Pichlay dinooN hamay qayam muqam Governor nay pehla open murder ( meri maloomat kay mutabiq) kiya. issi ko mad-e-nazr rakhtay howay yeh khat ka mazmoon zehn maiN aya hay:
Janab Governor Sahib
Subject : Stay in your HOUSE.
App kay fara'iz aur un say auhda'bra honay kay ahliyat say ahl-e-Pakistan hi nahi sari duniya hi waqif hay. jis taraah app logooN kay behtreen Administration aur policies key badoolat mulki halaat behter say behter hotay ja rahay haiN uss say kon kafir inkaar ker sakta hay.
App ko mut'la kerna tha kay, awam ko haraasaan aur qatal kernay kay liya bay'shumaar sarkari aur ghair-sarkari Dako aur sarkari muhkamay pehlay say mojood haiN. In key kar'kerdagee key reports app tak muft kay akhbaraat kay zaria puhanch jatee hay.
App ko shayad maloom ho kay Governor bana ya Syasatdaan banay kay liya Pakistan maiN kisi khas qabliyat key zaroorat nahi hay, ( app key apni misaal samnay hay) per Doctor, engineer aur aam aadmi banay kay liya sakht mehnat kerna paRtee hay.
tu app say arz yeh kerni thee kay app apnay qilan numa Governor House maiN hi raha karaiN aur waheeN per apnay maTar gasht ka shoq pura farma liya karaiN. hamari mushkilaat app key tufail pehlay hi buhat zyada haiN in maiN izafa na karaiN app ko shayad iss baat ka sawab mil jaye.
jatay jatay app ko sawab ka matlab bhi samjha dooN, MuslmanooN ka aqeeda hay kay jab duniya maiN koy bhi shakhs koy acha kaam ( jaisay kisi key bay.los madad kerna etc etc) kerta hay tu Allah Ta'la uss muslmaan kay nama amaal maiN eak naiki Daal daytay haiN. jis key jaza ussay Muslmaan ko duniya maiN milay ya na, per aakhrat maiN zaroor milay gee.. per again yeh Muslim aqeeda hay app ka iss say agree kerna zaroori nahi hay.
Faqt
eak aam Pakistani