QUOTE
Khan bhai mera maan-na hai ke Asool sub ke liye aik hona chaahiye , kisi ki himayat sirf iss liye nahin kerni chahaiye ke wo muslim hai aur kisi ki mukhalfat sirf iss liye nahin kerni nchahaiye ke wo non muslim hai......
Agar offence is the best defence.........Aur SM Ghaznavi ne offensive jang lari thi to ye to ghalat cheez hai ke aap aik aisi qaum par hamla kar do jo aap se jang nahin chahti.
Ghazwa e Tabuk ke mauqay par poora islami lashkar tayaar ho kar gaya lekin fareeq e mukhalif jang ke liye nahin aya to usko nahin chhera gaya , wahan koi offence nahin kiya gaya.
Hazoor(PBUH) ne koi offencive jang nahin lari, Jehad offence ka naam nahin, jehad ya qattaal to zulm ke khilaaf hota hai,
zulm yani koi aap par hamla kar de jabke aap aman pasand rehna chahtay hain to apnay defence mein jahad kiya jaaye, zulm yani koi apnayawam par zulm o sitam aur qatal karna shuru kar de to uss ke khilaaf.......etc etc
Jehad is not offence against any peace living country or nation.
Aur agar Offence is the best defence to hamein America ko bura kehne ka koi haq nahin banta........America ne afghanistan mein aik offensive jang lari kyunke uskay nazdeek ye ilaqa uss ke liye khatra tha, Iraq par bhi america ka mauqaf phir sahi hai kyunke saddam hussain ke muzalim na sirf urooj par thay balkeh usne aik aur muslim mulk kuwait par hamla kiya wahan oil ko aag laga di, wo israel jo america ka ittehadi hai uss ke liye bhi khatra ho sakta tha to offense is the best defence ke tehet to ye sub jaiz qarar paatay hain???
Balkeh phir to israel ka lebanon par hamla bhi sahi qarar paata hai ke jis tarha muslims ko taaqat milnay par offensive jang larnay ka haq hai to non muslims ki dafa hum kyun cheekhtay hain ke ye zulm hai ??
Agar offensive jang kerna zulm hai to khaw koi muslim ho ya non muslim dono ke liye zulm hi hona chaahiye. isnt it ??
App yahaaN per kehna chah rahay haiN kay Hindu Peace-Loving qoum thee, bus Sultan Mehmood hi un per chaR DoRa
bhai meray ju hisa app nay quote kya hay uss say uper wala hisa bhi dekh laytay.. yeh jangaiN sultan kay Walid kay zamanay say Shoroo howeeN. Agr Sultan tu eak din Sultan ko ek.la'tadaad lashker ka samna kerna paRta aur woh bhi Ghazni key hadood maiN.
App (SAAW) nay kabhi offense nahi kiya, tu Fatah Makkah kay baray maiN app key kya raye hay. Quresh nay sirf eak Mahida hi toRa tha, na koy jangi tayariyaaN theeN aur nahi un key aisi koy niyaat.
Jab kay Hind maiN Maharajay her shikast kay baad pehlay say zyada tayaari kay saath samnay aatay.
Aur America ko bura kon kehta hay. Infact agr history likhi jaye gee tu American Mo'arakh Bush ko Kamyaab tareen sadr qaraar daiN gay.. ahaiN, kosnay ( jaisay kay ham day rahay haiN) sirf kamzoor qomaiN hi dayteeN haiN...
Israel kay ander iss jang kay silsilay maiN koy do raye nahi thee... western mumalik bhi Israel kay hi saath thay...
hamara Almiya yehi raha hay, Infact Haider Ali aur Sultan Tipu bhi issi ka shikaar rahay ( jis key qeemat hamay ada kerni paRi) kay ham log uss waqt dushman say foran sulaah kay liya tayaar ho jatay assuming kay woh Peace Loving hay...
maiN ay Offensive laRa'i ko jurm qaraar hi nahi diya. so i ll not defend it.
QUOTE
farz karein k aaj muslims ka moral down kerne aur unko peesnay aur unn mein inteshaar daalnay ki khatir USA and ISrael mil kar iraq mein majood islami ibadat gahon, Mizaaron aur qabron ko tabah ker detay hain to kya ye zulm nahin ho ga?? Agar zulm ho ga to jab hum yahi zulm karein to wo nafsiyati bartari kyun kehlaye ?? Zulm to zulm hai koi bhi karay.
Farz kya kerna hay, woh log aisa ker rahay haiN abhi pichlay dinooN hi Shia aur Sunni hazraat kay mazrooN aur qabrooN maiN dhamakay aur problems howeeN theeN.. per ghairat phir kisi ko nahi aatee.. aisi qom ko apni ibadat gah per sirf rona hi chahiyee ju uss kay hifazat kernay key ahl na ho.
maiN nay kabhi bhi issay zulm nahi samjha. mazloomiyat key dastanaiN etc.. say mujhay hamesha hi chiR rahee hay. phir kahooN ga galiyaaN aur kosnay wohi log diya kertay haiN ju kamzoor hooN.
QUOTE
Aur afsano ka kya hai kya pakistan ya hindustan ke mizaaron waghera ke mutallik afsanay nahin majood?? data darbaar, ajmeer shareef aur doosray buzurgon ke mizaaron ke mutallik hindoun se bhi bharh kar afsanay majood hain...
tu ghalat haiN.
QUOTE
Hazrat Ibrahim(AS) ne koi ibadat gah tabah nahin ki thi sirf aik moorti ko tora tha ye samajhnay aur samjhanay ke liye ke ye to apni hifazat hi nahin ker sakti...........Hazrat Omar(RA) ke daur mein muslim faujein jahan jahan gayi kisi aik mandir, church ko nahin chhera, Haan agar wahan ke church walay khud musalmaan ho gaye to unhon ne khud church khatam kar diya ho to ye aur baat hai......
Hazoor(PBUH) aur hazrat Ali(RA) ne kaaba ke butt toray, wo kis liye, kaha jaa skata hai ke wo mushrikeen ka ibadat khana tha to usko kyun nuqsan pouhanchaya, to uska jawab yahi hai ke wo butt khana uss ibadat khanay ki jaga par taameer kiya gaya tha jo Hazrat Ibrahim(AS) ne Aik Allah ki wahdaniyat ko witness bana kar qaim kiya tha ke yahan uski nibadat ki jaaye, baad mein usko mushrikeen ne butt khana bana dala , issi liye wo wapis liya gaya warna kahan islami faujein gayi aur church toray?? Agar khilafat e rashida mein aisa kahin hua to hum usko tareekh ki ghalat bayani to keh sakain gay lekin uskay baad agar hua to usko hum do tarha se dekh saktay ahin ke ya to tareekh mein kharabi hai ya wo muslims ki zyadtiyan thi.
App key itla'a kay liya arz hay kay siwa'e somnaat kay koy bhi mandir tabaah nahi kiya gaya. tamam mandir qayam rahay sirf but tabah kiya gay.
Somnaat kay mandir key tabahi key wajaah yehi thee kay yeh mandir kam aur qila zyada tha.. aadhay say zyadan mandir tu jang kay doraan hi tabaah ho gaya tha... koy Fataah Dushman kay na.qabil-e-taskheer qilay ko nahi choRta. issi liya iss qilay.numa mandir ko bhi tabah ker diya gaya.
QUOTE
Kyun hisaab letay?? Agar ye zulm tha to jab muslims unki ibadat gaahon ke sath karein to wo kyun zulm nahin?? uss aik baabri masjid ke jawab mein pakistan ke "ghairat mand" muslims ne kayi mandir pakistan mein jala daalay, kya islam yahi sikhata hai?? uss par kisi ne ehtajaaj nahin kiya ke aik taraf aik masjid giri aur doosri taraf kayi mandir. lekin zulm phir bhi masjid giranay walon ne kiya??? akhir kyun?? hamaray asoolon ke alag alag paimanay kyun hain??
Ab pope ne bayaan diya jawab mein palestine mein muslims ne 4 church jala daalay.......kya phir bhi islam ko ya musalmaano ko tashaddud pasand na kaha jaaye?? Aik masjid girti hai to appeals shuru ho jati hain ke maafi maango aur kayi church jaltay hain kayi madir girtay hain to tub kyun nahin maafiyaan maangi jati?? tab kyun nahin hum ehtajaj kartay ke mazhabi rawadari ke khilaaf kaam kiya gaya hai?
bhai app asal baat ko miss ker rahay haiN.
Ju qomaiN ghairmand hoteeN haiN un kay ibadat.gahaiN tu door key baat aam aadmi ko bhi kuch kehna mumin nahi hota. ham log qomi ghairat.o.hamiyat kay hamil hotay tu issi koy ailan jang samjhtay..
Ghaliban Yazeed kay dor maiN Jihad-e-Qustantuniya howa, Hazrat Abu Ayoub Ansaari (RZA) issi doran wafaat paa gay, App (RZA) nay waseeiyat key kay mujhay shehar kay jis qadr kareeb dafana sakoo dafna doo.. MuslmanooN nay unhaiN Faseel kay saath dafn ker diya aur Qaisar ko paigham bhaij diya kay agr iss qabr ko kuch howa tu Islami duniya maiN koy church salamat na rahay ga... yeh Islami dabdaba hi tha kay woh Qabr aaj bhi salamat hay.
yehi kuliya yahaan per sadiq aata hay... agr Hinudstan ko yaqeen hota kay Pakistan uss say iss masjid kay bay.hurmati kay badla lay ga tu woh aisi jurat kabhi na kerta... per usay pata tha kay PEACE LOVING nation hay zyada zyada putlay hi jala laiN gay.. jalanay doo..
QUOTE
Aap bhi naksha utha kar dekhiye, kahan USA aur kahan Afghanistan..........kya laalach USA ko apni pur aasaish zindagi chhor ke tora bora ki mountains mein khudkushi kerne ki ijazat deta hai ???
Hum USA ko aik minute bhi afghanistan aur iraq mein rakhne par raazi nahin aur issay zulm samajhtay hain lekin jub musalmaano ne hindustan par qabza kiya to kayi kayi sau saal yahan hakumat kartay rahay, kya ussi asool ke tehet usa wahan hakumat karay to wo sirf iss liye zalim ke wo muslim nahin???
Mughal baadshahon mein se kon aisa tha jo Allah ke naam par hakumat karta raha?? sub qaabiz nahin thay kya?? jinki zindagiyun kya hakumaton mein bhi islam majood nahin tha, jinhon ne apnay daad e aish ke liye kaneezon kay bairay muhayya kar rakhay thay......isnt it??
maiN tu USA ko criticise nahi kerta.. woh log ju apnay liya behter samajhtay haiN ker rahay haiN.. agr ham maiN himat hoti tu un ko mouN toR jawab day saktay thay.. per ham un kay 2/3 fouji maar ker hi khush ho laytay haiN.
USA ko choRaiN woh tu buat baad maiN aya.. 1947 say India Kashmir maiN baiTha hay, siwaye baRkay marnay kay ham nay kya ker liya hay???
=======================
Peace Loving Nations
MughlooN kay zawal kay aakhri dinooN maiN jab br.saghir ko umra nay apnay tor per banTliya tha... uss waqt Peace Loving kay amli muzahiray daikhnay maiN aye.
Agr Bangal per MaRhaTa ya AngraizooN nay yalghaar key tu Odh kay nawaab aman ka parchar kertay rahay aur amalan bangal ko ghulami say bachanay kay liya koy qdam na uThaya... same happend with Sultan Tipu.
aur Angraiz eak eak ker kay sab ko nigal gaya.. ham per jihad arsa howa farz ho chuka hay...
Quran maiN hukm mojood hay kay "aay iman walooN tumhay kya hogaya hay kay tum un kay khilaaf nahi laRtay ju aurtooN aur bachoon aur kamzoorooN per zulm kertay haiN" ( Mafhoom) ( for ref. let me check the sura again)
issi aya maiN jihad ka hukm hay.. app yeh zyada behter tor per jantay hooNgay...
Note:
App jis per chahay Criticize karaiN, per kernay say pehlay saray pehlo'ooN ka jaiza laiN. other wise app Bias honay ka ilzaam bhi lag sakta hay aur mostly Critics issi liya apni credibility kho daytay haiN kay woh eak side key hi baat kiya jatay haiN.