($) yeh to sab ko nazar aaraha hai k yeh aap ki post hai. but u r not the only owner of this post
(*) kia matlab hai aap ka... ab meri post bhi meri naheeN
($) g haaN! yeh post sirf iss 'had tak' aap ki hai k yeh aap k naam say post howee hai. iska credit bhi aap ko hi milega aur agar khoda nah khaasta iss post say koi inteshaar phaila to aap hi iskay zimmah daar Thah raaye jayengay. and that's it. aap ki start kardah post k jumlah haqooq aap k naam mahfooz nahee kiyeh jasaktay.
(*) "jumlah haqooq" say aap ki kia moraad hai
($) yani aik martabah aap post karchukay to aap apni marzi say issay delete /edit nahee karsaktay, modz /admin ki razamandi say albatta aisa mumkin hai ... issi tarah mod /admin aap ki raza /khahish k beghair bhi aap ki post ko edit /delete kar sakta hai
(*) lol yeh to sab ko pata hai... phir bhi post to meri hi rahegi naa
($) yehi to maiN kahna chaah raha houN k phir bhi ... aap ki post kulli taur par aap ki nahee ... woh nahee sona aap nay k houN.TouN niklee koThouN charhi
(*) kia matlab
($) matlab yeh k modz /admin k elawah deger members bhi "aap ki post" per otna hi haq rakhtay haiN, jetna k aap
(*) saaf saaf batlayaiN aap ka matlab kia hai
($) aap apni post per yeh "khahish" nahee rakh saktay k log laazman iss par reply karaiN aur aap ki marzi k hi reply karaiN aur ....
(*)... aur kia
($) aur yeh k nah aap kissi ko apni post maiN aanay par majboor kar saktay haiN aur nah kissi ko nah aanay par aur nah kissi ko oski marzi k motabiq bolnay say rok saktay haiN... hai yaa naheeN
(*) haaN yeh to hai lekin....
($) ...lekin iskay bawajood aap ki post par par aanay walay har fard ko nah sirf aap ka, balkay post subject ka aur board rules ka pass to rakhna hi paRega
(*) g haaN... maiN bhi yehi kah raha tha k meri post maiN aanay walouN ko mera khayaal to rakhna hi parega naa
($) woh to aap ko bhi apni post maiN aanay walouN ka khayaal rakhna paRta hai aur khayaal rakhna chahiyeh bhi
(*) yeh to hai
($) lehaza post aap ki ho kar bhi kulli taur par aap ki naheeN hoti balkay sab ki mushtarkah milkiyat ban jati hai
(*) haaN aap yeh kah saktay haiN
($) bus phir meri guzarish hai k aap kabhi apni start kardah post par apni "milkiyat"
(*) phir koi doosra bhi apni post par apni milkiyat zaahir nah karay
($) yaqeenan ... yeh kulia sirf AAP k liyeh naheeN balkay hum sab k liyeh hai k yeh hum sab ka mushtarkah ghar hai... sada khushrahaiN