Sahelii,abb kaho too nay kaha tha kuch bataoon gii
sak'hi,socha hai aab kay khwaab ka chehrah banaoon gii
sahelii,teray sajan nay kissi say nata jora to?
sak'hi,parwah nahi koi,nahi khaatir main laoon gii
saheli,janti hai mard to bay dard hota hai
sak'hi,woh dol jaiy ga main jab kajal lagaoon gi
sahelii,us ko bhaati hai sada kaliyaan chtaknay kii
sak'hi,mab'hoot ho jaiyy ga main jab gun'gunaa'oon gi
sahelii,teray sajan ko hiran kii chaal bhaati hai
sak'hi,iss chaal say imaan us ka dag'magaa'oon gii
sahelii,khwaab waadi main ussay bhaijay gii too kuun'kar?
sak'hi,main reshamii baalon ka jab jaadoo jagaoon gii
sahelii,sab gillay shikway bhala woh kab bhulaiyy ga?
sak'hi,palkon ki jhaalar ko main jab yak-dam uthaa'on gi
sahelii,terii baaton main nahi aayaa to kiya hoga?
sak'hi,honton kii laalii say main uss ko aaz'maa'oon gii
sahelii,yeh bhi mumkin hai kay tujh ko chor jaiyy woh
sak'hi,iss zulf kii zanjeer say main baandh laaoon gii
sahelii,agar yeh saarii koshish'en bay-kaar nikliin to?
sak'hi,ashkon say bhi to kaam kuch na kuch chala'oon gii
sak'hi,har baat sajan kii tujhay maaloom hai kaisay?
sahelii,aab to jaanay day main phir aa kar bataoon gii