Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Us Ki Saad'gi
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
F-A-L-A-K
Kal (18-09-2006) main Office say ghar ja raha tha tu rastay main muje aik RIKSHAW par aik FIKRA likha nazar aya jiss ne muje aik FIKAR di .......................... "Uski Saad'Gi aik Fareeb Thi"

baat dar’asal yeh hai ke kiya Saad’Gi fareeb de sakti hai ya saad’gi khud hi aik fareeb hai …………. Tu mera khyal yeh hai ke Saad’gi aik Sift nahi hai matlab yeh hoa ke yeh ALLAH (swa) Wadi’yat nahi karte balke yeh insaan khud apne andar le kar ata hai aur isse apni Khoobi ya khami bana lata hai …….. jaisa ke masomiyat aik Sift hai jo ALLAH jee khud insaan ko daite hain lehaza hum jab yeh kehtay hain ke dekho tu kitna Masoom hai ……… tu us waqt maqsad uski tareef karna nahi balke ALLAH jee ki Shaan aur Barayi bayaan karna hota hai jabke jab hum yeh ka’hain ke yaar wo tu bohut Saada lag raha tha ya thi ya pher yeh kay dekhiye tu janab ki Saad’gi etc…. tu is ka matlab yeh hota hai ke hum us shakhas ki tareef kar rahay hote hain jis ne apna Rehan Sehan ya Uthna Baithna bohut sadda rakha hoya hai ……… Gharz jab Uski Saad’gi aik fareeb thi jaise jumle parhne ko milain tu unka maqsad yeh hoa ke wo khoobi jo insaan ne khud apne ander dali/ shamil ki hai wo dhokha hai fareeb hai ya ho sakti hai …………. Aur ager yeh khoobi ya Sift ALLAH jee ne insaan ko de hoti tu wo dhoka nahi kehlaye ja sakti ………….. Ah0o0
Shokh
Aaj kay dor may Sadagi aik naimat hay, ye alla'zarf logon ka kaam hay jo duniya ki oonch neech jantay howay bhi naak ki seedh may chaltay hain rose.gif

Jo aap nay parha os may 'fareebi' logon kay baray may kaha gia hay jo sadagi ka dhoong kartay hain. 'Fareeb' aik aam sift hay.

Masoom siraf bachay hotay hain wo loog jo umar ki darazi kay sath bhi masoom hi rahain wo bewakoof hotay hain. Akalmaand apni galtion say seekhta hay aur sadik apni rah say nahi bhatakta smile.gif
Abu Adnan

FALAK bhai ko samajhnay main moghalta howa hai .... likhany wala yeh nahee kah raha k:

saadgi aik faraib hai

balkay kah raha ha hai k:

oski saadgi aik faraib thi

kia khayaal hai
fahiimakhter
no comments 1-think.gif
barish aur gulab


bohat acha topic Falak jee
per mera apna khayaal hi k
sadgi aur fareib do alehda alehda chezei.n hein

Abu Adnan
teray iISHQ ki intehaa chaahtaa houN 0-heartbeat.gif

meri saadgi dekh, maiN kia chaahta houN.


(Allama Iqbal)

1-jokes.gif 1-jokes.gif 1-jokes.gif 1-jokes.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.