Daylight
Sep 22 2006, 04:22 AM
Khalish
Sep 22 2006, 10:16 AM
Aam haiN voh sarkaaraiN jo gundam ke liye joo booti haiN
Ab jo booya hai voh tu kaatna he pare ga ... Jiss din America Bahadur Pakistan se naraaz howa, ussi din se iss ma'amle per paish.raft ho jaaey gi ... aur faisla Islamabad meiN nahi 'Aalmi Adalat' meiN issi jargay ke haq meiN hoga.
Aur agar koi iss jargay ke mutaalbay ko 'deevaane ki baR' samajhta hai tu woh ahmaqooN ki jannat meiN reh raha hai ... Hum ne dushman iss qadar paal rakhe haiN keh voh kisi waqt bhi hamaara dam ghoot daiNge. United Nation meiN bakwaas karne ke bajaaey, hukoomat daakhli intishaar per tawajjo dey aur isslah ki koshish kare (jismeiN generals aur cheeni choorooN ka iqtidaar se alag hona pehla step ho) tu sourat.e.haal inshaa.allah Pakistan ke haq meiN ho jaaey gi.
khan_amer
Sep 23 2006, 01:18 PM
Kya Aalmi Adalat iss qisam kay muqdamaat sun'nay aur un per faisla kernay ka ikhtayaar rakhtee hay ?
Iss baat maiN koy shuba nahi hay kay General ko bi'maa apnay cheeni aur dosray chorooN kay jana hi jana hay.. agr Army apnay kushada seenay per zilaat ka eak aur 'Medal" sajana chahtee hay tu yeh dosri baat hay...
Iss waqt Mush ko Nawaz aur Benazir ko Wapis lana chahiyee.. yeh leaders jitnay bhi corrupt hooN mojooda andhooN maiN beher'raal Kanay key hasiyat rakhtay haiN...
Daylight
Sep 23 2006, 02:51 PM
Na ji na Aalmi adalat ko ye ikhtayaar hi haasil nahin hai
ye wakayi mein sirf aik siyasi chaal se zyada kuch nahin........
lekin hakumat ko bhi ab zara sharam kar leni chahaiye ke baluchi loag majboor ho kar kya kya soch rahay hain, jo bhi mega projects banaye jaain baluchistan ke liye wo kisi baluchi ke hath mein diye jaain aur unse mashwara kar ke shuru kiye jaain......
Aalmi adalat agar aisa kuch karnay ki majaaz hoti to kashmir aur joona gharh ke cases sub se pehlay aalmi adalat mein jatay , pakistan avein UNO ke qarardaadein liye na phhirta.....
Aur i think ke aalmi adalat ka qayaam is ilhaaq kay bhi baad hua, jab ye ilhaaq hua to aalmi adalat ka wajood hi nahin tha, Am i right??
khan_amer
Sep 23 2006, 03:06 PM
Internation Court for Justice 1946 maiN qayam howa tha iss ka bunyadi maqsad jangi jara'im per kaam kerna hay... jaisay Bosnia maiN qatal-e-Aam kernay walay generals ko sza dee ja rahee hay...
yeh Court kisi bhi taraah states kay androoni mamlaat maiN madakhlat nahi ker sakta. eak taraah say iss ka kirada Interpol wala hay.. yani Koy state sun Org. iss say rabita ker kay apna case file ker saktee hay... aur dosri state ko adalaat maiN la saktee hay.. iss key range maiN ju mamlaat aatay haiN Pani/oil ya kisi aur joint natural resource key bandr.banT, ya trading kay hawalay say ( International level per) baat cheet kerti hay...
Qita nazr iss kay kay yeh court kya ker sakta hay.. hamaray liya yehi dob marnay ka muqaam hona chahiyee kay kuch na.ahlooN ( on both sides) key wajaah say hamari jag.hansa'i ho rahee hay.
Daylight
Sep 23 2006, 04:26 PM
QUOTE
Qita nazr iss kay kay yeh court kya ker sakta hay.. hamaray liya yehi dob marnay ka muqaam hona chahiyee kay kuch na.ahlooN ( on both sides) key wajaah say hamari jag.hansa'i ho rahee hay
Point to be noted.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.