Iran say jin pakistaniyouN ko ab tak hamdardi thee woh aik martabah phir iran ka chehra dekh laiN.... irani sadar usa k dauray maiN pakistan ko bharat aur israil jaisa qarar day kar pak k atomoc dsalahiyyat k baray maiN kia farma rahay haiN.... molaaheza ho...
khan_amer
Sep 10 2006, 04:48 PM
ab tak kay news yehi hay.
Irani hukumranooN nay Bush samait western world ko table per anay per aur apni shara'yet per muzakeraat kernay per majboor ker diya hay. ( Iran kay liya yeh shayad yeh koy achi khabr hoo).
Per Iran key Pakistan maiN madakhalat ( Proxy war) war Afghanistan ko lay ker Pakistan kay saath taluqaat maiN sard.mehri koy nayee baat nahi hay.
Infact mujhay yeh kehnay maiN bhi aar nahi hay kay Pakistan nay apni tamam tar kamzoriyooN kay bawajood munafiqana policy nahi apnayee thee, where as America ko shaitan-e-azam qarar daynay walay khamoshi say raqs-e-iblees daikhtay rahay.
Irani tareekh ( Khilafat-e-Usmania) kay waqtooN say baqi muslim duniya say alug thalug hi rehna pasand kerti hay, aur apnay mufadaat kay hasool kay liya degr paRosee mumalik key gardan marnay ko bhi ghalat khayal nahi kertee.
Current Irani ravi'a aur iss say pehlay Iran key tarf say Pakistani Hero Dr. A.Q.Khan ko Atomic Tech. Smuggle kernay kay ilzamaat ayed ker kay Pakistan kay liya serious problems paida ker chuka hay. aainda bhi hamay apnay iss "bhai" say aisi hi umeedaiN rakhni chahiyaiN
Iran say jin pakistaniyouN ko ab tak hamdardi thee woh aik martabah phir iran ka chehra dekh laiN.... irani sadar usa k dauray maiN pakistan ko bharat aur israil jaisa qarar day kar pak k atomoc dsalahiyyat k baray maiN kia farma rahay haiN.... molaaheza ho...
Bhai yay thoo hamaray saray Islamic countries ker rahay hain chahay whoo iran ho egypt ho saudia ho ya pakistan, rona isi baat ka tho hai kiyun k iran janta hai pakistan ka atom bomb uus k kisi kaam nahi aayga aur pakistan bhi sab janta hai auron k mutaliq yani saray arab countries siwaay saudia k kabhi madad ko nahi aay sab Bharat mahan ko yzayda qreebi samjhtay hain apnay. baqol yasir arafat marhoom k bharat mera dosa ghar aur rajiv ghandhi mera bhai hai thoo bhai hamay akelay hi larna marna hai sub ko aur apnay Maseeha ka intezar kerna hai takay hum muthtahid ho sakain...
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.