Poori duniya ke muslims ko chhoriye, balkeh pakistan ke muslims ko bhi chhoriye, kya ye ulama khud muttahid hain?? pehlay khud to ittehad karain.....
Inkay "ittehad bain ul muslimeen" ka muzahira aik baar phir ramzan ke chand dekhne par ho gaya, jo ulama ramzan ka chand dekhnay par muttahid nahin ho saktay wo aalam e islam ke muttahid honay ki baat kartay hain to sakht munafiq hain....
Mullaiyat issi liye to buri cheez hai ke mulla ne apna aap, apna rohb aur dabdaba aur mazhab par apni ajara daari dikhani hoti hai aur wohi kuch sarhad mein MMA ki "muslim" hakumat ne kiya......
Roiyat e halal committe ne eelan kiya ke ramzan ka chand nazar nahin aya lehaza pehla roza monday ko ho ga, tamam soobon ki zonal roiyat e halal committes ne bhi yahi eelan kiya ke chand nazar nahin aya, SPARKO pakistan ka khalayi aur mausmiyati idara pehlay hi eelan kar chuka tha ke science ke lehaaz se chand nazar ana mumkin hi nahin lehaza pehla roza monday ko hi ho ga....
Lekin wo Mulla hi kya jo inteshaar na phhailaye, sarhad hakumat ne markazi roiyat e halal committe aur zonal roiyat e halal committes ka faisla maan-nay se inkar kar diya aur sarhad mein sunday ko rozay ka eelan kar diya, iss par sarhad mein aadhay logon ne sarhad hakumat ki baat maan kar sunday ko roza rakha jabkay baki aadhay logon aur pooray mulk ke baki logon ne monday ko roza rakha, lehaza iss dafa phir 2,2 eidein tayyaar hamesha ki tarha.....
Jab tak chaand dekhne ka kaam Mulla ke sapurd rahay ga ye inteshaar qaim rahay ga, iss se bachnay ka wahid raasta sciency bunniyaadon par islamic calender ki tayari hai.....Mulla ko aisa calender iss liye naqabil e qabool hai kyunke iss se uski roti chhinti hai, kyunke mullaon ki roiyat e halal committe mein naukriyan lagi hui hain, uss committee ki chhutti kabhi bhi nahin honay di jaaye gi aur mulla poora zoar lagaye ga, iss se mulla ki mazhab se ajara daari chhinti hai, aur mazay ki baat ke chand ko aankh se dekhne ki baat karnay walay khud telescope se chand dekh rahay hotay hain :d Islam kabhi bhi technology use karne ke khilaaf nahin raha, lekin agar technology use kar li gayi to Mulla ki mazhab se ajara daari kay khaatmay ka aghaz ho jaye ga jo mulla ko na manzoor hai lehaza wo technology ke istemaal ke khilaaf fatway lagata rahay ga.....
ittehaad itna zaroori aur inteshaar itna fazool iqdaam hai ke inteshaar ko Quran ne Shirk se bhi barh kar bataya hai.......
Hazrat Moosa(AS) jab wapis apni qaum ki taraf aaye to unhon ne dekha ke unki qaum moortiyun ki pooja kar rahi hai , Hazrat Mosa(AS) ne Hazrat Haroon(AS) ki daarhi pakar ke ghussay se khainchi aur kaha ke tumko kis cheez ne roka ke inko iss shirk se baaz nahin rakha sakay tum, ab Hazrat Haroon(AS) ka jawab suniye wo kehtay hain ke iss liye nahin roka aur kuch waqt ke liye inka shirk bardasht ker liya hai ke kahin inn mein phhoot na par jaye aur inn mein inteshaar na phhail jaaye, ye mukhtalif parties mein na butt jaain....aur hazrat Moosa(AS) iss jawab se mutmaeen ho jatay hain aur Allah iss waqaya ko Quran mein bayaan kar ke batata hai ke inteshaar aur tukriyun mein butt jana shirk se bhi barh kar hai......
Lekin mulla aur ittehad do mutzaad cheezain hain, ya to hamaray maashray mein mulla ho sakta hai ya ittehaad.....kyunke mulla ki roti hi inteshaar aur party bazi aur firqon se chalti hai.
