Dear najman ye to wohi baat hui na ke sawal gandum jawab chana.
Yani sawal kuch aur ho jawab kuch aur ho.
Aapne jo kuch likha uss se kisi ko ikhtalaf nahin ke baluchistan ke saath bouhat ziadtiyan ho rahi hain, lekin kya unn ziadtiyun ka badla aam punjabi abaadkaaron ko maarnay, unki imlaak jalanay se chukaya jaaye ga??
Sawaal ye nahin tha ke baluchistan ke sath ziadti hui ya nahin, sawal ye tha ke kya iss ziadti mein unn aam awam ka hath hai?? kya iss mein unn students ka hath hai jo quetta aur khuzdar mein parhnay gaye hain ??
Aisa kisi aik baluchi ke sath karachi mein ho jata to hungama ho jata ke baluchi honay ki hamein saza di ja rahi hai, balkeh karachi mein hota to ilzam punjab ko hi milta
Aur taan iss par toot-ti ke hamein alag hona hai.
Baluch qayadat khud kehti rahi hai ke maamlaat ka siyasi hal nikala jaaye, baat cheet ke zarriye, to kya siyasi taur par ye awaz haqooq ki buland nahin ki ja sakti thi?? iss ke liye gas pipelines ko urana, baroodi surangein bichhana, rockets barsana sahi iqdaam tha??Topic chunke sirf ye tha ke radd e amal mein aam bayqasoor logon kay gharon ko kyun jalaya jaa raha hai baluchistan mein lehaza pehlay uskay mutallik aapne jo kuch kaha uss par kuch arz karta hon, phir baki baaton par jo aapne kahi aur wo asal sawal ka jawab nahin thi.QUOTE
yeh tou hamara deen bhi kehta hai ke baat ki tasdeeq karr li jaye..
khuzdar engineering university mein aisa koi waqiya hua hi nahin,baki waqiyaat..agar huay hein tou zahir hai her amal ka iak radde amal hota hai..equal and opposite...
Aap kehti hai ke "baqi waqayaat AGAR huay hain" ........Yani wo bhi abhi mashqooq hain, pakistan hi nahin baki duniya ke bhi zaraye ablaagh pagal aur jhootay hain ke bila wajah ye khabrein aur tabsaray shaya aur nashar kar rahay hain ke baluchistan mein khaas taur par ghair baluchi shopkeepers ki dukanon ko hi jalaya gaya hai, punjabiyun ke gharon ko dhoond dhoon kar aag lagayi gayi hai.........isko aap kehti hai ke agar aisa hua bhi hai........Kam az kam itna to insaaf se kaam lijiye, haan main maanta hon ke baluchistan ko utnay wasaail nahin milay lekin yahan main kahon ke "Agar baluchistan ko wo wasail nahin bhi milay"........to ye kitni bay hisi aur na insafi ho gi ke jo fact hai usko sirf iss liye shak ki nazar se bayaan kiya jaaye ke wo apko pasand nahin???
Aap baat ka aghaaz kerti hain ke
"yeh tou hamara deen bhi kehta hai "
Lekin baad mein jab likhti hain ke "agar huay hein tou zahir hai her amal ka iak radde amal hota hai..equal and opposite."
Afsoas sud afsoas ke ye likhtay huay aap ko deen yaad nahin aya ??? kyun?? Kya deen e Islam yahi pegham deta hai ?? Agar koi meri beti ke sath rape karay aur jawab mein main uskay mahallay ki 3,4 larkiyun ko rape kar ke kahon ke amal ka radd e amal bhi to hota hai.........kya iss justification ko aap maan lo gi ???
Koi aapko gaali de to jawab mein Islam ne to gaali bhi denay se mana kya hai aur aap kehti hain ke pervez musharraf aik baluchi sardar ko maaray aur wo jawab mein aisay aam punjabiyun ko maarna shuru kar dein jinka iss mein koi haath nahin to theek hai??? Aur iski justification iss tarha deti hain ke ye to amal ka radd e amal hai......
Afsoa ke aap itna bhi na keh saki ke ye ghalat hai, aisa hua hai to nahin hona chahaiye tha lekin aapka kehna hai ke aisa hua hai to sahi hai kyunke ye to amal ka radd e amal hai.....
Allah ne kaha tha Yahi wo loag hain jo Quran ke aik hissay ko maantay hain lekin doosray se inkar kertay hain........Aap ne aik hi jumlay ka aghaaz deen ye kehta hai, kar ke kiya aur ussi fikray mein jahan masoom jaano aur unki imlaak ke talaf kiye janay ka zikr aya to tab bhool gayi ke deen yahan kya kehta hai.....
Kam az kam aap iski muzammat to kar hi sakti thi......lekin aapka "deen" shaaid isko jaiz qarar deta hai ke masoom logon ko maaro unki imlaak jalao.QUOTE
islam tou aala tareen darja hai insaniyet ka ..kya aam ikhlaq,insaniyet issi ki ejazat daiti hai?
Hairat ka muqaam hai ke yahan to aapko phir islam aur insaniyat yaad aayi lekin baluchistan mein zulm ka shikaar punjabiyun ke liye aik baar bhi aapko islam aur insaniyat yaad nahin aayi?? wahan aap kehti hain ke theek hua....kamaal hai ke insaan kaise apnay mufaad ke liye deen ko bhi istemaal kar leta hai.......... Agar aap kehti ke bhugti ki laash ke sath jo hua wo bhi ghair islami tha aur baluchistan mein jo punjabiyun ke saath ho raha hai wo bhi ghair islami hai to aapki baat yakeenan bouhat wazan rakhti lekin afsoas aik jaga apko quran yaad aya aik jaga mufaad.QUOTE
taaqat iss masle ka hall nahin hai.. tadabbur ,tahammul aur danishmandi
Aapki baat se ittefaq hai lekin jab taaqat ka istemaal BLA ya baluch sardar kertay hain, rockets ki barsaat kartay hain to aap kehti hain ke apna haq maang rahay hain, sawal ye hai ke wahan kyun nahin aap kehti ke maslay ka siyasi hall baat cheet ke saath tadabbur se nikalna chahiye, wahan aap kehti hain ke taaqat ka istemaal sahi hai aur jab unn taqat ka istemaal kerne walon ke khilaaf taqat istemaal ki jati hai to aap kehti hain ke taqat ka istemal ghalat hai.....
Taqat ka istemaal agar ghalat hai to dono taraf se ghalat hai lekin aap aik ki himayat aur doosray ki mukhalfat kerti hain......
QUOTE
magar deegar logon ne,govt ne 60 saal mein kuch na kya
Baluchistan mein ghurbat aur unkay saath ziadtiyun ka aitraaf hai aur iss baat ka bhi ke pakistan ki goerments kne unko unka haq na dia lekin aapne meri iss baat ka koi jawab na diya ke goverment to baluchistan ke logon ke paas bhi rahi, akbar bhugti wazeer e ala aur governor rahay, farooq leghari, mazari,mengal ye sub hakumaton ka hissa rahay , kya inka koi kasoor nahin??? Ye bhi kuch bura karein to qasoor punjabiyun ka??
Phir aapne iss baat ka bhi jawab nahin diya ke sardaron ne khud itnay daulat mand honay ke bawajood apnay ilaaqon ki halat ko behtar kyun na kiya??? GAs Royalty jitni bhi milti thi wo 100 crore se ziada thi, uss itni bari raqam ko unhon ne kaha kharch kiya ??? weapons khareednay par??? JItnay crore rupees se weapons khareeday kya unse apnay ilaqon ko jannat nahin bana saktay thay???
Aaj bhi kisne baluchistan mein opertation kya??? Aik punjabi ne nahin aim mahajir ne to phir gaali punjabi ko kyun?? Radd e amal mein punjabiyun ke ghar kyun jalaye gaye?? iski kam az kam aap muzammat to kar sakti thi bajaye justification kay.....
Lehaza kasoor waar sirf goverment nahin hai bouhat so'n ka kasoor hai.QUOTE
jobs, tou woh azli quota system punjab ke 4,sindh rural 1 urban 2,sarhad 2 aur balochistan se sirf 1..
Jis soobay ki abaadi 10 crore kay kareeb hai usko agar 4 jobs milti hain aur jiski abadi 50 lakh hai usko 1 to iss mein aitraz ki kya baat hai?? Yahan tanasub 1 aur 4 ka hai jabke abadi ke lehaz se agar kya jaaye to tanasub 1 aur 20 ka hona chahaiye.........
Aap kehti hain ke jobs raqbay ki bunniyaad par di jaain, kitna ajeeb mutalba hai , jobs zameen ne kerni hoti hai ya logon ne ??
Secondly, aap punjab ki baat to aisay kerti hain jesay punjab europe hai :d punjab mein baluchistan se ziada bay-rozgaari hai.........baluchistan ke takreeban kitnay loag bay roazgaar hain?? 5 lakh? 10 lakh? ya 30 lakh?? doosri taraf sirf punjab mein 2 crore se ziada loag bay roazgaar hain aur ye abhi asal se bouhat kum hain.
ghurbat aur bay-rozgari hamara bhi sub se bara masla hai, lekin iska ye matlab nahin ke punjab ke wo 2 crore loag mil kar punjab libertaion army bana kar qaumi tanseebaat ko uranay lug jaain ke hamein ghurbat aur bay roazgaari ne maar dala hai hamein hamaray haqooq do nahin to dhamakay karein gay......
Aapki justification ke mutaabik to kisi qaatil ko kabhi saza nahin milni chahaiye kyunke usne kisi radd e amal mein hi qatal kia hota hai..........QUOTE
phir bhi balochistan ke logon ne alag hone ki baat kabhi nahin ki ,iss se pehle
Ye ek inteha ki ghalat bayani hai.....chunke iska sub ko maloom hai lehaza iss par comment nahin karon ga.QUOTE
ghous bakhsh bazinjo,khair bakhsh marri,ataa ullah mengal inn sabb ke pichle bayan record pe hein.. yehi ke balochistan ,pakistan ke baghair kuch nahin
Oh really!!! Ata Ullah Mengal ka interview yahan hi current affairs mein lagaya hua hai aik topic mein meine, jis mein unka irshaad hai ke
"Pakistan se kabhi rishtay banay hi na thay to tootnay ka kya sawal"
Ab agar wo aapkay mutabik pehlay kehtay rahay hain ke
"Baluchistan, pakistan ke bagher kuch nahin"
To 2 baatein hi ho sakti hain ya to wo pehlay jhoot boltay thay ya ab jhoot bola hai.......Faisla aap kar lein.QUOTE
70's mein army operation hua ,
Aap bhool gai........Uss opertaion ke waqt Akbar Khan Bhugti baluchistan ke governor thay aur Bhutto ke uss operation mein uskay haami jiski wajah se bhugti sahib ko baluchiyun ne ghaddaar e watan ka khitab diya tha, ab to siyasat chamkanay ko saath ho liye hain
Jab tak baluchi loag akbar bhugti ki tarha Meer Jafar aur Meer Sadiq ka kirdaar ada kartay rahay baluchistan ko kuch na mila........unka bhi poora hath hai baluchistan mein ehsaas e mehroomi barhanay mein.......Bhutto sindhi tha aur akbar bhugti baluch lekin 70's ke uss operation par gaaliyan phir punjab aur punjabiyun ko.......sadqay jaaon iss insaaf aur muhabbat par
QUOTE
punjabi 'qoum' nahin hein.. punjab mein mazeed sects,bradari-ism hai..araaien,jaat,rajpoot waghaira.. jiss tarah apni bradari ke logon ko kisi sorat support kya jata hai issi tarah woh apni 'qoum' ki baat karte hein.. baloch,pathaan 'qoum' hein..
Jab aapka jee chahta hai aap Islam aur Deen ko beech mein le aati hain aur jab jee chahta hai uss se inkaar ker deti hain
Ya to beech mein deen ko laain hi na aur agar lana hai to ghair islami baaton se to parhez karain........
Sawal ye hai ke Qaum ya qaumiyat ki bunniyaad kya hai ?? Rung?? Nasal?? Watan ?? Ya Ideology??
Islam ke mutabik Qaum ki bunniyaad idealogy ka ittefaq hai jiski wajah se muslamaan aik qaum hain , jiski wajah se Abu Jahal aur Abu Lahab Hazoor(PBUH) ke rishtaydaar honay ke bawajood unki Qaum mein shaamil nahin thay, aur Bilal e habshi , Hazoor(PBUH) se sirf ideology ke ittefaq ki wajah se Hazoor(PBUH) ki qaum kay fard thay.
Issi base par 2 Qaumi Nazarriya pesh hua jisko Nazariyya e Pakistan bhi kehtay hain ke hindustan mein 2 qaumein abaad hain muslim aur non muslim......
Lekin aap to 2 qaumi nazarriya aur nazariyya e Pakistan ko hi qabool nahin kerti apnay sardaron ki tarha ke 1972 mein bangladesh ban-nay ke baad Ata Ullah Mengal ne as Chief Minister of Baluchsitan ye kaha tha ke 2 qaumi nazarriya khaleej bangal mein gharq ho chuka hai........Yaad rahay ke yahi alfaaz Indra Gandhi ne bangladesh ban-nay ke baad pehlay assembly session mein apni taqreer mein kahay thay ke jis 2 qaumi nazarriya par Pakistan bana tha aaj ussay kahleej bangal mein dabo ke humne sabit ker diya ke ye nazarriya ghalat tha aur hum sachay thay ke hindu aur musalmaan aik qaum hain Hindustani Qaum.
Najane aap ata ullah mengal ke ittebaa mein aisa keh rahi hain ke Indira gandhi ke itteba mein lekin jo bhi keh rahi hain uss ka matlab yahi hai ke aap Pakistan ki asaas ko hi nahin maanti aur Abu Jahal ko bhi Hazoor(PBUH) ki qaum ka fard maanti hain jabke Quran iski nafi kerta hai........kyunke quran ke mutabik to ishtaraak ki wajah ideology ka ittefaq hai.
Jis Muslim qaum ne hindu qaum se nijaat haasil ki wo pakistani qaum tak rehti to phir bhi theek tha lekin uss aik qaum ke andar se kayi qaumein nikal aai, sindhi "Qaum", baluchi qaum,punjabi qaum,pathan qaum, phir uss mein mazeed izafa hua Mahajir qaum, saraiki qaum, aur kuch din pehlay aik book mein aik shia musannif likhtay hain Shia Qaum......phir yahan par hi bus na hui jutt qaum, araain qaum, rajpoot qaum etc etc. Ye alfaaz Qaum ki bajaye bradari ya qabeelay ke taur pe istemaal hotay to bhi theek tha lekin bagher sochay samjhay qaum lafz ka istemaal danishmandi nahin.......phir abhi itni qaumon ka rona ro rahay thay , aik lafz Qaumiyat bhi bana liya yani qaum ki chhoti behan :d aur kayi qaumiyyatein ubhar ke saamne aa gayi.
Wesay ye bhi mazay ki baat hai ke aap baluchon ko to aik qaum qarar deti hain lekin punjabiyun ko aik qaum bhi nahin kehti :d itni nafrat??? Aur wajah ye bayan kerti hain ke uss mein mazeed baradariyan hain....Kya baluchon mein mazeed qabeelay nahin ?? kya maisoori,kalpar,marri,mengal,bhugti kya hain?? ye to bradariyun se bhi barh kar hain.
Aur agar mazeed taqseem hona hi qaum na honay ki alamat hai to Pakistani Qaum ka to phir wajood hi nahin kyunke jis mein khud 8-10 qaumein rehti hon wo khud aik qaum kesay ho ga, aur aapkay iss falsafay ke mutabik to Musalmaan bhi aik qaum nahin kyunke khud musalmaano mein hi beshumaar qaumein hain.....Aap ab musalmaan qaum se bhi inkaari hain to main kya keh sakta hon.
Qaum parasti ka ilzaam aur iss ghair islami aqeeday ko rakhne ka ilzaam sirf apko hi nahin de raha baki bhi bouhat se loag qasoorwaar hain, lekin kam az kam parhay likhay aur deen ki baat kerne walon ko to maloom hona chahaiye ke islam kya kehta hai.........
Kher aapkay alfaaz wazeh taur pe pakistan ki asaas 2 qaumi nazarriya par hamla hain.Baqi aapki sub baatein bilkul sahi hain aur hum sub bhi maantay ahin ke baluchistan ke saath na-insafiyan hui hain aur unka tadaruk jald az jald kerna chahaiye.......kyunke yahi insaaf aur baaligh nazri ka takaza hai ke jahan zulm ho na insafi ho uski muzammat ki jaaye aur hum kertay hain muzammat un sub ki jo jo iss zulm mein aur baluchistan ke haqooq dabanay mein apna kirdaar ada kartay rahay.
Lekin kya insaaf ka takaza ye bhi nahin ke baluchistan mein bhi ghair baluchon par honay walay muzalim ki muzammat ki jaaye na ke justification di jaaye ??? Kya kisi ka ghar jalanay ki bhi justification ho sakti hai???
Insaaf se kaam lijiye, baluchon par zulm hota hai to uski muzammat karein aur baluch zulm kertay hain to uski bhi muzammat kijiye......
Warna agar aapko yakeen ho to kijiye ke baluchistan ki mehroomi ka aur ghurbat ka aur uskay masaail ka jitna afsoas aur ghum mujhay hain shaaid aik baluchi honay ke bawajood apko na ho.......Aur baluchon ki mehroomi aur unn par honay walay zulm par jo aur jitna aap ne likha wo aur uss se kahin zyada main likh sakta hon...........Lekin zulm koi aur karay aur ghar kisi aur ke jalaye jaain , gaaliyan kisi aur ko di jaain ye bhi to zulm hi hai, isko radd e amal keh kar iski sangeeniyat ko door to nahin kiya jaa sakta.