Kabhi kabhi yoon bhi humne apne jee ko behlaya hai
jin baaton ko khud nahin samjhay, auroN ko samjhaya hai
humse poocho izzat waloN ki izzat ka haal kabhi
humne bhi iss shehr mein reh kar thora naam kamaya hai
koi mila tou haath milaya, kaheen gaye tou baatein ki
ghar se baahar jub bhi niklay, din bhar bojh uthaya hai
uss se bichray barsoN beetay, lekin aaj na jaane kyun
aangan mein hanstay bachoN ko bekaar mein dhamkaya hai
Nida Fazli