Ji to ham nay pehli dafa atta goondha tha
Janab to ye baat hay tab ki jab ham 8-10 saal kay thay. Garmiyoon kay din thay aur ghar par saab soh rahay thay. Lahore ki garmian esi hi hotin hain

Par hamain neend ah bhi rahi ho to chain nahi atta:1-jokes: Lihaza ham chupkay chupkay bed room say farar ho kay seedha kitchen may pohanchay

Samnay attay ki bori thi. Hamain bhi bohat shok charha so kursi par charh kar pehlay parat utari phir osay zamin par rakh kay atta dala. Aik bari sari dagchi munh tak pani say bhari aur charap charap kar kay osay parat tak lai. Phir choki par baith kar pani dal kar atta mix karna shoru kia. Is kay natijay may hamaray baal munh par bar bar attay aur ham sath sath is peechalay kartay aur gehri sansaain lay kay phir shoru. Fork pay atta, guntnoo par atta, munh par atta, baloon may atta... atta

atta

atta

atta kartay ham parat may thay aur atta kaam aur attay ka keechar hamaray ird gird, ham to jaan kay lalay parh gai
Wo kia hay na hamari ami bohat sakht hain. Itni chooti umar may hamain siraf bartan dhoonay ki ijazat thi. Machis aur rizak zaya karnay par sakht pabandi aid thi. Ham nay to soocha ami uthain gi to khush hoon gi kay kitna acha atta goodnha hay aur is tarhan unka yakin hamari kabliyat par barh jai ga
Bas ji ham kuch isi tarhan attay may labraiz apni kismat ko kos rahay thay kay baba ah gai

Unko hamra junoon nahi jazba nazar aya

Aur baray piyar say unho nay hamain parat say nikala

Kitchen towel say hamain saaf kar kay aik shelf par sajah dia

Oskay baad sari safai ki aur nia atta goondh kar fridge may rakh dia

Jab ami uthin to ham nay yahi kaha kay ham nay baba ki nigrani may khud goondha hay