Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Usa Ne Hamlay Ki Dhamki Di Thi (musharraf)
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
LEADER
Usa Ne Hamlay Ki Dhamki Di Thi (musharraf)....

... aur hum USA ki dhamki main aa gaye !

yeh hai humari jurrat, bahadri aur atomi taqat ka saboot.... biggrin.gif

breakface1.gif breakface1.gif breakface1.gif

QUOTE
جنرل مشرف نے کہا کہ اس سے انہیں تذلیل محسوس ہوئی۔ ’میرے خیال میں یہ جملہ بہت نامناسب تھا‘

Hai, is zood-e-pasheman ka pashemaN hona !!!!!!!!
Khalish
QUOTE(LEADER @ Sep 22 2006, 11:10 AM) [snapback]2182187[/snapback]

Usa Ne Hamlay Ki Dhamki Di Thi (musharraf)....

... aur hum USA ki dhamki main aa gaye !
yeh hai humari jurrat, bahadri aur atomi taqat ka saboot.... biggrin.gif

breakface1.gif breakface1.gif breakface1.gif
Hai, is zood-e-pasheman ka pashemaN hona !!!!!!!!

Yeh hamaare Sadar aur voh general saahab haiN jo iftitaahi feetay ko bhi nahi kaat sakte kyoNke sharaab ke nashay meiN dhut hone ki bina per in ke hathooN se qainchi bhi nahi sanmbhaali jaati.
LEADER
QUOTE(Khalish @ Sep 22 2006, 11:37 AM) [snapback]2182225[/snapback]

Yeh hamaare Sadar aur voh general saahab haiN jo iftitaahi feetay ko bhi nahi kaat sakte kyoNke sharaab ke nashay meiN dhut hone ki bina per in ke hathooN se qainchi bhi nahi sanmbhaali jaati.

Khailsh bhai, qata-e-nazar is ke yeh shakhs 'personally' kesa hai...us ne behasiyat army cheif aur sadar Islami jamhooriya-e-Pakistan....woh kaam kiye hai...jo khuda aur khuda ke Rasool ko naraz kerney waley...aur ummat ke mafadat ko daoo per laganey wlaey hain...Amrreki ki khush.noodi hasil kerney ki khatir yeh shskhs bhool giya keh is ne kabhi allah ko bhi jawab dena hai...lehza Akhrat main is ka jo anjaam ho ga , so hoga , inshallah is duniya main bhi is ka anjaam acha nahi hai (illah yeh keh Allah se maafi mang ker touba ker le)
tihami
WAISAY aik baat mairay zahan main aatee hay,,,, k agar ham lougoon par bhi attack houtaa jaisa k afghanistan par hoaa thaa,, tu kia waqai hamaraay MUSLIM COUNTRY main rahnaay walay itnaay SAHIB-E-IIMAAN aur MAZBOOT IIMAAN walay haain k woh us hamlaay ko bardasht kar laiatay,,,, aur back to stone age main janay ko tayyar hu jataay ??

yah sawal MUSHARAF k sath sath ham sab par bhi laggo houta hay.,..

ps : i m not favouring his action ,, yah sirf aik sawal hay,,
Daylight
Tihami , i think kabhi kabhi jazbaat aur soch mein yakeenan larayi hoti hai, jazbati faisla to ye hota ke tum kon hotay ho aisa kehne walay ke hum par hamla karo gay aur jab socha jae to mulk ki behtari issi mein thi ke zillat seh kar unki farmaish poori kar di jaaye......

Yakeenan kuch logon ko ye baat ajeeb lagay gi k zillat sehnay ki himayat kar raha hon, lekin sawal ye bhi hai ke kya iss zillat ka zimma daar sirf musharraf hai ya pakistan ki pichli bhi tamam ki tamam hakumatein jo amreki isharon par naachti rahi hain aur na nazar anay wali ghulami mein mubtala hain........Aur yahi nahin balkeh pakistan ki hakumaton ko bhi chhoriye sub islami mumalik ki hakumaton ko dekh lijiye aur ye bhi dekh lijiye ke agar hum par hamla hota to aik bhi muslim country hamari himayat mein aagay na aati........

Humne khud shuru din se iss zillat ka tauq galay mein pehna hai, humne khud taleem aur science ke shoobay mein taraqqi na kar ke apni zillat par signature kiye hain, musharraf ne to phir bhi bata diya baki PM's bhi agar batain ke unkay sath kya kya hua to tub pata chalay ga ke iss hamam mein sub nangay hain...

Akar wo dikhata hai jis mein koi dum khum ho, jazbati ho ke keh dena ke kar letay hum jang USA se to aaj pakistan par bhi amlan USA aur British afwaaj ka qabza hota aur uss waqt yani 9/11 ke waqt aik bhi mulk hamaray inkaar par hamari himayat na karta balkeh hamein taliban ka sathi qarar de kar lahore aur karachi ko bhi tora bora bana deta.

Meri Jaan
QUOTE(Daylight @ Sep 22 2006, 10:34 PM) [snapback]2182384[/snapback]

Tihami , i think kabhi kabhi jazbaat aur soch mein yakeenan larayi hoti hai, jazbati faisla to ye hota ke tum kon hotay ho aisa kehne walay ke hum par hamla karo gay aur jab socha jae to mulk ki behtari issi mein thi ke zillat seh kar unki farmaish poori kar di jaaye......

Yakeenan kuch logon ko ye baat ajeeb lagay gi k zillat sehnay ki himayat kar raha hon, lekin sawal ye bhi hai ke kya iss zillat ka zimma daar sirf musharraf hai ya pakistan ki pichli bhi tamam ki tamam hakumatein jo amreki isharon par naachti rahi hain aur na nazar anay wali ghulami mein mubtala hain........Aur yahi nahin balkeh pakistan ki hakumaton ko bhi chhoriye sub islami mumalik ki hakumaton ko dekh lijiye aur ye bhi dekh lijiye ke agar hum par hamla hota to aik bhi muslim country hamari himayat mein aagay na aati........

Humne khud shuru din se iss zillat ka tauq galay mein pehna hai, humne khud taleem aur science ke shoobay mein taraqqi na kar ke apni zillat par signature kiye hain, musharraf ne to phir bhi bata diya baki PM's bhi agar batain ke unkay sath kya kya hua to tub pata chalay ga ke iss hamam mein sub nangay hain...

Akar wo dikhata hai jis mein koi dum khum ho, jazbati ho ke keh dena ke kar letay hum jang USA se to aaj pakistan par bhi amlan USA aur British afwaaj ka qabza hota aur uss waqt yani 9/11 ke waqt aik bhi mulk hamaray inkaar par hamari himayat na karta balkeh hamein taliban ka sathi qarar de

kar lahore aur karachi ko bhi tora bora bana deta.

Totaly Agreed..Musharraf did his best.....on one side america & on the other hand our traditional rival india was ready to engulf Pakistan.....at present scenario the decision was good,but how much good.... lets see future....

Yet you have to see the 'future' ?

QUOTE
WAISAY aik baat mairay zahan main aatee hay,,,, k agar ham lougoon par bhi attack houtaa jaisa k afghanistan par hoaa thaa,, tu kia waqai hamaraay MUSLIM COUNTRY main rahnaay walay itnaay SAHIB-E-IIMAAN aur MAZBOOT IIMAAN walay haain k woh us hamlaay ko bardasht kar laiatay,,,, aur back to stone age main janay ko tayyar hu jataay ??

Tihami bhai , aik sawal mera bhi :

Kiya 9/11 ke waqt ager pakistan main aik dictator ki baji koi 'muntakhib' hakoomat hoti , to phir Amreeka is trah ki dhamki de pata ?

LEADER
QUOTE
kar lahore aur karachi ko bhi tora bora bana deta.

LAHORE aur KARACHI to tora bora nahi baney...laken Allah ne apni qudrat se BALAKOT, MANSEHRA, MUZZAFRABAD aur RAWALAKOT ko tora bora bna diya.....!!

(wasey soochney ki baat hai keh kiya QANDHAR aur JALALABAD ko tora bora bnaney main humara koi hath nahi ?)
khan_amer
Hamaray ju bhai Chess kheltay haiN aur iss say seekhtay bhi haiN yeh asool jantay hooNgay kay kabhi kabhi SHAH ko bachanay kay liya apni baRay baRay muhray bhi pitwanay paR jatay haiN.

yehi above surat maiN howa...Agr Pakistan Target hota, tu Afghanistan kay saath saath Pakistan bhi Stone age maiN puhanch jata.. yeh baat sab ko yaad rakhni chahiyee kay 9/11 kay hamlay shayad baad maiN howay thay per India USA ko Pakistan aur Afghanista kay khilaaf Strategic Support key offer ker chuka tha... Dono mulkooN maiN Mushtarika Jangi mashkaiN bhi ho chuki theeN...

yani Pakistan kisi bhi surat bhi bargaining position maiN nahi tha. uss waqt total surrender kay illawa koy surat mujhay nazr nahi aa'tee... agr kisi ko koy surat ( qabil-e-amal) nazr aati hay tu yahaaN per bayan karay.

9/11 kay baray maiN yehi kahooN gay kay yeh Shah aur Maat wali chaal thee... apnay do tower gira ker USA nay saray muslmanooN ko marnay key Ijazat hasil ker lee...ab hamay iss surat-haal say nikalnay key hikmat-e-amli sochni hay...

Stop Blaming and Start Thinking...

Waisay Mush nay itnay arsay baad zuban kholi aur woh bhi tab jab uss key Bush say mulaqaat honay wali thee.... yeh kyoN howa??? what is cooking???
Daylight
QUOTE
Waisay Mush nay itnay arsay baad zuban kholi aur woh bhi tab jab uss key Bush say mulaqaat honay wali thee.... yeh kyoN howa??? what is cooking???

USA mein agar UNO ka ijlaas na ho raha hota to shaaid Musharraf ab bhi na kehta, aik to duniya bhar ke mandobeen aaye huway thay doosray Bush ke khilaaf na sirf taqareer hui sakht kisam ki balkeh khud americans bhi ab afghanistan aur iraq mein jang ke khilaaf ho chukay hain lehaza aisa mauka best kaha jaa sakta hai aisay comments ke liye, wesay bhi bush ke khilaaf jitni sakht 2-3 taqareer hui hain general assembly ke ijlaas mein unkay muqablay mein iss bayaan ko USA walay itna sakht nahin samjhain gay :p

Haan agar sirf musharraf hi gaya hota USA to shaaid ye surat pesh na aati , doosri baat ke insaan jab apni marzi ke khilaaf majboor ho kar koi kaam karta hai to uska zameer ussay andar hi andar mulamat karta rehta hai, aur aik fauji afsar ko aisi dhamki di jaaye to ye baat uskay dil mein majood rehti hai ke kisi waqt iss baat ko keh kar dil ka ghubaar zaroor nikalon ga........majooda halaat i think best kahay jaa saktay hain kyunke iss waqt har taraf se american policies tanqeed ki zadd par hain.

Hamaray kuch bhai Jamhoori hakumaton ka bhi hawala detay nahin thaktay ke jamhoori hakumat hoti to aisa kabhi hota, wo shaaid bhool gaye ke Kargil mein puspai ikhtayaar kerne ke liye pakistan ka jamhoori prime minister khud America gaya tha unki minnat samajat karnay.

Aur jo jazbaati ho kar naara lagatay hain ke aa jaata america dekh letay usko bhi to aisi baywaqoofi Taliban ne bhi ki thi, aur jab america aya to muqablay ki bajaye Kabul se bhaag liye, aik hi din mein USA ne kabul par qabza kar liya tha, tab unka eeman aur jazba kahan gaya tha??? Aaj kay daur mein sirf eeman aur jazbay se kaam nahin chalta taaqat ka hona bhi zaruri hai.....Aap atom bomb se india ko to dara saktay hain USA ko nahin..........

Jamhoori aur ghair jamhoori sub hakumatein america se dictation leti hain, ye koi dhaki chhupi baat nahin.

Doosri cheez ke agar taliban bhi uss waqt aqalmandi ka muzahira kartay to osama bin ladin ko usa ke hawalay kar detay lekin apni bewaqoofi ya jazbaatiyat se unhon ne na sirf afghanistan mein aik secular hakumat qaim karwa di balkeh beshumaar mazloom shehriyun ke qatal mein bhi hissa daar banay jo american bombardment se halaak huway.....balkeh khud bhi bhaag uthay aur saari duniya mein ab chhuptay phir rahay hain aur apnay oper honay walay zulm ki daastanein bayaan kar rahay hain......iski nobat hi kyun anay di bhal.

Aisi hi jazbaatiyat ka muzahira saddam hussain ne kiya tha, aray bhai jab aap mein taaqat ho to tab hi muqabla karo, apna mulk bhi ganwa baithay, apni jaan bhi ganwa baithay aur hazaaron logon ko bhi marwa diya....

Isko iss misaal se samajh lein ke Mike Tyson mujhe intehayi hakarat se kahay ke mard ke bachay ho to aao mere saath boxing ring mein muqabla karo.........Ab aqalmandi kis cheez mein hai ke main jazbaati ho kar boxing ring mein kood kar apni haddi pasli turwaon ya khamosh rahon ?? Seedhi si baat hai ke jab aap mein itni taaqat ho to tab hi aap muqabla karain.......

Wesay fuqaha ka bhi faisla hai ke agar dushman aap se 3 gunah se zyada taaqatwar hai to uska muqabla kerna islam ki rooh se jaiz nahin aur ye khudkushi ke mutradif hai..........ye mera faisla nahin ke koi iss par ab tanqeed karay fuqaha ka faisla hai , maloom nahin ke iskay peechay koi hadith bhi hai aisi ya nahin. smile.gif
Meri Jaan

Waisay Mush nay itnay arsay baad zuban kholi aur woh bhi tab jab uss key Bush say mulaqaat honay wali thee.... yeh kyoN howa??? what is cooking???

well Musharaf showing little bit frustration & resistance against Bush demands,..bcoz bush keep on saying more,more & more..on the other hand Karzai..also blaming Mushraf.wots all going on in Afganistan
There were very clear remarks from Mush for Bush....

Our relations base on trust & Confidence,if there is no trust and confidence,there is no need of such relations...and by saying this...the anger can be seen on Musharaf face.....

Mush ko Bush nahi choray gi
Aur Bush Ko Mush rakhni hi paray gi.....biggrin.gif
Meri Jaan
QUOTE(LEADER @ Sep 23 2006, 06:05 AM) [snapback]2182425[/snapback]

Yet you have to see the 'future' ?
Tihami bhai , aik sawal mera bhi :

Kiya 9/11 ke waqt ager pakistan main aik dictator ki baji koi 'muntakhib' hakoomat hoti , to phir Amreeka is trah ki dhamki de pata ?

well well...Elected Govt....dhamki hamesha uss ko di jati hai jo aagay say resist karay
jo pehlay say hi hath bandh kay khara ho ussay dhamki nahi sirf hukam dia jata hai....juss happend like in ur Elected Govt.....
Uranium enrichment stopped,kargil issue etc....

Well u juss answer me very simple Q....
Wot strategy should Pakistan Adopt after 9/11......

tihami
QUOTE(LEADER @ Sep 23 2006, 07:05 AM) [snapback]2182425[/snapback]

Yet you have to see the 'future' ?
Tihami bhai , aik sawal mera bhi :

Kiya 9/11 ke waqt ager pakistan main aik dictator ki baji koi 'muntakhib' hakoomat hoti , to phir Amreeka is trah ki dhamki de pata ?

aap yah kahna chah rahay haain k chounk mush aik dictator hay is liya woh dar gaya,, aur agar muntakhib hakoomat houtee --nawaz shareef /ba-nazir ki jaisay k pahlaay thee to woh stand lay laitay USA k khilaaf................... look.gif .. sir jii maira tu khyaal hay k woh khud qadmoon main gir jataay,,

(ab yah na kahyay ga k MMA ki hakoomat main kuch aur houtaa,,,, kiyioon k un ki hakoomat ka khawaab tu waisay bhi kafi non-practical kisam ka hay,,)
LEADER
QUOTE(tihami @ Sep 23 2006, 12:03 PM) [snapback]2182502[/snapback]

aap yah kahna chah rahay haain k chounk mush aik dictator hay is liya woh dar gaya,, aur agar muntakhib hakoomat houtee --nawaz shareef /ba-nazir ki jaisay k pahlaay thee to woh stand lay laitay USA k khilaaf................... look.gif .. sir jii maira tu khyaal hay k woh khud qadmoon main gir jataay,,

Well, Pakistan main hakoomtoon ka track record to yehi bta.ta hai keh :

"Civlian govts. , millatry govts. ki nisbat behter resist kerti haiN... (ideal woh bhi nahi hain)"

Proof is : Bhutto ka atom bomb bna.na aur nishan-e-ibrat ban jana...

- Nawaz Sharif ka atomi dhmakey kerna aur jala-watan ker diya jana

(Be.nazir was exceptional case)...jab keh fouji hakoomtain to bheti hi amreeka ke qadmmoN main hoti haiN...from Ayoub Khan to Musharraf....aik hi tareekh hai.

QUOTE(Daylight @ Sep 23 2006, 09:47 AM) [snapback]2182464[/snapback]

Isko iss misaal se samajh lein ke Mike Tyson mujhe intehayi hakarat se kahay ke mard ke bachay ho to aao mere saath boxing ring mein muqabla karo.........Ab aqalmandi kis cheez mein hai

Aur ager Mike Tyson aap ke ghar main aa jai (aap ko marney ke liye...aur aap ka koi qasoor bhi na ho)...to aap kiya karain ge ??

aur aap se kahey ke apney falan rishtadar ya mehman ko merey hawley ker do...warna...to aap ker dain ge...ya apna ghar us ke liye khali ker dain ge ??
LEADER
QUOTE(khan_amer @ Sep 23 2006, 07:02 AM) [snapback]2182449[/snapback]

yani Pakistan kisi bhi surat bhi bargaining position maiN nahi tha. uss waqt total surrender kay illawa koy surat mujhay nazr nahi aa'tee... agr kisi ko koy surat ( qabil-e-amal) nazr aati hay tu yahaaN per bayan karay.

IPB Image
IPB Image

Daylight
QUOTE
Aur ager Mike Tyson aap ke ghar main aa jai (aap ko marney ke liye...aur aap ka koi qasoor bhi na ho)...to aap kiya karain ge ??

aur aap se kahey ke apney falan rishtadar ya mehman ko merey hawley ker do...warna...to aap ker dain ge...ya apna ghar us ke liye khali ker dain ge ??

Agar koi aap ke ghar aa kar aapko gun point par kahay ke main aapkay hamsaye ke khilaaf kaarvayi karnay laga hon kyunke hamari dushmani chal rahi hai lehaza tum khamosh rehna nahin to maar diye jaao gay to main khamoshi se side par ho jaaon ga jabke mujhe mere hamsaye ka kirdaar bhi mashkook ho.

Buzurgon ne kaha hai ke paraye phhadday mein tab tak haath na daalo jab tak tumhara haath itna mazboot na ho jaaye ke tum dono ke liye saalis ka kirdaar ada kar sako.

Kayi pakistani tanzeemon ke loag jin par yahan dehshatgardi ke muqadmaat thay firqawarana kaarvaiyun ki wajah se, unko bhi taliban ne panah de rakhi thi, phir hijacking case le lein , wahan bhi hijackers ko madad faraham ki gayi, iskay ilava wahan ke logon par jo jabar kiya gaya wo bhi samane hai, phir osama bin ladin aik shakhs ke liye kayi hazaar ko marvaya aur pehlay naaray lagatay rahay ke america ko hara dein gay aur jab jang shuru hui to maidaan e jang se hi bhaag gaye.....Iska sub se bara nuqsan ye hua ke wo loag jo apni masoomiyat ya jahalat ya jazbaatiyat ki wajah se taliban ki madad ke liye yahan se gaye thay wo american private jails mein chalay gaye aur phir zulm ki daastaan ka aaghaz ho gaya.

Maidaan e jang se peeth dikha kar bhaag janay walaon ke liye Quran mein kya hukam aya hai aapko maloom hai???

Osama aur mulla omar ne dhoka de kar apni jaan to bacha li aur haath aa gaye saaray taliban aur sub aik aik kar ke maaray jaa rahay hain, janoobi asia mein america aur england kay fauji adday qaim ho chukay hain.........

Aur ye sub aik bewaqoofana faislay ki wajah se. Jab mulk o Qaum ki bajaye shakhs ko ehmiyyat di gayi.
[/color]
Meri Jaan
well ....why US Attacked Afganistan.......for Osama?if yes then where is osama?
US attacked IRAQ for nuclear weapons...?if yes then where are nuclear weapons..?
Tu App ka matlab hai pakistan ko khud US ko attack karnay kay lieay klhud invite karna chaheay the?
The drama of 9/11 was juss played to attack muslims countries......
The First target was surely Pakistan,(standing alone after 9/11 under immense pressure)...
Daylight
QUOTE
LAHORE aur KARACHI to tora bora nahi baney...laken Allah ne apni qudrat se BALAKOT, MANSEHRA, MUZZAFRABAD aur RAWALAKOT ko tora bora bna diya.....!!

Wow,yani ke ab zalazala bhi musharraf ki wajah se aya :d Agar qudarti tufaan hukmaran ki wajah se atay hain to Hazrat Omar(RA) ke zamanay mein najanay kyun qehat para tha aur taaoon(plague) ki waba bhi kyun uss roshan daur ke azeem hukmarano ke hotay huway musalmaano par aayi.
Balkeh shaaid aapka khayal hai ke Agar America aur uskay ittehaadi pakistan par zabardast bombardment kar ke iss par qabza kar letay to Allah ne itna khush ho jana tha ke phir ye zalzala nahin ana tha :d

QUOTE
(wasey soochney ki baat hai keh kiya QANDHAR aur JALALABAD ko tora bora bnaney main humara koi hath nahi ?)

Aur ye bhi sochnay ki baat hai ke agar hum haan na kartay to qandhar aur jalalabad tora bora na bantay ??

Jo loag america ko bhaganay ka dawa kartay thay wo khud to pehlay hi hamlay mein kabul chhor ke bhaag gaye, unko bhi kabhi zimma daar samajh lein smile.gif

Aaj ki jang jazbaatiyat se nahin aqal aur ilm se kheli jaati hai, hamaray paas ilm(science) ki to kami hai lekin aqal to use ker hi saktay hain.

khan_amer
QomooN key zindagee maiN aisay waqt bhi aatay haiN kay unhaiN sakht faislay kernay paRtay haiN.. Jazbatiat say bala.tar ho ker sochaiN...

Hamari qom maiN Ghadaar wafir miqdaar maiN miltay haiN,..sirf eak Green Card kay badlay Iman baichnay walooN ko agr jadeed tareen weapon system bhi day diya jayaiN tu woh kamyabi hasil nahi ker saktay.

yehi surat-e-haal Pakistan maiN hay...

Ham PakistaniyooN key aksariyat laRnay kay bajaye sirf bhagnay per yaqeen rakhteeh hay... mujhay koy khush.fehmi nahi hay kay agr ham per kabhi aisa waqt aya tu ham muzahmat bhi karaiN gay...

Look at our selves! can we even fight... zang.alood hathyarooN say tu shayad jang jeeti bhi ja saktee hay per zang.alood zehnoN say aisa hona agr mo'jzati tor per hoo tu aur baat hay,otherwise aisa kabhi howa nahi...

LEADER
QUOTE(khan_amer @ Sep 24 2006, 07:56 AM) [snapback]2182740[/snapback]

Look at our selves! can we even fight... zang.alood hathyarooN say tu shayad jang jeeti bhi ja saktee hay per zang.alood zehnoN say aisa hona agr mo'jzati tor per hoo tu aur baat hay,otherwise aisa kabhi howa nahi...

well said

0-headbang.gif

Zehan sirf zaNg alood hi nahi balkeh Shakast Khurda bhi haiN,,, aur shakast khurda zehnooN se koi jang na laRi ja sakti hai, na jeeti ja sakti hai...

yeh THEORY to ab fail ho chuki hai keh sirf Jazbah ya Iman jang laRney ke liye kafi nahi...yeh bohat kafi hai ...aur is ki tazab masal Hizabullah aur Israel ka latest ma'arka hai....
khan_amer
QUOTE(LEADER @ Sep 24 2006, 01:55 PM) [snapback]2182757[/snapback]

well said

0-headbang.gif

Zehan sirf zaNg alood hi nahi balkeh Shakast Khurda bhi haiN,,, aur shakast khurda zehnooN se koi jang na laRi ja sakti hai, na jeeti ja sakti hai...

yeh THEORY to ab fail ho chuki hai keh sirf Jazbah ya Iman jang laRney ke liye kafi nahi...yeh bohat kafi hai ...aur is ki tazab masal Hizabullah aur Israel ka latest ma'arka hai....

Disagreed.. yeh Shikast Khorda nahi haiN sirf Zang.alood haiN...

Baqool Iqbal

zara nam ho tu yeh maTi baRi zarkhaiz hay saqi...

ab yeh nami both sides (good & bad ) pe rho saktii hay... app daikhaiN kay agr FaslooN key abyari saaf pani say key jaye tu sabzi/phal zyada hotay haiN otherwise jhaR jhankaar... bus uss nami key talaash hay...per qaht saali maiN nami kahaaN say aye???
LEADER
QUOTE(khan_amer @ Sep 24 2006, 11:37 AM) [snapback]2182765[/snapback]

Disagreed.. yeh Shikast Khorda nahi haiN sirf Zang.alood haiN...

Aap mera isharah nahi samkjhey.... mellow.gif

Main awam ya aksariyat ki baat nahi ker raha ...balkeh un chaNd logooN ke zehnoon ki baat ker raha houN...jinhon ne 'Technology' ko apna khuda banaya hoa hai...aur har waqt loogooN ko be.hosla aur past.himmat ker ke 'maghrab' ke agey jhuk janey ki talqeen kertey haiN ...(hope u agree now).
Daylight
QUOTE
Hamari qom maiN Ghadaar wafir miqdaar maiN miltay haiN,..sirf eak Green Card kay badlay Iman baichnay walooN ko agr jadeed tareen weapon system bhi day diya jayaiN tu woh kamyabi hasil nahi ker saktay.

Ata Ul Haq Qasmi ne apnay aik column mein likha tha ke aik baar america mukhalif jaloos nikla , america ka safeer mere saath betha hua tha meine ussay kaha aapko apnay mulk ke khilaaf niklay huway iss jaloos ki pareshani nahin ke loag aapkay mulk se nafrat kartay hain....

American safeer hansa aur bola agar abhi iss jalsay mein eelan kar diya jaaye ke jo koi 2 ghantay tak sakht dhoop mein murgha bana rahay ga ussay american green card de diya jaaye ga to shaaid iss jalsay ka aik bhi shakhs aisa na ho jo murgha na banay.
LEADER
Nawai Waqt ka Editorial:

IPB Image

IPB ImageIPB Image
IPB Image
---------------------------

Jamat-e-Islami ka Bayan

IPB Image
IPB Image

1-think.gif

khan_amer
QUOTE(LEADER @ Sep 24 2006, 06:52 PM) [snapback]2182786[/snapback]

Aap mera isharah nahi samkjhey.... mellow.gif

Main awam ya aksariyat ki baat nahi ker raha ...balkeh un chaNd logooN ke zehnoon ki baat ker raha houN...jinhon ne 'Technology' ko apna khuda banaya hoa hai...aur har waqt loogooN ko be.hosla aur past.himmat ker ke 'maghrab' ke agey jhuk janey ki talqeen kertey haiN ...(hope u agree now).

Again aisay log do taraah kay haiN

1) Pehli taraah kay log woh haiN ju haqeeqat pasandi say taqabali jayeza laytay haiN aur kehtay haiN kay THIS IS NOT A TIME, WHEN WE CAN CHALLENGE, aur phir tayaariyooN maiN mashghool ho jatay haiN.. tayaariyaat kisi bhi no'iyat key ho sakteeN haiN yani woh Androoni kachra ( ghaadar ) khatam kerna bhi ho sakta hay aur possible dushman kay muqabalay maiN enough technological power hasil kerna bhi.

App nay Hanibal ka naam suna hoga.. jab uss nay Rome per ChaRha'i key tu wahaaN kay shehar eak eak ker kay uss kay agay girnay lagay... uss waqt Rome key hakomat eak aisay shakhs ko day dee gayee jis key mansooba'bandi aur hub-ul-watani kisi bhi shak.o.shubay say bala.ter thee.. uss banday nay apnay kuch illaqay day ker Hanibal say mazeed jangooN ka khatra Taal diya aur jaisay hi Hanibal kamzoor howa uss per war ker diya.. Hanibal kay janasheenooN ko apnay illaqay say na sirf bahir ker diya balkay Qartajana ko invade ker kay apna ghulam bana liya...

issay jangi hikamt-e-amli bhi kehtay haiN aur meray khayal say log issi ko " live today to fight tommorrow" bhi khayal kertay haiN

2) yeh log Iman Faroosh, millat farosh type log hotay haiN.. in ka kaam hi yeh hay kay apnay aqa key dehshat logooN kay dilooN maiN paida kerna aur ussi ko qayam rakhna... aisay log Shikast'kurda bhi nahi hotay bus Iman.farosh hotay haiN...
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.