Mutanazay Ameer ban chuka tha, ma'siwa'e Shumal kay 10/15% hisay kay puray Afghanistan maiN aman ka dor dora tha.
youN lagta tha kay Milat per chaye Ghulami kay badal ba.tadreej chaT rahay haiN. aur woh din door nahi jab Muslmaan apnay Muslmaan honay per fakher karaiN gay.
Aisay maiN 9/11 ka waqaya hota hay, puri millat-e-Islamiya maiN Nazriya-e-Zaroorat, Islam kay Afaaqi Nazryia ko replace ker dayta hay. Muslmaan hona gali bana diya jata hay. woh qom jis maiN sadiyooN baad zindagee kay asaar nazr aye thay, dobara murda ho jatee hay.
Agr 9/11 na hota, tu kon faye'day maiN rehta?

